Hum har saal Eid ul Azha kay moqa par josh o kharosh say qurbani karte hen. Ye eid 3 din par mushtamil hoti hen. Aur apne saath bahut c baharen laati hai. Islam mein mojoud tamam ahkaam takreeban kisi na kisi waqia say munsalik hotay hen. Qurbani karne kay pechy bhi ek aesa waqia mojoud hai jiska ka khulasa es tehreer mein aap mulahiza farmaien gay. Ye waqia ek khuwab say shuru hota hai.
Teenon raat mein ek tarha ka khuwab
Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay zil-hajj ki 8ven raat ek khuwab daykha. Jis mein koi kehnay wala keh raha hay: “Bay shak Allah tumhen apne baitay ko zibah karnay ka hukum dayta hay.” Ap subha say sham tak is baaray mein ghor farmatay rahay kay ye khuwab Allah ki taraf say hay ya shaitan ki janib say? Isi liye 8 zil-hajj ka naam “Youm e Tarvia” [1]Yani soch bichaar ka din rakha gaya hay.
9vin raat phir wohi khuwab daykha aur subha yaqeen kar liya kay ye hukum Allah ki taraf say hay. Esi liye 9 zil-hajj ko “Youm e Arfa” [2]Yani pehchannay ka din kaha jata hay.
10veen raat phir wo he khuwab daykhnay kay baad Ap nay subha us khuwab per amal karnay [3]Yani baitay ki qurbani ka pakka iraada farma liya. Jis ki waja say 10 zil-hajj ko “Youm e Nahar” yani “Zibah ka din” kaha jata hay. [4]Tafseer Kabeer, vol. 9, pp. 346
“Baitay ki Qurbani” say roknay ki shaitan ki na-kaam koshish
Allah kay hukum per amal kartay huway baitay ki qurbani kay liye Hazrat Ibrahim علیہ السلام jab apne piyaray baitay Hazrat Ismail علیہ السلام ko jin ki umar us waqt 7 saal [5]Ya 13 saal ya is say thori zaayid thi lay kar chalay. Shaitan in ki jaan pehchaan walay ek shakhs ki soorat mein zahir hua aur pochnay laga: Ay Ibrahim! Kahan ka iraada hay? Ap nay jawab diya: Ek kam say ja raha hun. Us nay pocha: Kya aap Ismail ko zibah karnay ja rahay hain?
Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay farmaya: Kya tum nay kisi baap ko daykha hay kay wo apne baitay ko zibah karay? shaitan bola: Jee han, apko daykh raha hun kay ap isi kam kay liye chalay hain! Ap samajhtay hain kay Allah nay apko is baat ka hukum diya hay. Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay irshad farmaya: Agar Allah nay mujhay is baat ka hukum diya hay tu phir main oski farman-bardaari karunga.
Hazrat Hajra رضی اللہ عنہا ka shaitan ko jawab
Yahan say mayoos ho kar shaitan Hazrat Ismail علیہ السلام ki ammi jaan Hazrat e Hajra kay pas aaya aur un say poocha: Ibrahim ap kay baitay ko kahan lay kar gaye hain? Hazrat Hajra رضی اللہ عنہا nay jawab diya: Wo apne ek kam say gaye hain. Shaitan nay kaha: Wo unhay zibah karnay kay liye lay gaye hain. Hazrat Hajra nay farmaya: Kya tum nay kabhi kisi baap ko daykha hay kay wo apne baitay ko zibah karay? Shaitan nay kaha: wo ye samajhtay hain kay Allah nay unhay is baat ka hukum diya hay.
Ye sun kar Hazrat Hajra nay irshad farmaya: “Agar aysa hay tu unho nay Allah pak ki farman bardaari kar kay bohat acha kia.” Is kay baad shaitan Hazrat Ismail علیہ السلام kay pas aaya aur unhay bhi isi tarha say behkaanay ki koshish ki lekin unho nay bhi yehi jawab diya kay agar meray Abu Jaan Allah kay hukum per mujhay zibah karnay lay ja rahay hain tu bohat acha kar rahay hain.
