Zameen par sab se pehla qaatil Qabeel aur sab se pehla maqtool Habil hai “Qabeel o Habil” yeh dono Hazrat Aadam علیہ السلام ke Farzand hain. En dono ka waqia yeh hai keh Hazrat Hawa رضی اللہ عنھا ke har hamal mein aik larka aur aik larki peda hotay they. Aur aik hamal ke larke ka dosray hamal ki larki se nikah kiya jata tha. Os dastoor ke mutabiq Hazrat Aadam علیہ السلام neh Qabeel ka nikah “Levza” se jo Habil ke sath peda hui thi karna chaha. Magar Qabeel is par raazi nah hua kyun keh Iqleema ziyada khobsorat thi is liye woh uska talab gaar hua.
Hazrat Aadam علیہ السلام naay osko samjhaya ke Iqleema tairay sath peda hui hai. Es liye woh teri behan hai. Os ke sath tera nikah nahi ho sakta. Magar Qabeel apni zid par arra raha. Bil akhir Hazrat Aadam علیہ السلام naay yeh hukum diya ke tum dono apni apni qurbaniyan khudawand e Quddoos عزوجل ke darbaar mein paish karo. Jis ki qurbani maqbool ho gi wohi Iqleema ka haq daar ho ga. Os zamane mein qurbani ki maqboliat ki yeh nishani thi ke aasman se aik aag utar kar osko kha liya karti thi. Chunancha Qabeel naay gheehon [1]Gandum ki kuch balen aur Habil naay aik bakri qurbani ke liye paish ki.
Qurbani kiski qabool hue?
Aasmani aag ney Habil ki qurbani ko kha liya aur Qabeel ke gheehon ko chorr diya. Is baat par Qabeel ke dil mein bughz o hasad peda ho gaya aur os ney Habil ko qatal kar dainay ki thaan li aur Habil se keh diya ke mein tujh ko qatal kar dunga. Habil ney kaha ke qurbani qubool karna Allah pak ka kaam hai aur woh mut-taqi bandon hi ki qurbani qubool karta hai. Agar to mut-taqi hota to zaroor teri qurbani qubool hoti. Sath hi Habil ney yeh bhi keh diya ke agar to mery qatal ke liye haath barhaye ga to main tujh par apna haath nahi uthaoun ga kyun keh main Allah se darta hon.
Main yeh chahta hon ke mera aur tera gunah dono tairay hi pallay parrin aur to dozakhi ho jaye kyunkay be insafon ki yahi saza hai. Aakhir Qabeel naay –apne bhai Habil ko qatal kar diya. Ba waqt e qatal Habil ki Umar 20 baras ki thi aur qatal ka yeh haadsa Makkah Mukarmah mein Jabal e Sor ke paas ya Jabal Hira ki ghaati mein hua. Aur baaz ka qoul hai keh basrah mein jis jagah masjid e َAzam bani hui hai mangal ke din yeh saneha hua.
Qabeel ko Laash dafan karna kis nay sikhaya
Jab Qabeel ney Habil ko qatal kar diya to chunkay is se pehlay koi aadmi mra hi nahi tha is liye Qabeel heran tha ke bhai ki laash ka kya karoon. Chunancha kayi dinon tak woh laash ko apni peeth par lade phira. Phir os ney dekha ke 2 kaway [2]Crow aapas mein larray aur aik ney dosray ko maar dala. Phir zindah kaway ney apni chonch aur panjoo se zameen kuraid kar aik garrha khoda aur os mein maray hue kaway ko daal kar matti se daba diya. Yeh manzar dekh kar Qabeel ko maloom hua ke murdy ki laash ko zameen mein dafan karna chahiye. Chunancha uss ney qabar khoud kar os mein bhai ki laash ko dafan kar diya.
Jab Habil qatal ho gaye to 7 dinon tak zameen mein zalzala raha. Aur parindon aur darindon mein iztiraab aur be cheeni phail gayi aur Qabeel jo bohat hi gora aur khobsorat tha bhai ka khoon bahate hi uska chehra bilkul kala aur badsoorat ho gaya. Aur Hazrat Aadam علیہ السلام ko be had ranj hua. Yahan tak keh Habil ke ranj o gham mein 100 baras tak kabhi aap ko hansi nahi aayi.
