Allah

Allah pak ki qudrat aur os key baray mein bunyadi Aqaid

Duniya ki har cheez tabdeel hoti rehti hai. Aur kabhi nah kabhi fanaa ho jaye gi. Kisi nah kisi waqt woh peda hui hai to zaroor un sab cheezon ka koi peda aur khatam karne wala hai. Us ka naam pak “Allah” hai. Woh hamesha se hai hamesha rahay ga. Wohi tamam Jahan ka bananay wala hai. Aasman, zameen, chaand, taaray, aadmi, janwar aur jitni cheeze hain sab ko usi naay peda kiya.

Wohi palta hai sab usi ke mohtaaj hain. Rozi dena, zindah karna, maarna os ke ikhtiyar mein hai. Woh sab ka maalik hai jo chahay kare os ke hukum mein koi dakhal nahi day sakta. Wohi har kamaal o khoobi ka jame aur har aib o nuqsaan aur buraiee se pak hai. Woh zahir aur chhupi cheez ko jaanta hai. Koi cheez os ke ilm se bahar nahi. Jaisay os ki zaat hamesha se hai os ki tamam sifaat (khoobiyan) bhi hamesha se hain. Jahan ki har cheez os ki peda ki hui hai.

Hum sab os ke bande hain. Woh hum par hamaray maan baap se ziyada meharban, reham farmane wala, gunah bakhshnay wala, tauba qubool farmane wala hai.

Allah pak ki qudrat

Os ki pakar nihayat sakht hai jis se baghair uss ke chhorey chhuut nahi sakta. Izzat, zillat os ke ikhtiyar mein hai. Jisay chahay izzat day, jisay chahay zaleel kare, jisay chahay ameer kare jisay chahay faqeer kare. Jo kuch karta hai hikmat hai insaaf hai. Musalmanoon ko jannat ataa farmaiye ga kafiroon par dozakh mein azaab karega.

Os ka har kaam hikmat hai. Bandon ki samajh mein aeye ya nah aeye os ki naematain, os ke ehsaan be intahaa hain. Wohi iss ka mustahiq hai keh os ki ibadat ki jaye aur koi ibadat ke Laiq nahi. Allah pak hamesha se zindah, qudrat wala yani jo chahay kare, suneney wala, dekhnay wala, kalam karne wala, jan-nay wala, iradah farmanay wala hai. nah woh kisi ka baap, nah beta, nah os ki koi bi bi, nah rishta daar. Sab se be niaz.

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *