Hazrat Abu Bakr

Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ

Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ sab se pehlay Islam qubool karne walay [1] العجم الکبیر، الحدیث: ۱۲۵۶۲ ، ۱۲ /۷۱ aur Islam ke pehlay khalifa rashid hain aur Aap ka shumaar Ashra Mubashra mein hota hai. Aap Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ke pehlay janasheen, sahabi aur hijrat madinah ke waqt rafeeq e safar thay. Aap Anabia aur rasoolon ke baad insanon mein sab se behtar aur sahaba mein Eman o Zuhad ke lehaaz se sab se bartar hain.

Hazrat Abu Bakr Siddiq ka taaruf

Hazrat Abu Bakr Siddiq ka Islami naam Abdullah, Kuniat Abu Bakr aur laqab Siddiq hai. Aap ke waalid ka naam Usmaan aur kuniat Abu Quhafa hai, Walida ka naam Salma aur aur kuniat Um Al Khair hai. Qabeela e Quresh ki shaakh bano Tamim se aap ka taluq hai. Aap ki paidaiesh Aam al-fil se 2 saal 6 mah baad aur hijrat nabwi ﷺ se 50 saal 6 mah pehlay mutabiq 573 AD year mecca mein hui. Aap paighambar e Islam Hazrat Muhammad ﷺ se 2 saal 6 mah chhootey thay.

Hazrat Abu Bakr Siddiq ki zindagi

Aap رضی اللہ عنہ ne zamana e jahalat mein kabhi sharaab nahi pi aur nah Aap ne kabhi butt parasti ki. Aap hamesha es ke khilaaf rahay yahan tak ke Aap ki Umar jab chand baras ki hui to esi zamana mein Aap ne buut shikni farmai.

Zamana e Jahalat

Zamana jahalat mein Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ apni baradri mein sab se ziyada maldaar thay. Murawwat o ehsaan ka mujasma thay. Qoum mein bohat Muaziz samjhay jatay thay. Gum shuda ki talaash Aap ka Shewa raha aur mehmanon ki Aap khoob maizbani farmatay thay. Aap ka shumaar raees Quresh mein hota tha. Woh log Aap se mahswara liya karte thay aur Aap se be intahaa mohabbat karte thay.

Aap Quresh ke un 11 logon mein se hain jin ko ayyaam e jahalat aur zamana Islam dono mein izzat o buzurgi haasil rahi. Keh Aap ehad jahalat mein “Khoon baha” aur jurmane ke muqadmaat ka faisla kiya karte thay jo os zamana ka bohat bara aizaz samjha jata tha. [2] تاریخ الخلفاء، ابوبکر الصدیق ، فصل فی مولدہ الخ، ص 31 [3]تاریخ مدینہ دمشق، حرف العین، الرقم: ۳۳۹۸، ۳۰ / ۳۳۵ [4]تاریخ الخلفاء

Aap ka bilaa taraddud Islam qubool karna

Rasool e Khuda ﷺ ne bayan farmaya ke jab mein ne kisi ko bhi Islam ki dawat di to osko taraddud hua ilawa Abu Bakr ke jab main ne un par Islam paish kiya to unhon ne baghair taraddud ke Islam qubool kar liya. [5]تاریخ مدینۃ دمشق، عبداللہ و یقال عتیق، ۴۴/۳۰

Es ka sabab yeh hai ke Elan e nabuwat say pehly hi se Aap Hazoor ﷺ ke dost thay aur Aap ﷺ ke ikhlaq ki umdagi, aadaat ki pakizgee aur Aap ﷺ ki sachaai o Dayanat daari par yaqeen e kaamil rakhtay thay. Aap nabuwat o risalat ki nishanain qabal az Islam hi maloom kar chukay thay. Es liye jab un ko Islam ki dawat di gayi to unhon ne foran Islam qubool kar liya. [6] تاریخ الخلفاء ، ابو بکر الصدیق، فصل فی اسلامہ، ص۲۷