Shaitan ko kankariyan maarin
Jab shaitan bap baitay, ko behkaanay mein na-kaam hua aur “Jamray” kay pas aya tu Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay usay 7 “kankariyan” maarin, kankariyan maarnay per shaitan ap kay rastay say hat gaya. Yahan say na-kaam ho kar shaitan “dosray jamray” per gaya, farishtay nay dubara Hazrat Ibrahim علیہ السلام say kaha: “Isay maariye” Ap nay usay 7 kankariyan maarin tu us nay rasta chorr diya.
Ab shaitan “teesray jamray” kay pas pohncha. Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay farishtay kay kehnay per ek baar phir 7 kankariyan maarin tu shaitan nay rasta chor diya. Shaitan ko 3 muqamaat per kankariyan maarnay ki yad baki rakhi gayi hay aur aj bhi Haji in teenon jagahon per kankariyan maartay hain.
Baita qurbani kay liye tayyar
Hazrat Ibrahim علیہ السلام jab Hazrat Ismail علیہ السلام ko lay kar Kooh e Sabeer per pohnchay tu unhay ALLAH kay hukum ki khabar di. Jiska zikar Quran e Kareem mein in alfaaz mein hay:
Tarjuma: Ay meray baitay main nay khuwab daykha main tujhay zibah karta hun ab tu daykh teri kiya raaye hay?
Farma’n bardaar baitay nay ye sun kar jawab diya: ٰ
Tarjuma: Ay meray baap! Kijiye jis baat ka apko hukum hota hay, khuda nay chaha tu qareeb hay kay ap mujhay sabir [6]Yani sabar karnay wala paaye’n gey. [7]Paara 23, Surah As-saffaat: Ayat 102
Ye Faizan-e-Nazar tha ya kay maktab ki karamat
Seekhaye kis nay Ismail ko adab-e- farzandi
Mujhay rassiyon say mazboot baandh dijiye
Hazrat Ismail علیہ السلام nay apne walid e mohtaram say mazeed arz ki: Abbu jaan! Zibah karnay say pehlay mujhay rassiyon say mazboot baandh dijiye taa-kay main hil na sakun kiyun kay mujhay dar hay kay kahen meray sawab mein kami na hojaye aur meray khoon kay chheenton say apne kapray bacha kar rakhiye taa-kay unhay daykh kar meri ammi jaan ghamgeen na hon.
Chhuri khoob tayz kar lijiye kay meray galay per achi tarha chal jaye [8]Yani gala foran cut jaye kiyun kay mout bohat sakht hoti hay, ap mujhay zibah karnay kay liye payshani kay bal litaaiye [9]Yani chehra zameen ki taraf ho taa-kay apki nazar meray chehray per na parhay aur jab ap meri ammi jaan kay pas jayen tu unhay mera salam pohncha dijiye aur agar ap munasib samjhayn tu meri kameez unhay day dijiye, is say unko tasalli hogi aur sabar aajayega.
Hazrat e Ibrahim علیہ السلام nay irshad farmaya: Ay meray baitay ! Tum Allah kay hukum per amal karnay mein meray kaise umda madadgar saabit ho rahay ho! Phir jis tarha Hazrat Ismail علیہ السلام nay kaha tha unko usi tarha baandh diya. Apni chhuri tayz ki, Hazrat Ismail علیہ السلام ko payshani kay bal lita diya. Un kay chehray say nazar hata li aur un kay galay pay chhuri chala di, lekin chhuri nay apna kam na kiya yani gala na kata. Us waqt Hazrat Ibrahim علیہ السلام per wahi nazil hui:
Tarjuma: “Aur hum nay osay nida farmayi kay Ay Ibrahim bay-shak tu nay khuwab such kar dikhaya, hum aysa he silaa daytay hain naykon ko, bay-shak ye roshan jaanch thi aur hum nay ek barra zabeeha is kay fidiyay mein day kar osay bacha liya.”[10]Tafseer Khaazin, vol. 4, pp. 22
Jannat ka Mendha
Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay jab Hazrat Ismail علیہ السلام ko zibah karnay kay liye zameen per lita diya tu Allah kay hukum say Hazrat e Jibrael علیہ السلام ba-taur e fidiya jannat say ek mendha [11]Yani dumba liye tashreef laaye aur door say unchi awaz mein farmaya: اَللّٰہُ اَکْبَر اَللّٰہ ُاَکْبَر. Jab Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay ye awaz suni tu apna sar asmaan ki taraf uthaya aur jaan gaye kay Allah ki taraf say aanay wali azmaayish ka waqt guzar chuka hay aur baitay ki jaga fidyay mein mendha bhayja gaya hai.
