Qayamat ki museebatein jheel kar abhi log os ki takleef o dehshat mein hon ge keh achanak un ko andherian ghair len gi aur lipat maarny wali aag un par chhaa jaye gi aur os ke ghaiz o ghazab ki aawaz suneney mein aeye gi. Os waqt badkaaron ko azab ka yaqeen hoga aur log ghutnon ke bal gir parren gey aur farishtay nida karen ge kahan hai fulan fulan ka beta! jis ny duniya mein lambi umeeden bandh kar apni zindagi ko badkaari mein zaya kiya. Ab yeh malaika un logon ko aahinii gurzon ( Lohay ka aik hathyar hai jo oupar se mota aur neechay se patla hota hai ) se bhgatay chalatay dozakh mein le jayen ge.
Dozakh ka bayan
Yeh aik daar hai jo zaalmon, sarkashon ke azab ke liye banaya gaya hai. Is mein ghup andheri aur taiz aag hai. Kafir is mein hamesha qaid rakhay jayen ge aur aag ki taizi dam bah dam zayadti kare gi, peenay ko inhen garam pani miley ga aur is qader garam keh jis se mun phatt jaye aur oupar ka hont sukarr kar adhay sar taq puhanche aur neechay ka phatt kar latak aeye. Un ki theharnay ki jagah ( جحیم ) ( dozakh ka aik tabqa ) hai. Malaika un ko marain gey.
Un ki khuwahish hogi ke woh kisi terhan halaak ho jayen aur un ki rihayi ki koi soorat nah hogi. Qadam pishaniyon se mila kar bandh diye jayen ge. Gunaahon ki siyahi se moun kalay hon ge, jahannum ke atraaf o jawanib shore machate aur faryaad karte hon ge keh ay maalik ( Darogha e jahannum ka naam )! azab ka wada hum par poora ho chuka hai. Ay maalik علیہ السلام! lohay ke boojh ne hamein chakna chor kar diya. Ay maalik علیہ السلام! hamaray badnon ki khalin jal gayeen. Ay maalik علیہ السلام! hum ko is dozakh se nikaal. Hum phir aesi nafarmani nah karen gey.
Farishtay kahen gey dour ho! Ab aman nahi aur is zillat ke ghar se rehai nah miley gi isi mein zaleel parre raho aur hum se baat nah karo. Os waqt un ki umeeden toot jayen gi aur duniya mein jo kuch sar kashi woh kar chuke hain os par afsos karen ge lekin os waqt sharmindagi o nadamat kuch kaam nah aeye ga, Afsos kuch faida nah day ga balkeh woh haath paon bandh kar cheharon ke bal aag mein dhakel diye jayen ge.
Har taraf aag hi aag
Un ke oupar bhi aag hogi neechay bhi aag, dahinay bhi aag baeen bhi aag, aag ke samandar mein doobe hon ge. Khana aag aur penaa aag, pehnawa aag aur bichona aag, har terhan aag hi aag, is par gurzon ki maar aur bhaari bediyon ka bojh. Aag inhen is terhan kholaye gi jis terhan handiyan kholti hain. Woh shore machayen ge un ke saron par se kholta pani dala jaye ga jis se un ke pait ki aanten o badnon ki khalen pighal jayen gi.
Lohay ke gurz maaray jayen ge jis se peshaniyan pitch jayen gi. Mounhon se peep jari hogi. Piyaas se jigar kat jayen ge. Aankhon ke dheelay beh kar rukhsaaron par aa parren ge. Rukhsaaron ke gosht gir jayen ge. Hath paon ke baal aur khaal gir jayen ge aur nah marren ge. Chehray jal bhun kar siyah kalay koylay ho jayen ge.
Ankhen andhi aur zubanain gongi ho jayen gi, peeth tedhi ho jaye gi. Naak aur kaan kat jayen ge. Khaal parah parah ho jaye gi. Hath gardan se mila kar bandh diye jayen ge aur paon peshani se, aag par moun ke bal chalaye jayen ge aur lohay ke kaanton par aankhh ke dheelay se raah chalein ge, aag ki lipat badan ke andar sarayat kar jaye gi aur dozakh ke saanp bichhoo badan par liptay, dastay, kaatetay hon ge. Yeh mukhtasir haal hai jo ikhtisaar ke sath zikar kya gaya.
70000 azdahay aur bichhoo
Hadees shareef mein hai dozakh mein 70 hazaar wadiyaan hain, har waadi mein 70 hazaar ghatiyan, har ghaati mein 70 hazaar azdahay aur 70 hazaar bichhoo hain. Har kafir o munafiq ko un ghatiyon mein pohanchna zaroor hai.
Huzoor ﷺ naay farmaya جُبِّ حُزن se panah mango. Sahaba e karaam علیہم الرضوان naay arz kiya ”جُبِّ حزن“ kya cheez hai? farmaya jahannum mein aik waadi hai jis se jahannum bhi rozana 70 hazaar baar panah mangta hai. Allah pak apne ghazab o azab se panah day aur hamein aur sab musalmanon ko apne rehmat o karam se bakhshay. Aamen.
Jab tamam jannati jannat mein pohanch jayen ge aur dozakh mein faqat wohi log reh jayen ge jin ko hamesha wahan rehna hai. Os waqt jannat aur dozakh ke darmain maindhey ki shakal mein mout layi jaye gi. Aur tamam jannatiyon aur dozakhiyon ko dikha kar zibah kar di jaye gi. Aur farma diya jaye ga keh Ay Ahal e jannat! tumahray liye hamesha hamesha jannat aur is ki naematain aur Ay Ahal e dozakh! tumahray liye hamesha azab hai mout zibah kar di gayi ab hamesha ki zindagi hai, halaak o fanaa nahi. Os waqt Ahal e jannat ki khushi ki koi intahaa nah hogi isi tarhan dozakhiyon ke ranj o gham ki.
Thankyou.