Gheebat aur Bohtan

Gheebat karna aur bohtan lagana

Gheebat se murad yeh hai keh apne zindah ya murda musalman bhai ki adum mojudgi mein os ke posheeda ayob ko ( jin ka dusron ke samnay zahir hona usay napasand ho ) os ki burai ke tor par zikar kya jaye, aur agar woh baat os mein mojood nah hoto usay bohtan kehte hain. Maslan, ‘Mujhe be waqoof bana raha tha’, ‘Os ki niyat kharab hai’, ‘Drama baaz hai’ waghera.
(ماخوذ از بہارِ شریعت،حصہ ۱۶،ص۶۴۵)

Rasool e Akram ﷺ ne daryaft farmaya : “Tumhen maloom hai gheebat kya chez hai?” logon ne arz ki : ”Allah o Rasool ﷺ عزوجل و ko es ka behtar ilm hai.”Irshad farmaya :” Gheebat yeh hai ke tum apne bhai ke bary mein aesi baat kaho jo usay buri lagey.” Kisi ne arz ki :”Agar mery bhai mein woh burai mojud ho to os ko bhi kya gheebat kaha jaye ga ?” Irshad farmaya :” Jo kuch tum kehty ho agar os mein mojood ho jab hi to gheebat hai aur agar tum aisi baat kaho jo os mein mojood nah ho to yeh bohtan hai.”
( مسلم،کتاب البر والصلۃ، باب تحریم الغیبۃ،رقم ۲۵۸۹،ص۱۳۹۷)

Fehrist Ka Khanah

Gheebat ki mumanat Quran mein

Gheebat es qadar bura kaam hai ke usay apne murda bhai ka gosht khanay se tashbeeh di gayi hai, chunacheh Quran Majeed mein Allah Pak ney irshad farmaya :

وَلَا یَغْتَبۡ بَّعْضُکُمۡ بَعْضًا ؕ اَیُحِبُّ اَحَدُکُمْ اَنۡ یَّاۡکُلَ لَحْمَ اَخِیۡہِ مَیۡتًا فَکَرِہۡتُمُوۡہُ ؕ

Tarjama e kanz ul Eman : “Aur aik dusray ki gheebat nah karo kya tum mein koi yeh pasand rakhay ga keh apne maray hue bhai ka gosht khaye, to yeh tumhen gawara nah ho ga.”
(پ۲۶،الحجرات:۱۲)

Afsos

Afsos sad afsos! Aaj musalmanan e aalam ki aksariyat zabaan ki is aafat mein mubtila hai. Shayad hi koi majlis es gunah ke irtikaab se khaali hoti ho, mahaz waqt guzari ki khatir kisi gayab shakhs ko hadaf bana kar os ki khub gheebat ki jati hai phir agar os shakhs ko is ki khabar ho jaye to woh bhi jawabi karwai ke tor par apni gheebat karne walon ki gheebat karta hai aur youn gunahon ka bazaar garam honay ke sath sath ghar gali aur mohalla maidan e kaarzar ki surat ikhtiyar kar letay hain.

Gheebat aur kufar

Sab se tashweesh naak pehlu yeh hai keh baaz auqaat gheebat karne ke bawajood usay gheebat tasleem karne se bhi inkaar kar diya jata hai jisay Ulama e karaam ney kufar qarar diya hai. Chunacheh Moulana Amjad Ali aazmi علیہ الرحمۃ Bahar e Shariat hissa 16 safha 646 par naqal farmaty hain keh ”1 shakhs gheebat kar raha hai, os se kaha gaya ke gheebat nah karo, woh kehnay laga : Yeh gheebat nahi mein sacha hon.” To yeh kufar hai kyun keh os shakhs ney aik haraam e qatee ko halal bataya الخ. Lekin yaad rahy keh kehnay wala usi surat mein kafir hoga jab usay gheebat ke haraam e qatee honay ka ilm ho aur woh gheebat ki tareef bhi jaanta ho.
(ماخوذ از رسالہ” غیبت کی تباہ کاریاں” ،ص۱۵)

Gheebat karne ka wabaal

Gheebat karne walay ko akhirat mein apni zabaan ki be ahteyati ka wabaal bhughatna parry ga, Jaisa keh

( 1 ) Sarkar 2 Aalam ﷺ nay irshad farmaya : ”Main nay mairaaj ki raat mein logon ko es haal mein dekha keh woh jahannum mein apne nakhunon se apne chehron ko noch rahay hain, Mein nay Hazrat e Jibraiel علیہ السلام sey puocha :” Yeh kon log hain ?” To unhon nay bataya : ” Yeh woh log hain jo duniya mein logon ki gheebat aur aabru raizi kiya karty thay.”
(سنن ابی داؤد ، کتاب الادب ،باب فی الغیبۃ،رقم۴۸۷۸ ج۴،ص۳۵۳)

( 2 ) Hazratِ e Sayeduna Abbu Umama رضی اللہ عنہ se rivayat hai keh Sarkar e Madina ﷺ nay farmaya :” Qayamat ke din 1 shakhs ko uska naama e aamaal parhnay ke liye diya jaye ga, woh usay dekh kar kahe ga :” Ay mery Rab! Meri fulan fulan naikian kahan hain jo main nay ki then ?” Rab تعالیٰ farmay ga keh ” Logon ki gheebat karne ki wajah se main nay tery naam e aamaal se woh naikian mita di hain.”
(الترغیب والترہیب ، کتاب الادب ، رقم الحدیث ۳۰،ج۳،ص۳۳۲)

( 3 ) Hazrat e Sayeduna Abu Hurera رضی اللہ عنہ se rivayat hai keh Sarkar e Madina ﷺ nay farmaya :” Jo duniya mein apne bhai ka gosht khata hai baroz e qayamat woh gosht uskay paas laya jaye ga aur kaha jaye ga, es murdy ke gosht ko osi tarhan khao jis tarhan uski zindagi mein uska gosht khaty thay. Jab wo es hukum ki waja se khaye ga to pareshan ho jaye ga aur cheekhta rahay ga.”
(مجمع الزوائد ، کتاب الادب ، رقم الحدیث ۱۳۱۲۹،ج۸،ص۱۷۳)

Sabaq

Piyary Musalman bhaio! Hum mein se har aik ko chahiye keh wo un ukhrawi pareshaniyon se bachney ke liye gheebat se mukammal parhaiz kary aur Sabiqa zindagi mein ki gayi gheebat ki maffi talabb kary aur agar os shakhs ko gheebat ki khabar ho chuki ho jis ki gheebat ki thi to os se bhi mafi maangna zaruri hai.

Allah Pak hamein is hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmaiye. Amen

5/5 - (1 vote)

2 thoughts on “Gheebat karna aur bohtan lagana

  1. Muje ek sawal Puchna hai agar hum kisi ki ki hui ziyadati ya zulm kisi Aur ko btayein ya ma bap ko btayein aur zulm krne wala SB k samne bht Acha ho lekin qk hum us k sth rehte Hain is liye hum jante Hain k wo Jesa SB k m samne ban rha waise nhi hai aur hum batyein k wo yeh nhi yeh krta hai mere sth Kia yeh nhi gheebat me aye ga??

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *