Fahash kalami se morad yeh hai keh. Un baton ko wazeh alfaaz mein zikar kar diya jaye jin ka sarahatan izhaar bura samjha jata ho. Maslan jimaa ki kaifiyat ya posheeda amraaz ko [1]Bilaa haajat e sharai bayan karna. [2]احیاء العلوم ،کتاب آفات اللسان ،ص۱۵۱
Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ney irshad farmaya : “Beshak Allah Pak fahash goi aur bad zubani ko pasand nahi farmata.”[3]مسلم،رقم۲۱۶۵،ص۱۱۹۳
Bad qismati se fahash kalami ke shoqeen bhi hamaray muashray mein kasrat se paye jatay hain. Jo hasulِ e lazzat aur doston ki mehfilen garmanay ke liye shahwat bhari guftagu karne ke aadi hotay hain. Fahash goi ka sahara le kar daad o tehseen sametney walay yaad rakhen ke es ka anjaam bohat bura hai. Chunacheh
Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ka farmaan hai keh “4 tarhan ke jahanumi kholtey pani aur aag ke darmain bhagtay phirtay aur halakat mangte hon ge. Un mein se aik aisa shakhs bhi hoga jis ke moun se khoon aur peep behtay hon ge. Jahanumi kahen gey: “Es badbakht ko kya hua keh hamari takleef mein izafah kiye deta hai?” Jawab miley ga :” Yeh bad naseeb, khabees aur buri baat ki taraf mutwajjah ho kar lazzat uthata tha maslan jimaa ki baton se.”[4]اتحاف السادۃالمتقین ،کتاب آفات اللسان ، ج۹،ص۱۸۷
Fahash Go ka dakhla Dozakh mein
Hazrat Sayeduna Abbu Huraira رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Rasool e Kareem ﷺ ney farmaya ke sharam o haya imaan ka hissa hai aur imaan wala jannat mein jaye ga aur be hayai, fahash goi buraiee ka hissa hai aur buraiee wala dozakh mein jaye ga.” [5]ترمذی، کتاب البر والصلۃ ،رقم ۲۰۱۶، ج۳،ص۴۰۶
Hazrat e Ibn Umar رضی اللہ عنہ se rivayat hai keh Sarwar e Aalam ﷺ nay farmaya : “Fahash go par jannat mein daakhil hona haraam hai.” [6]اتحاف السادۃ للمتقین ،کتاب آفات اللسان ،ج۹،ص۱۸۷
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq ataa farmaiye. Amen
Hawala Jaat