Mairaaj ki baghair soch o bichaar tasdeeq

Shab mairaaj ki subah bohat se mushriqeen Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ke paas aaye aur kaha ke Aap ko kuch khabar hai? Aap ke dost Muhammad ﷺ keh rahay hain ke unhen raat ko Bait ul Muqaddas aur aasman waghera ki sair karai gayi hai. Aap ne kaha kya waqai woh aisa ferma rahe hain …? un logon ne kaha haan woh aisa hi keh ray hai hain to Aap ne farmaya : Agar woh is se bhi ziyada baeed az qiyaas aur hairat angaiz khabar den gay to be shak main os ki bhi tasdeeq karoon ga. [7] المستدرک للحاکم، کتاب معرفۃ الصحابۃ، ذکر الاختلاف فی امر الخلافۃ ، الحدیث: ۴۵۱۵، ۴ /۲۵

Sab se kaamil Eman

Hazrat Umar Farooq رضی اللہ عنہ ka yeh qoul hai ke poori zameen ke musalmanoon ka Eman aur Hazrat Abu Bakr Siddiq ka Eman agar wazan kiya jaye to Hazrat Siddiq Akbar ke Eman ka palla bhaari hoga . [8]تاریخ الخلفاء، ص۴۰ [9]تاریخ الخلفاء، ص۴۰ [10]کنز االعمال ، کتاب الفضائل ، فضل الصدیق ، الحدیث:۳۵۶۰۹ ، ۶/۲۲۲ ، الجزء۱۲

Ghazwa e badar mein Aap ke baity Hazrat Abdul Rahman رضی اللہ عنہ kuffar e mecca ke sath thay. Islam qubool karne ke baad unhon ne apne waalid Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ se kaha ke Aap jung e badar mein kayi baar meri zad mein aaye lekin main ne Aap se sarf e nazar ki aur Aap ko qatal nahi kya. Es ke jawab mein Siddiq Akbar رضی اللہ عنہ ne farmaya : Ae Abdul Rahman ! Kaan khol kar sun lo ke agar tum meri zad mein aa jaty to main sarf e nazar nah karta balkay tum ko qatal kar kay mout ke ghaat utaar deta. [11]المصنف لابن شیبۃ، کتاب المغازی، باب ھذا ما حفظ ابوبکر ۔ ۔ ، الحدیث:۵۴ ، ۸ /۴۹۴

Es se yeh wazeh tor par maloom hua ke Hazrat Siddiq akbar رضی اللہ عنہ ka Eman saaray sahaba mein sab se ziyada kaamil tha balkay darja e kamaal ki intahaa ko pouncha hua tha. [12]نوٹ:مذکورہ واقعہ ہمیں کتب ِاحادیث میں غزوۂ بدر کے متعلق نہیں ملا بلکہ ابن ابی شیبۃ، کنز العمال، جامع الاحادیثوغیرہ میں یہ واقعہ غزوۂ احد کے متعلق نقل ہے ۔

Aap ki bahaduri

Hazrat Ali رضی اللہ عنہ farmatay hain ke aik baar ka waqia hai ke kafiroon ne Rasool Allah ﷺ ko pakar liya aur kehnay lagey ke tum hi ho jo kehty ho ke khuda aik hai. Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ne farmaya : To qasam khuda ki! Os mauqa par Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ke ilawa koi Huzoor ﷺ ke qareeb nahi gaya.

Aap agay barhay aur kafiroon ko mara aur unhen dhakkay day day kar hataya aur farmaya : Tum par afsos hai keh tum log aesi zaat ko takleef pouncha rahay ho jo yeh kehta hai ke mera parwardigar sirf Allah hai aur Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ne farmaya ke log apne Eman ko chupatay thay magar Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ apne Eman ko sry aam zahir farmatay thay es liye Aap sab se ziyada bahadur thay. [13]تاریخ الخلفاء ، ابو بکر صدیق، شجاعتہ، ص۲۸ [14]کنز العمال ، کتاب الفضائل، فضل الصدیق ، الحدیث: ۳۵۶۸۵، ۶ /۲۳۴، الجزء: ۱۲ [15]تاریخ الخلفاء، ۲۵

Hazrat Abu Bakr Siddiq ki sakhawat

Hazrat Siddiq Akbar رضی اللہ عنہ Allah ke raah mein kharch karne aur sakhawat karne ke baray mein bhi saaray sahaba رضی اللہ عنھم par foqiat rakhtay thay. Janab e Hazrat Umar Farooq Azam رضی اللہ عنہ farmatay hain ke Rasool Allah ﷺ ne aik roz hum logon ko Allah ki raah mein sadqa aur khairaat karne ka hukum diya aur hussan e ittafaq se os mauqa par mery paas kaafi maal tha.

