Buri suhbat ka anjaam (Hikayat)

Buri suhbat ka anjaam (Hikayat)

Panjab (Pakistan) kay ek muhallay mein ek ‘ajeeb o ghareeb badbu (bad-smell) mahsos honay lagi, alaqay walon ki khob justaju kay ba’d kahen ja kar badbu ka suragh mila, wo badbu ek band ghar say aa rahi thi.

Chunacheh police ko ittila’ di gai. jab police walay logon ki mojodgi mein tala tor kar ghar kay andar dakhil huye to ye dekh kar sab kay rongtay kharay ho gaye keh wahan charpai par ek jawan aadmi ki laash pari thi aur os kay ba’z hissay gal sarr chukay thay aur un mein kerray rayeng rahay thay.

Ye manzar dekh kar bachhon samayt kai afrad bayhosh ho gaye. Tahqeeq karnay par pata chala keh ye nojawan mehnat mazdori karnay kay liye is ilaqay mein aaya tha, kiraye kay makan mein rehaish pazeer tha aur ba’z juwariyon say os ki dosti thi.

Ek din ye nojawan apnay doston say juay mein bahut sari raqam jeet gaya, haray huay juwari doston nay hari hui raqam lotnay kay liye os kay galay mein phanda kassa aur bijli kay karant laga laga kar mout kay ghat utar dia, phir usay bay gor o kafan chor kar tala laga kar farar ho gaye. (Neki ki dawat, pp.290)

Hasil

Piyaray bhaio! suna aap nay keh buri suhbat mein uthna baythna kis qadar halakat o barbadi ka sabab aur buri suhbat mein rehany ka kis qadar bhayanak anjam hota hay. Bila shubah suhbat insan ko kahen ka nahen chorti, buron ki suhbat mein baythna goya aafaton, balaon, aur museebaton kay darwazay khol deti hay.

Basa auqaat yehi buray dost apnay faaiday ki khaatir apnay hi saathiyon kay jani dushman ban kar un say jeenay ka haq cheen laytay hain aur intihai aziyat kay ba’d maut kay ghat utar daytay hain aur youn buray doston ki suhbat mein rahnay walay mu’aashray mein nishan e ‘ibrat ban jatay hain.

Abhi ham nay juwariyon ki suhbat mein rehnay walay shakhs ki ibrat naak maut ki hikayat sunni lihaza hamen chahiye keh ham buray doston bilkhusos juye ki lat mein mubtala logon ki suhbat e bad say dor rahen keh juye ki aafat ki wajah say apni mehnat say kamai hui sari jama’ ponji lutanay kay sath sath kaseer nuqsanaat ka samna karna parta hay. Jaisa keh hum ne dusri tehreer mein bayan kia hai.

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *