Es baat mein koi shak nahi ke Allah ka zikar karna bohat ziayada fazilat ka hamil hai. Jo log zikar Allah karte hain woh is baat se khoob waaqif hain ke is se insaan ko dili tor par sukoon milta hai. Es tehreer mein hum Allah ka zikar karne ki fazilat ke sath sath is se haasil honay walay fawaid ka tazkara bhi karen ge. Allah pak Quran Majeed mein irshad farmata hai :
Tarjuma: Woh jo imaan laaye aur on ke dil Allah ki yaad se chain paatey hain sun lo Allah ki yaad hi mein dilon ka chain hai.” [1]Para 13, Ar Rad: 28
Aik maqam par irshad farmaya:
Tarjuma: To meri yaad karo main tumhara charcha karoon ga.” [2]Para 2, Al Baqarah: 152
Aik aur maqam par farmaya:
Tarjuma: Aur Allah ko bohat yaad karo is umeed par ke Falah pao.” [3]Para 28, Surah Al Juma: 10
Allah ka Zikar karne ki Fazilat
Rasool Allah ﷺ ney farmaya: Allah pak farmata hai : “Main apne bande ke os gumaan ke qareeb hon jo woh mujh se karta hai aur jab woh mera zikar karta hai to main uskay sath hota hon to agar woh mujhe tanhai mein yaad karta hai to main bhi usay tanha yaad karta hon aur agar woh mera zikar majmaa mein karta hai to main os se behtar majmaa mein uska zikar krta hon agar woh aik balisht mujh se qareeb hota hai to main aik haath os ke qareeb ho jata hon aur agar woh aik haath mere qareeb aata hai to main os se do haath qareeb ho jata hon aur agar woh mere paas chaltay hue aata hai to meri rehmat os ke paas daurti hui aati hai.” [4]Bukhari: 7405
Allah ka Zikar karne waly
Ferman e Aakhri Nabi ﷺ hai, “Farishtay, Allah ka zikar karne walon ko raastoon mein talaash karte rehtay hain aur jab unhen zikar ellahi karne walay log mil jatay hain, to nida karte hain keh “Aao tumhari morad poori hogayi, zikar karne walay mil gay hain.” phir farishtay un zikar karne walon ko aasman tak apne paron se dhaanp letay hain.
Jab yeh farishtay Allah pak ki bargaah mein haazir hotay hain to Allah pak un se daryaft farmata hai : “Ae mere farishto! mere bande kya kar rahay they ?” Halaankeh woh firshton se ziyada jaanta hai. Woh arz karte hain, “Ya Rab! woh teri tasbeeh o Tahmid o tkbir aur teri buzurgi ka tazkira kar rahay they.”
Phir Allah pak daryaft farmata hai :”Kya unhon ne mujhe dekha hai? “Woh arz karte hain : “Teri zaat ki qasam unhon ne tujhe hargiz nahi dekha.”Allah pak farmata hai keh “Agar woh mujhe dekh letay to kya karte?” Woh arz karte hain : “Phir to teri ibadat o tasbeeh o Azmat ka bayan ziyada karte.”
Allah pak farmata hai : “Woh kya maang rahay they ?” Woh arz karte hain : “Ya Rab! woh jannat talabb kar rahay they.” Allah pak farmata hai : “Kya unhon ne jannat ko dekha hai ?” Woh arz karte hain : “nahi.” Allah pak farmata hai : “Agar woh usay dekh letay to ?” Woh arz karte hain : “To aur ziyada os ki hiras o talabb karte aur mazeed raghbat rakhtay.”
Allah pak farmata hai : “Woh kis cheez se panah maang rahay they ?” Woh arz karte hain : “Ya rab e kareem! Woh jahannum se panah maang rahay they.” Allah pak farmata hai : “Agar woh jahannum ko dekh letay to kya karte.” Woh arz karte hain : “To phir os se faraar haasil karne mein aur ziyada koshish karte aur bohat ziyada drtay.”
To Allah farmata hai keh” gawah ho jao, main ne un logon ki mughfirat farma di.” Un mein se aik farishta arz karta hai : “Ya Ellahi! Un mein aik aisa shakhs bhi tha, jo zikar karne walon mein se nahi tha, balkeh apne kisi kaam se aaya tha aur un mein baith gaya tha.” Allah pak farmata hai : “Ae farishto! Jo zikar karne walon ke sath baith jaye, woh bhi mahroom nahi rehta.” [5]Muslim: 2689
Aamaal mein sab se behtar Amal
Syedna Abbu Darda رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Rasool Allah ﷺ ne sahaba e karaam se daryaft farmaya : “Kya main tumahray aamaal mein se un aamaal ki khabar nah doun keh jo aamaal mein se sab se behtar, tumahray maalik ke nazdeek sab se ziyada pakeeza, darjaat ke lehaaz se buland o baala aur kharch ke aitbaar se zar o maal se bhi behtar hain? Aur is se bhi keh tum kisi dushman ka saamna karo aur phir woh tumhari gardanein kaat den aur tum un ki gardanein kaat do?” Unhon ne arz ki : “Ya Rasool Allah ﷺ ! zaroor khabar dijiye?” farmaya : “Allah ka zikar karna.” [6]Tirmidhi: 3387
Islam ki behtareen khaslatain
Hazrat syedna Maaz ban Jabal رضی اللہ عنہ se marwi hai keh main ny Rasool Allah ﷺ se daryaft kiya keh “Islam ki behtareen khaslatain kya hain?” farmaya: “Kisi se dosti karo to Allah عزوجل ke liye aur kisi se dushmani karo to Allah عزوجل ke liye aur teri zabaan par Allah عزوجل ka zikar jari rahay.” [7]Mishkat-ul-Masabeeh, Jild 1, P: 57
Dil ki Safai
Syedna Ibn Umar رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Rasool Allah ﷺ farmaya karte : “Har shei ke liye koi nah koi safai karne wali shei hoti hai aur dilon ki safai khuda ke zikar se hoti hai.” [8]At-Targhib wat-Tarhib, Jild 2, P: 256
Hazrat Sufyan bin Oyeena رضی اللہ عنہ farmatay hain keh” Jab koi qoum jama ho kar Allah pak ka zikar karti hai, to shetan aur duniya os se hatt jatay hain. Shetan, duniya se kehta hai: “kya to dekh nahi rahi ke yeh kya kar rahay hain? “woh jawab deti hai :” Inhen chore day, kyun keh jab yeh mutafarriq hon ge, to main in ki gardanein pakar pakar kar tairay paas laun gi.” [9]Mukashafat ul Quloob, Page: 178
Allah hamein apni zabaan zikar Allah mein istemaal karne ki tofeeq ataa farmaiye. Aamen
Hawala Jaat