Main ne apne dil mein kaha ke agar Hazrat Abu Bakr se agay barh jana kisi din mery liye mumkin hoga to woh aaj ka din hoga. Main kaafi maal kharch karkay aaj un se Sabqat le jaoon ga. Hazrat Umar رضی اللہ عنہ farmatay hain, to main aadha maal le kar khidmat mein haazir hua. To Rasool Allah ﷺ ne mujh se daryaft farmaya : Apne ghar walon ke liye tum ne kitna chorra …? Hazrat Umar رضی اللہ عنہ farmatay hain ke main ne arz kiya ke aadha maal un ke liye chorr diya hai.

Phir Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ jo kuch un ke paas tha sab le aaye. Rasool e Khuda ﷺ ne un se poocha : Ae Abu Bakr! Apne ahal o Ayal ke liye kya chorr aaye ho? ”Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ne arz kiya ke un ke liye Allah o Rasool ko chorr aaya ho n “. Matlab yeh hai keh mery aur mery ahal o Ayal ke liye Allah aur oska Rasool ﷺ kaafi hain.

Parwanay ko chairag hai bulbul ko phool bas
Siddiq ke liye hai Khuda ka Rasool bas

Hazrat Umar رضی اللہ عنہ farmatay hin” Main ne apne dil mein kaha ke kisi cheez mein Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ par main kabhi Sabqat nahi lay ja sakon ga “. [16]مشکاۃ المصابیح، کتاب المناقب، باب مناقب ابی بکر، الحدیث:6030، 2/416 [17]سنن الترمذی ، کتاب المناقب عن رسول اللہ، فی مناقب ابی بکر وعمرکلیہما، الحدیث: ۳۶۹۵، ۵ /۳۸۰ [18]مشکوۃ شریف، ص۵۵۶

Abu Bakr ke ehsan ka badla

Rasool e Khuda ﷺ ne farmaya ke jis kisi ne bhi mere sath ehsan kiya tha main ne har aik ka ehsan utaar diya ilawa Abu Bakr ke ehsan ke, unhon ne mery sath aisa ehsan kiya hai jis ka badla qayamat ke din un ko Khuday-e Pak hi ataa farmaiye ga. ”Aur har giz kisi ke maal ne mujhe itna faida nahi pohanchaya hai, jitna faida Abu Bakr ke maal ne pohanchaya hai “. [19]مشکاۃ المصابیح، کتاب المناقب، مناقب ابی بکر، الحدیث: 6026، 2/416 [20]مشکوۃ شریف، ص۵۵۵ [21]ترمذی

Munkiriin se jung karoon ga

Rehmat Aalam ﷺ ke visale farmanay par baaz log to Islam ke saaray ehkaam ke munkir ho kar murtad ho gaye aur kuch logon ne kaha ke hum zakat nahi den ge. Yani eski farziat ke munkir ho kar ye bhi murtad ho gaye. Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ne un se Jihad ka iradah farmaya to Hazrat Umar رضی اللہ عنہ aur baaz dosray Sahaba رضی اللہ عنہم ne un se kaha ke es waqt Munkiriin zakat se jung karna munasib nahi.

Aap ne farmaya : Khuda ki Qasam! Agar woh log aik rassi ya bakri ka aik bacha bhi Hazoor ﷺ ke zamana mein zakat diya karte thay aur ab es kay dainay se inkaar karen gay to main un se jung karoon ga. Phir Aap muhajreen o Ansar ko sath le kar aaraab ki taraf nikal parre aur jab woh bhaag kharray hue to Hazrat Khalid رضی اللہ عنہ ko Aap Ameer lashkar bana kar wapas aa gaye. Unhon ne aaraab ko jagah jagah ghaira to Allah pak ne unhen har jagah fatah ataa farmai.

