Qayamat ki aik bari nishani dajjal ka zahir hona bhi hai. Dajjal ka fitna bahut bara aur sakht hoga. Eski ek aankh hogi woh kaana hoga aur os ki peshani par ک،ا،ف،ر ( Yani kafir ) likha hoga. Har musalman os ko parhay ga, magar kafir ko nazar nah aaye ga.
Woh 40 din mein tamam zameen mein phiry ga. Magar Makkah shareef aur Madinah shareef mein dakhil nah ho sakay ga. Un 40 din mein pehla din 1 saal ke barabar hoga, doosra 1 maheena ke barabar, teesra 1 hafta ke barabar aur baqi din mamool ke dinon ke barabar hon gay.
Dajjal ka Fitna
Wo khudai ka dawa karega aur uske sath 1 baagh aur 1 aag hogi, jis ka naam woh jannat aur dozakh rakhay ga. Jo os par imaan laaye ga os ko woh apni jannat mein daaley ga, jo haqeeqat mein aag hogi. Aur Jo os ka inkaar karega os ko apni jahannum mein dakhil karega jo asal mein aaram ki jagah hogi.
Bohat say ajayeb dekhaye ga. Zameen se sabza ugaye ga. Aasman se barish barsaye ga. Murday zinda karega.
Aik Momin
Aik naik momin is ki taraf mutwajjah hon ge aur un se dajjal ke sipahi kahin gay kya tum hamaray rab par imaan nahi laate? Woh kahen gay. Mery Rab ke dalail chupay hue nahi hain.
Phir woh un ko pakar kar Dajjal ke paas lay jayenge. Yeh os ko daikh kar farmaen gay. Aey logo yeh wohi Dajjal hai jis ka Rasool e Kareem ﷺ ny zikar farmaya hai.
Dajjal ke hukum se un ko mara jayega. Phir Dajjal kahe ga kya tum mery oupar imaan nahi laate? Woh kahen gay to maseeh e kazzab hai.
Dajjal ka Rad e Amal
Dajjal ke hukum se un ka jism mubarak sar say paon tak cheer ke 2 hissy kar diya jayega aur un dono hisson ke darmiyan Dajjal chalay ga. Phir kahe ga uth! to woh tandrust ho kar uth kharray hon gay. Tab wo un se kahy ga tum mujh par imaan laate ho?
Woh farmayenge meri baseerat aur ziyada ho gayi. Ay logo! yeh dajjal ab mery baad kisi ke sath phir aesa nahi kar sakta. Phir wo inhen pakarr kar zibah karna chahay ga aur es par Qadir nah ho sakay ga.
Phir un ke hath paun se pakarr kar apni jahannum mein daaley ga. Log guman karen gay keh un ko aag mein dala. Magar dar haqeeqat woh aaram ki jagah hon ge.[1]Kitab ul Aqaid, Page 28
Hawala Jaat