EnHuzoor ﷺ ke 10 ashaab woh hain jin ke janati honay ki duniya mein khabar day di gayi un ko “Ashra Mubashra“ kehte hain. Un mein 4 to Khulfa رضی اللہ عنہم hain.
WhatsApp Channel
Follow Now
YouTube Channel
Subscribe
- Hazrat Abu Bakr Siddiq,
- Hazrat Umar Farooq ban khitaab,
- Hazrat usmaan ban aafan,
- Ameer ul-momineen Hazrat Ali Ibn abi taalib,
- Hazrat Talha,
- Hazrat Zubair,
- Hazrat Abdul Al Rehman ban auf,
- Hazrat Saad ban abi Waqas,
- Hazrat Saeed ban Zaid,
- Hazrat Abbu Ubaida ban jarah رضوان اللہ علیہم اجمعین.
En Ashra Mubashra k elawa bhi Ahadees mein baaz aur sahaba karaam ko bhi jannat ki basharat di gayi hai. Chunancha khatoon e jannat Hazrat Fatima Zahra رضی اللہ عنہا ke haq mein warid hai keh woh jannat ki bibiyon ki sardar hain aur Hazrat Imam e Hassan aur Hazrat Imam e Hussain رضی اللہ عنہما ke haq mein warid hai ke woh jawanan e bahisht ke sardar hain. Isi tarhan ashaab e badar aur ashaab بیعۃ الرضوان ke haq mein bhi jannat ki bashartein hain.