Bheek | Bila haajat sawal karna kaisa hai?

Bheek

Bila haajat kisi bhi musalman ko sawal karne ( yani bheek mangnay ) ki Shariat ki janib se ijazat nahi hai. Bheek ki muzammat mein kai ahadees marwi hain. Chunacheh

Bheek mangney key bary mein Ahadees e Mubarka

  1. Hazrat Abdullah bin Umar رضی اللہ عنہ se marwi hai ke Rasool Kareem ﷺ nay farmaya:
    ”Aadmi hamesha logon se bheek mangta rahay ga yahan tak keh qayamat ke din woh is haalat mein aaye ga keh os ke moun par gosht ki booti nah ho gi, nihayat be aabru ho kar aaye ga.”
    (بخاری ، کتاب الزکوۃ،رقم ۱۴۷۴،ج۱،ص۴۹۹)
  2. Hazrat Zubair bin Awam رضی اللہ عنہ rivayat karte hain keh Shafi e Mehshar ﷺ nay farmaya :
    ”Tum mein se jo shakhs apni rassi le kar aur lakrion ka aik ghatta peeth par laad kar laaye aur un ko baiche aur Allah Pak bheek mangnay ki zillat se os ke chehray ko bachaaye to yeh behtar hai is baat se keh logon se bheek mangay aur woh is ko den ya nah den”.
    (بخاری، کتاب الزکوۃ،رقم۱۴۷۱،ج۱،ص۴۹۷ )
  3. Hazrat Samra bin Jundab رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Rasool e Kareem ﷺ ne farmaya :
    Bheek maangna aik qisam ki khrash hai keh aadmi bheek maang kar apne moun ko nochta hai to jo chahay apne moun par khrash ko numaya kary aur jo chahay is se apna chehra mehfooz rakhay.” Haan agar aadmi sahib saltanat se apna haq mangay ya aisay amar mein sawal kary keh os se charah kar nah ho to jaaiz hai.”
    (سنن ابی داؤد ، کتاب الزکوٰۃ ، باب ماتجوز فیہ المسألۃ،رقم الحدیث ۱۶۳۹، ج۲،ص۱۶۸)
  4. Hazrat Abu-Hurera رضی اللہ عنہ ne kaha keh Sarwar e Aalam ﷺ ne farmaya keh:
    “Jo shakhs maal badhaane ke liye logon se bheek mangta hai woh goya angara mangta hai to os ko ikhtiyar hai keh bohat mangay ya kam mangay.”
    (مسلم،کتاب الزکوۃ،رقم۱۰۴۱،ص۵۱۸)
  5. Hazratِ Syedna Kabsha Anmari رضی اللہ عنہ farmatay hain keh Main ne Rasool Ullah ﷺ ko farmatay hue suna :
    ”Main 3 baton mein qasam uthata hon aur tumhen aik kaam ki baat batata hon usay yaad karlo.
    (1) Sadqa bande ke maal mein kami nahi karta.
    (2) Jis bande par zulm kiya jaye aur wo is par sabr kary to Allah Pak os ki izzat mein izafah farmaye ga.
    (3) Jis bande ne sawal ka darwaaza khoola Allah Pak os par fqar ka darwaaza khol day ga.”
    (ترمذی، کتاب الزھد، باب ماجاء مث الدنیا اربعۃ نفر، رقم ۲۳۳۲، ج۴، ص ۱۴۵)
  6. Hazrat Habshi ban Jnada رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh Sarwar e Konain ﷺ nay farmaya:
    ” Ameer aur taaqatwar ke liye sadqa halal nahi. Sadqa sirf intahi ghareeb, adayigi e qarz se naatvaan aur uss shakhs ke liye hai jis par diyat ya qisaas lazim ho jaye aur jis nay is liye logon se sawal kiya taa keh maal mein kasrat ho to aesa sawal qayamat ke din os ke chehray par zakham aur jahannum ka pathar hoga jisay yeh khaye ga to jo chahay is mein kami kary aur jo chahay ziyadti kary.”
    Aur Huzoor ﷺ ne Seddiq Akbar, Abbu Zar Ghaffari aur Soban رضی اللہ عنہم sey farmaya :
    ”Tumhara kora bhi gir jaye to kabhi kisi se sawal mat karna”.
    (سنن الترمذی ، کتاب الزکوۃ ، باب ماجاء من لاتحل لہ الصدقۃ ، رقم الحدیث ۶۵۳،ج۲،ص۱۴۰)

Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmay. Amen

5/5 - (2 votes)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *