Ameer ul Mumineen Hazrat Sayyiduna Umar Farooq e A’azam رضی اللہ عنہ farmatay hen: Aesi chez mein nah parro jo tumharay liye mufeed na ho aur dushman say alag raho aur dost say bachtay raho magar jab keh wo ameen ho keh ameen kay barabar koi nahen aur Faajir[1]Gunah gaar kay sath na raho keh wo tumhen fujor[2]Gunah sikhaye ga aur us kay samnay raaz ki bat na kaho aur apnay kaam mein un say mashwaray lo jo Allah pak say dartay hen.[3]Shu’ab ul Iman, jild. 4, pp. 257, Hadees 4995
Faajir, Ahmaq aur Kazzab sey dosti
Ameer ul Mumineen Hazrat Sayyiduna Maula ‘Ali mushkil Kusha رضی اللہ عنہ farmatay hen: Faajir say bhai bandi na karo kay wo apnay fail ko tumharay liye muzyyan karay ga aur ye chaahay ga kay tum bhi us jaysay ho jao aur apni badtareen khaslat ko achha kar kay dikhaye ga, tumharay paas us ka aana jana ayb aur nang hay,
Aur ahmaq say bhi bhai charah na karo kay wo apnay ap ko mushaqqat mein daal day ga, aur tumhen kuch nafa’ nahen ponhchaye ga aur kabhi ye ho sakta hay kay tumhen nafa’ pohchana chaahay ga magar nuqasan ponhcha day ga, us ki khamoshi bolnay say behtar hay, us ki dori nazdeeki say behtar hay aur us ki maut zindagi say behtar,
Kazzaab[4]Jhotay say bhi bhai charah na karo kay us kay hath mu’aasharat tumhen nafa’ na day gi, tumhari baat dosron tak pohnchaye ga aur dosron ki tumharay paas laye ga aur agar tum sach bolo gay jab bhi wo sach nahyn balay ga.[5]Tareekh e Ibn e ‘Asaakir, 516
Kutta buray dost sey behtar
Hazrat Sayyiduna Ja’far bin Sulayman رحمة الله عليہ farmatay hen keh main nay ek kuttay ko Hazrat Sayyiduna Malik bin Dinar رحمة الله عليہ kay pechay pechay chaltay dekha to kaha: Aye Abu Yahya! Ap kay sath ye? Farmaya: Ye[6]kutta buray humnasheen say behtar hay.[7]Mu’jam Ausat, jild. 1, pp.192, raqam 641
Mazeed buray dost ki suhbat key mutaliq ek waqia hai jo hum ney apni dusri “Buri suhbat ka anjaam (Hikayat)” naami tehreer mein bayan kiya hai mulahiza ferma len.
Mohtaram Sathio! Suna ap nay kay buri suhbat dunya o aakhirat kay liye kis qadar nuqsan deh hay. Lihaza ‘aafiyat isi mein hay keh hum buri suhbat say dour rahen keh kahen aysa na ho buri suhbat mein rehnay ki wajah say log hamaray mutalliq bhi tarah tarah ki baten banaen aur humain buray alqabaat say pukaren.
Aiye! Buri suhbat ki halakat khayziyon say bachnay kay liye is ki muzammat par mushtamil 4 farameen e Mustafa ﷺ suntay hen aur un say haasil honay walay naseehat kay moti chuntay hen. Chunacheh
4 Hadees e Nabvi ﷺ
- Irshad farmaya: Buray saathi say bacho kion keh wo jahannam ka ek tukra hay, us ki muhabbat tumhen faaidah nahen pohchaye gi aur wo tum say apna wa’dah pora nahen karay ga.[8]Firdaus ul Akhbar, jild. 1, pp. 224, Hadees 1573
- Irshad farmaya: Buray humnasheen say bacho kay tum us kay saath pehchanay jao gay.[9]Tareekh e Ibn e ‘Asaakir, 14/46
- Irshad farmaya: Subuh is haal mein karo kay tum ‘aalim ho ya mut’allim[10]Taalib e ilm ya ‘aalim ki baten sunnay walay, ya ‘aalim say muhabbat karnay walay aur panchwen na hona kay halak ho jao gay.[11]Kashf ul Khifa, jild. 1, pp. 134, Hadees 437
- Irshad farmaya: Acha aur buray humnasheen ki misaal mushk kay uthanay aur bhatti dhanknay walay ki si hay mushk wala tumhen mushk waisay hi day ga ya tum us say khareedo gay, aur kuch na sahi to khushbu to aye gi aur bhatti dhonknay wala tumharay kapray jala dayga ya tum us say badbu pao gay.[12]Bukhari, jild. 2, pp. 20, Hadees 2101
Mashhor Mufassir e Quran, Hakeem ul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan
رحمة الله عليه bayan kardah Hadees e pak ki sharah kartay hue farmatay hen: سُـبْحٰـنَ الـلّٰــه عزوجل ! Kaysi pakeezah misaal hai jis kay zaree’ay samjhaya gaya hai. Keh buron ki suhbat faaidah aur achhon ki suhbat nuqsan kabhi nahen deti.
Hawala Jaat