Is ka asal naam Ali Muhammad tha aur bap ka naam Muhammad Raza , jo Shiraz ka aik tajir tha. Mirza Ali Muhammad ney babi firqa ki bunyaad rakhi. Farsi o arabi ki ibtidayi kutub parhte hi is ney sakht rayazaten kar kay Zuhad mein naam kamaya. Phir karbalaa mein syed kazim Mujtahid key halqa e dars mein shareek raha. Syed kazim key marnay key baad is key bohat se shagird ley kar koofa pouncha aur wahan apni masnoi ibadatoon sey logon ko apni taraf mael kar liya.
Phir 1260ھ mein apne cheelon sey yeh izhaar kiya keh jis mahdi ka intzaar kiya ja raha tha woh main hi hon aur us kay saboot mein baaz ahadees jin mein mahdi Maood key aasar zikar kiye gaye hain woh paish kiye aur kaha yeh tamam aasar mujh mein poori tarhan paye jatay hain. Ghaliban os ny nabuwat ka daawa bhi kiya tha.
Mirza Ali Muhammad Bab ny apna mojza kis ko kaha
Jab os se moujza talabb kiya gaya to kehnay laga meri tehreer o taqreer hi mojza hai. Is sey barh kar kya mojza ho sakta hai keh main aik hi din mein aik hazaar shair munajat mein tasneef karta hon. Phir usay khud likhta bhi hon aur os ney apni chand munajat logon par paish kee jis mein aarab tak durust nah tha. Jab os par aitraaz hua to kaha: ilm aik gunah ka murtakib honay ki wajah se ab tak gazabb e Ellahi ka shikar tha. Meri Shafaat ki wajah sey os ki khata maaf hui aur yeh hukum diya gaya keh ab nahwi ghaltion ka muzahiqa nahi ayendah koi agar nahwi ghalti kare to kuch harj nahi.
Aik aur harba
Awam ko mael karne key liye aik harba aur mulahiza frmayie:
Os ney elaan kiya keh mery wujood se tamam Adyan muttahid ho jaien gey. Kyun keh main aayendah saal mecca Muazzama sey Kharooj karoon ga aur jumla roye zameen par qabza karoon ga. Lehaza jab tak tamam Adyan muttahid nah hon neez tamam duniya meri tabedar nah ho jaye os waqt tak tamam Mardon par takaleef شرعیہ maaf hain. Ab agar koi mera mureed ehkaam شرعیہ ada nah kare to os par muwakhza nahi hai. Is elaan sey bhi duniya parast aish kosh log is ke fraib mein aatay gaye zara un key mazhab ka haal mulahiza ho:
- Behan bhai mein jinsi taluqaat bilaa nikah bhi qaim karna rawa tha.
- Aik aurat 9 admion sey nikah kar sakti thi. Bil alfaz deegar 9 aadmi aik aurat se nikah karne key rawadaar they.
- Kisi mazhab ki pabandi nah thi. Is madar pidar azadi ka nateeja nihayat bhayanak nikla is ke iteba karne waly logon mein elania fisq o Fajoor ka bazaar garam ho gaya. Is ney apne mureedon ko chand ehkaam bhi diye they woh bator e ashaar they mulahiza hon:
- Chunkah Tamam duniya mere zair e nageen hogi neez tamam duniya mein aik mazhab hona hai. Lehaza main aindah baras mecca se Kharooj karoon ga taa keh duniya mery qabzay mein aa jaye, Aur mery wujood sey maqsood aghraaz poori ho jaien. Os key nateejay mein yaqeenan dushmanan e khuda ki jaanen jism sey judda hongi. Hazaron khoon ki nadiya behain gi. Pas jumla mureedon ko hukum diya jata hai keh woh bator alamat o shagoon apne khutoot ko surkh kiya karen.
- اسلام علیکم key bajaye “مرحبا بک” salam muqarar kiya jata hai.
- Azan mein mera naam bhi daakhil ho.
Os ka laqab Bab kaisay para
Babi ka kehna tha ke (معاذ اللہ) Muhammad ﷺ o Ali رضی اللہ عنہ ney mujh se baet ki aur ab tak yeh dono hastiyan judda judda theen main un dono ka jame hua is liye mera naam bhi Ali Muhammad hai. Neez jis tarhan koi aadmi baghair bab key ghar mein daakhil nahi ho sakta isi tarhan mujhe dekhe baghair aur mujh se ijazat liye baghair khuda aur deen e khuda tak nahi pouncha ja sakta. Is key cheelon ney yeh mazkoorah bakwaas sun kar hi is ka laqab bab kar diya.
Mirza Ali Muhammad Bab ki tasneef
Bab ney apne tasneef kardah majmoa ke aik hissa ka naam quran dosray ka naam munajat rakha. Babi firqay ke chand aqaed mulahiza hon.
- Khuda kahin gayab nahi hai. Balkeh woh hamaray apne andar mojood hai. So jab hum usay apne andar dekhte hain to wohi is se mulaqaat ka din hota hai. Yeh mulaqaat qayamat se wabasta nahi hai balkeh hamari zindagi se mutaliq hai.
- Hamara martaba dekh kar woh quran musalmanoon ke quran se kayi hissa behtar hai.
- Hashar o Nashar se morad neki o badi ki zindagi hai. Agar koi shakhs gunah gaar hai woh murda ho jata hai. Lekin joun hi woh naik logon ke paas aata hai woh zindah ho jata hai. Goya gunaaho ki zindagi chorr kar naikon ke paas aana hi hashar o Nashar hai. Is ke ilawa qayamat kuch bhi nahi hai.
Yeh fitnah parwar shakhs kayi saal tak Iran par chaaya raha. Is douran shiaon se uskay munazray bhi hue aakhir-kaar usay چہریق ke qilay mein qaid kar diya gaya. Yahan tak keh 1265ھ mein usay goli maar di gayi. Aur os ki laash gali kochoon mein ghuma kar bahar dalwa di gayi.[1]ملخص از ترجمان اہلسنت بابت ماہ نومبر 1973ص ۲۹ تا ۳۳ ، مدارج النبوۃ مترجم جلد دوم صفحہ۵۵۲مطبوعہ مکتبہ اسلامیہ اردوبازار لاہور
Hawala Jaat