Qabeel ka Anjam
Hazrat Aadam علیہ السلام neh shadeed ghazab naak ho kar Qabeel ko phitkaar kar apne darbar se nikal diya aur woh badnaseeb Iqleema ko sath le kar Yemen ki sarzamen “Aden” mein chala gaya. Wahan iblees os ke paas aa kar kehnay laga keh Habil ki qurbani ko aag neh is liye kha liya ke woh aag ki pooja kiya karta tha lehaza to bhi aik aag ka mandir bana kar aag ki parastish kiya kar. Chunancha Qabeel pehla woh shakhs hai jis neh aag ki ibadat ki.
Aur yeh roye zameen par pehla shakhs hai jis neh Allah pak ki nafarmani ki aur sab se pehlay zameen par khoon e na-haq kiya aur yeh pehla woh mujrim hai jo jahannum mein sab se pehlay dala jaye ga aur hadees shareef mein hai keh roye zameen par qayamat tak jo bhi khoon na-haq ho ga Qabeel os mein hissa daar ho ga kyun keh isi naay sab se pehlay qatal ka dastoor nikala aur Qabeel ka injaam yeh hua keh is ke aik larke naay jo keh andha tha is ko aik pathar maar kar qatal kar diya aur yeh badbakht nabi zaadah honay ke bawajood aag ki parastish karte hue kufar o shirk ki haalat mein apne larke ke haath se mara gaya.
Hazrat Shees علیہ السلام
Habil ke qatal hojane ke 5 baras baad Hazrat Shees علیہ السلام peda hue jab keh Hazrat Aadam علیہ السلام ki Umar shareef 130 baras ki ho chuki thi. Aap ney apne is honahaar Farzand ka naam “Shees” rakha. Yeh syriani zabaan ka lafz hai aur arabi mein is kay meaning “ھبۃ اللہ” yani “Allah ka atiyah” hai. Hazrat Aadam علیہ السلام ney 50 saheefay jo aap par nazil hue they un sab ki Hazrat Shees علیہ السلام ko taleem di aur un ko apna wasii o khalifa aur sajadah nasheen banaya. Aur un ki nasal mein kher o barkat honay ki duayen mangeen. Hamaray Huzoor Nabi e Kareem ﷺ un hi Hazrat Shees علیہ السلام ki aulaad mein se hain.
Dars e Hidayat
Es waqia se hamein chand batain seekhnay ko milti hain:
- Duniya mein sab se pehla jo qatal aur khoon na-haq hua woh aik aurat ke maamla mein hua. lehaza kisi aurat ke fitnah e ishq mein mubtala honay se khuda ki panah maangni chahay.
- Qabeel nay jazba e hasad mein giraftar ho kar apne bhai ko qatal kar diya. Es se maloom hua ke hasad insan ki kitni buri aur khatarnaak qalbi bemari hai. Esi liye Quran e Majeed meinوَ مِنۡ شَرِّ حَاسِدٍ اِذَا حَسَدَ ﴿5﴾[3]Parah 30, الفلق : 5farma kar hukum diya gaya keh haasid ke hasad se khuda ki panah mangte raho.
- Khoon na-haq kitna barra jurm e azeem hai keh is jurm ki wajah se aik Nabi علیہ السلام ka Farzand apne baap Hazrat Adam علیہ السلام ke darbaar se raandah e dargaah ho kar kufar o shirk mein mubtala ho kar mar gaya. Aur qayamat tak honay walay har khon-e na-haq mein hissa daar ban kar azaab jahannum mein girftar rahay ga.
- Es se maloom hua keh jo shakhs koi bura tareeqa ijaad kare to qayamat tak jitne log is buray tareeqay par amal karen gey sab ke gunah mein woh barabar ka shareek aur hissa daar banay ga.
- Es se yeh bhi maloom hua keh naikon ki aulaad ka naik hona koi zaroori nahi hai, naikon ki aulaad buri bhi ho sakti hai. Kyun keh Hazrat Aadam علیہ السلام khuda ke muqaddas Nabi aur Safiullah hain magar un ka beta Qabeel kitna kharab hua, woh aap parh chuke. Hamesha har shakhs ko chahay ke Farzand e Saleh aur naik aulaad ki duayen khuda se mangta rahay.
- Es waqia se ye sabaq bhi milta hai keh aadmi ilm seekhnay mein chhote se chhote ustaad ka yahan tak keh kaway ka bhi mohtaaj hai.
- Esi se maloom hua keh insan par uss ki dunyawi zindagi ki raah mein jab koi mushkil darpaish ho jati hai to Allah pak aisa Raheem o kareem hai keh kisi nah kisi tareeqay se yahan tak ke charindon aur parindon ke zariye mushkilaat hal karne ki raah dikha deta hai.(واللہ تعالیٰ اعلم)
Hawala Jaat