Darood Sharif ki Fazilat

Darood Sharif

Darood Sharif duniya bhar ke musalmanoon ke dilon mein aik ahem maqam rakhta hai. Yeh aik muqaddas dua hai jo Huzoor Akram ﷺ ki tazeem aur tareef ke liye parhi jati hai. Es blog post mein, hum Darood Sharif parhnay ki ahmiyat, fawaid aur tareeqon par roshni dalain ge.

Darood Sharif kya hai?

Darood Sharif, jisay Salawat bhi kaha jata hai, aik dua hai jo Nabi e akram ﷺ par barakat ke liye parhi jati hai. Yeh Rasool Allah ﷺ se mohabbat, ehtram aur shukar guzari ka aik tareeqa hai. musalman mukhtalif shaklon mein Darood Sharif parhte hain, har aik ki apni Barkaat hoti hain.

Allah pak ney apne piyary Nabi Hazrat Muhammad e Mustafa ﷺ ko dono jahan kay lye rehmat bana kar bheja hai Jiska zikar Quran e Pak mein bhi mojoud hai. Aur Aap ﷺ ko aesy maqam par sarfaraz farmaya jaisa maqam kisi ko na atta kiya. Hata keh Allah pak ney darood sharif ki fazilat mein yahan tak farma diya keh Allah aur oskay farishtay Nabi e pak ﷺ par durood bhejtay hen ay iman walo tum bhi bhejo. Chunacheh Allah pak ne irshad farmaya:

اِنَّ اللہَ وَمَلٰٓئِکَتَہٗ یُصَلُّوۡنَ عَلَی النَّبِیِّ ؕ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا صَلُّوۡا عَلَیۡہِ وَ سَلِّمُوۡا تَسْلِیۡمًا ﴿۵۶﴾ 

Tarjuma Kanzul Iman: Be shak Allah aur os ke farishtay durood bhaijtay hain is ghaib batanay walay [1] Nabi par Ae imaan walo un par durood aur khoob salam bhejo.” [2]پ ۲۲ سورۃ الاحزاب آیت ۵۶

Zindagi bhar mein aik martaba Darood Sharif parhna farz hai. Aur kisi mehfil mein pehli martaba zikar honay par parhna wajib. Aur bar bar zikar honay par Darood Sharif parhna mustahab hai.

Darood Sharif ke mutalik Ahadees e Mubarkah

Sarkar e Madinah ﷺ par Darood Sharif parhnay ke be shumaar fazail ahadees e mubarkah mein warid hue hain. Chand riwayaat paish e khidmat hain,

  1. Farmaan e Mustafa ﷺ hai : “Allah pak ki khatir aapas mein mohabbat rakhnay walay jab baahum milein aur musafah karen aur Nabi ﷺ par Durood pak bhejen to un ke juda honay se pehlay dono ke aglay pichlle gunah bakhash diye jatay hain.”[3]مسند ابی یعلی ، رقم الحدیث ۲۹۰۱،ج۳ ،ص۹۵
  2. Farmaan e Mustafa ﷺ hai :”Jis ne Muhammad ﷺ par Darood pak parha aur kaha
    ”اللّٰھُمَّ اَنْزِلْہُ الْمَقْعَدَ الْمُقَرَّبَ عِنْدَ کَ یَوْمَ الْقِیَامَۃِ“

    os ke liye meri shafaat wajib ho gai.”[4]المعجم الاوسط ،رقم الحدیث ۳۲۸۵،ج۲ ،ص ۲۷۹
  3. Farmaan e Mustafa ﷺ hai : “Mujh par kasrat se durood pak parho be shak tumhara mujh par Durood pak parhna tumahray gunaaho ke liye mughfirat hai.”[5]الجامع الصغیر،رقم الحدیث ۱۴۰۶،ج۲،ص۱۱۲
  4. App ﷺ ka farmaan hai : “Be shak Allah pak ney aik Farishta meri qabar par muqarrar farmaya hai jisay tamam makhlooq ki aawazian sun-nay ki taaqat ataa farmai hai pas qayamat taq jo koi mujh par durood pak parhta hai to woh mujhe os ka aur oske baap ka naam paish karta hai. kehta hai, fulan bin fulan ney aap par is waqt Darood pak parha hai.”[6]مجمع الزوائد،کتاب الادعیۃ، رقم الحدیث ۱۷۲۹۱،ج۱۰ ،ص۲۵۱
  5. Farmaan e Mustafa ﷺ hai : ”Jo mujh par 100 martaba Durood pak parhay ga Allah pak os ki 100 hajat poori farmaye ga, un mein se 30 duniya ki hain aur 70 akhirat ki.”[7]کنز العُمّال ،کتاب الاذکار،رقم الحدیث ۲۲۲۹،ج۱ ،ص ۲۵۵
  6. Farmaan e Mustafa ﷺ hai : “Jis ney yeh kaha: 
    جَزَ ی اللہُ عَنَّا مَحَمدًا مَّا ھُوَ اَھْلُہٗ 

    to 70 FARISHTAY aik hazaar din tak os ke liye naikian likhte rahen gey.”[8]المعجم الکبیر ، رقم الحدیث۱۱۵۰۹،ج۱۱، ص۱۶۵
  7. Farmaan e Mustafa ﷺ hai : “Baroz e qayamat logon mein se mery qareeb tar woh hoga jis ney duniya mein mujh par ziyada darood pak parhay hon gey.”[9] ترمذی،کتاب الوتر، ج ۲، ص۲۷
  8. App ﷺ ka farmaan hai : “Mujh par darood pak parho Allah pak tum par rehmat bheje ga.”[10]تفسیر درمنثور ،ج۶ ،ص۶۵۴
  9. Farmaan e Mustafa ﷺ hai : “Ae logo! be shak baroz e qayamat uski dahshton aur hisaab kitaab se jald nijaat panay wala shakhs woh hoga jis ney tum mein se mujh par duniya ke andar ba kasrat Darood pak parhay hon gey.”[11]فردوس الاخبار ، رقم الحدیث ۸۲۱۰ ،ج۲ ،ص ۴۷۱
  10. Farmaan e Mustafa ﷺ hai : “Jis ney mujh par 100 martaba Durood pak parha Allah pak us ki dono aankhon ke darmain likh deta hai keh yeh nifaq aur jahannum ki aag se azad hai aur osy baroz e qayamat shohada ke sath rakhay ga.”[12]مجمع الزوائد،رقم الحدیث ۱۷۲۹۸، ج۱۰،ص۲۵۳
  11. Farmaan e Mustafa ﷺ hai : “Jo mujh par aik din mein aik hazaar baar darood pak parhay wo uss waqt tak nahi maray ga jab tak jannat mein apna maqam nah dekh le.”  [13]الترغیب والترہیب ،کتاب الذکر والدعاء ج۲ ،ص ۳۲۸
  12. Ek aur maqam par App ﷺ ka farman hai : “Jis ney din aur raat mein meri taraf shoq o muhabbat ki wajah se teen teen martaba Durood pak parha. Allah pak par haq hai keh woh uss ke uss din aur uss raat ke gunah bakhash day.”[14]الترغیب والترہیب،کتاب الذکر، ج۲،ص ۳۲۸
صلوا علی الحبیب    صلی اللہ تعالٰی علٰی محمد

Allah pak hamein apni zabaan Darood Sharif parhnay mein istemaal karne ki tofeeq attaa farmaye. Aamen

5/5 - (6 votes)

Hawala Jaat[+]

2 thoughts on “Darood Sharif ki Fazilat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *