Hazrat Soban رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Sarwar e Aalam ﷺ ne farmaya keh
“Jo aurat bilaa zarurat e sharai shohar se Talaq mangay os par jannat ki khusbhu haram hai.”
(ابوداؤد ، کتاب الطلاق ، باب فی الخلع ، رقم ۲۲۲۶ج۲،ص۳۹۰)
Talaq manganey wali auratain mutawaje hon
Meri wo tamam behnen jo shadi shuda hen aur bila waja talaq mangne ka sochti hen. Meri un se darkhawst hai keh khudara aesa na karen. Apni aur apni oulad ki zindagi dao par na lagaien. Aapko shayad itna farq na parta ho magar aapki oulad tukron mein batt kar reh jay gi. Aur sari zindagi aap logon mein farq samajhti reh jay gi. Aap logon ki shafqat ko tarasti reh jay gi. Magar aap logon ki laraiyan unki zindagi ajeer bana den gi. Baray karam aesa mat kijye.
Amuman aesa kisi choti c baat par hi hota hai aur wo choti c baat bhi hamari choti c khuwahish hi hoti hai. Maslan mujhe ye kyun kaha, mujhe wo chez kyun nahi le di, mujhe fulan ki shadi mein kyun nahi le gaya waghera waghera. Kya hum sabar kar ke en khuwahishat ko ignore kar ke kyun na apni aur apni oulad ki zindagi aur 2 khandanon ki izzat bacha len.
Talaq ki nobat kyun aai
Wo wajuhat samjhiye jin ki waja sey ye nobat aai hai. Hikmat e amli se unka hal kijye. Ho sakta hai es mein waqt lagy kyun keh jo masla barhta barhta yahan tak aaya hai zahir si baat hai uska hal bhi aahista aahista hi hoga. Kabhi bhi jald bazi mat kijye ga sabar se kaam lijye ga. Allah pak hamen amal karne ki tofeeq atta farmaye. Amen
Aur Allah Pak es hawalay se hamari tamam musalman behnon ko apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmaye. Amen