Lihaza khush ho kar farmaya: لَآ اِلٰہَ اِلاَّ اللّٰہُ وَ اللّٰہُ اَکْبَر! Jab Hazrat Ismail علیہ السلام nay ye suna tu farmaya: ۡ اَللّٰہُ اَکْبَر وَ لِلّٰہِ الْحَمد. Is kay baad say in teenon pak hazraat kay in mubarak alfaaz ki adayegi ki ye sunnat qayamat tak kay liye jari o saari hogayi. [12]Binayah Sharah Hidayah, vol. 3, pp. 387
Jannati Mendhay kay gosht ka kia hua??
Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay Hazrat Ismail علیہ السلام kay fidyay mein jo mendha [13]Yani dumba zibah farmaya tha, os kay baaray mein aksar mufassireen ka kehna ye hay kay wo mendha[14]Yani dumba jannat say aya tha aur ye wo he mendha tha jis ko Hazrat e Adam علیہ السلام kay baitay Hazrat e Habeel nay qurbani mein paysh kia tha. Us mendhay ka gosht pakaya nahin gaya balkay usay darindon [15]Yani pharr kar kha janay walay janwaron aur parindon nay khaliya.
Jannati Mendhay kay Seeng
Hazrat e Sufiyan bin Uyanah farmatay hain: Os mendhay [16]Yani dumbay kay seeng arsa daraz tak Kaba shareef mein rakhay rahay yahan tak kay jab kaba shareef mein aag lagi tu wo seeng bhi jal gaye. [17]Musnad Imam Ahmad Bin Hanbal, vol. 5, pp. 589, Hadees 16637 Kaba shareef mein aag lagne ka waqia hum ne apni ek aur tehreer mein bayan kar diya hai.
Kya har koi khuwab daykh kar apna baita zibah kar sakta hay?
Yad rahay! Agar koi shakhs khuwab ya ghaybi awaz ki buniyaad per apne ya dosray kay bachay ya kisi insan ko zibah karay ga to sakht gunahgar aur azab e naar ka haq-daar qaraar paayega. Hazrat Ibrahim علیہ السلام jo khuwab ki bina per apne baitay ki qurbani kay liye tayyar hogaye ye haq hay. Kiyun kay Ap Nabi hayn aur Nabi ka khuwab wahi e Ilahi hota hay.
Ye In Hazraat ka imtehan tha. Hazrat e Jibrael علیہ السلام jannati dumba lay aye aur Allah Pak kay hukum say Hazrat Ibrahim علیہ السلام nay apne piyaray baitay kay bajaye us jannati dumbay ko zibah farma diya. Hazrat Ibrahim علیہ السلام aur Hazrat Ismail علیہ السلام ki is anokhi qurbani ki yad ta qiyamat qayim rahay gi. Aur musalman har saal Bakra eid mein makhsoos janwaron ki qurbaniyan paish kartay rahen gey.
Main umeed karta hon aapko hamari ye tehreer pasad aai ho gi. Nechy comment box mein apni raaye ka zaroor izhar karen. Shukria
Hawala Jaat
Please write a better language in English or Hindi. Because I have read this tehreer very difficult. It’s very hard to pronounce.
Inshallah you will do better in future
Sorry for bad experience. Next time we will try to write better. Until then you can use this English website. Sunnism
you seriously helped me alot and increased alot of my knowledge thank you so much!
Welcome
Mashallah bhut achi baat he Allah hu akbar