Ab Sahaba e Karam khasusan Hazrat Umar رضی اللہ عنہ ne Aap ki raye ke sahih honay ka aitraaf kiya aur kaha keh Khuda ki Qasam! Allah pak ne Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ka seenah khol diya hai aur unhon ne jo kuch kiya woh haq hai. [22]صحیح مسلم، کتاب الایمان، باب الامر بقتال الناس حتی یقولوا لاالہ الااللہ ۔ ۔ ۔ الخ، الحدیث :۳۲، ص۳۲ [23]الریاض النضرۃ، ۱ /۱۴۷ [24]تاریخ مدینۃ دمشق، باب ذکر بعث النبی ﷺ ، ۲ /۵۳

Fact

Aur ye bilkul haqeeqat baat hai keh Agar os waqt munkiriin e zakat ki sarkubi nah ki jati aur unhen dheel day di jati to phir kuch log namaz ke bhi munkir ho jatay aur baaz log roza se bhi inkaar kar dety aur kuch log baaz doosri zaroori cheezon ka inkaar kar dety to Islam apni shaan o Shaukat ke sath baqi nah rehta balkay khail ban jata aur eska nizaam darham barham ho jata.

Aapki Karamat

Hazrat e Ayesha رضی اللہ عنھا ne farmaya keh: “Mery walid Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ne apne marz e mout mein mujhe wasiyat karty hue irshad farmaya keh meri piyari beti! Mery paas jo kuch maal tha aaj woh maal warison ka ho chuka hai. Meri aulaad mein tumahray 2 bhai Abdul Rahman aur Mohammad hain aur tumhari 2 behnain hain. Lehaza mery maal ko tum log Quran e Majeed ke farmaan ke mutabiq taqseem kar kay apna apna hissa le lena.

Hazrat Ayesha رضی اللہ عنھا ne arz kiya ke Abba Jaan! Meri to aik hi behan Bibi Asma hain. Ye meri doosri behan kon hai? Aap ne irshad farmaya keh tumhari souteli Maan Habiba Bint kharja رضی اللہ عنھا jo haamla hai os kay pait mein larki hai wohi tumhari doosri behan hai.” Chunanchah Aap ke visale farmanay ke baad Aap ke farmaan ke mutabiq Habiba Bint kharja رضی اللہ عنھا key pait se larki [25]Umme Kulsoom hi peda huien. [26]مؤطا امام محمد، الحدیث: 808 ، 1 /286 [27]مؤطا امام محمد، باب الخلی، ص۳۴۸

Es hadees shareef se Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ki 2 karamatain saabit huien. Pehli karamat yeh ke wafaat sey pehlay Aap ko es baat ka ilm ho gaya tha keh main esi marz mein intqaal kar jaun ga. Esi liye Aap ne wasiyat ke waqt yeh farmaya ke aaj mera maal mery warison ka maal ho chuka hai. Doosri karamat yeh saabit hui hai keh haamla ke pait mein larki hai. Aap yaqeen ke sath jantay thay esi liye Hazrat Ayesha رضی اللہ عنھا se farmaya ke Habiba Bint kharja رضی اللہ عنھا jo haamla hai os ke pait mein larki hai wohi tumhari behan hai. Be shak yeh Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ki 2 azeem o shan karamatain hain.

Hazrat Abu Bakr Death Islamic Date

Hazrat Ayesha رضی اللہ عنھا ne bayan farmaya keh mery waalid Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ki alalat ki ibteda youn hui keh Aap ne Jamadi ul Akhira peer ke din ghusal farmaya. Os roz sardi bohat ziyada thi jo assar kar gayi. Aap ko bukhaar aa gaya aur 15 din tak Aap beemar rahay. Es darmiyan mein Aap namaz ke liye bhi ghar se bahar tashreef nahi la saky. Aakhir kaar bazahir esi bukhaar ke sabab 63 saal ki Umar mein 2 saal 6 mah se kuch zayed umoor e khilafat anjaam dainay ke baad 22 Jamadi ul Akhira 13ھ ko Aap ki wafaat hui aur Piyary Aaqa ﷺ ke mubarak pehlu mein madfoon hue. [28]تاریخ مدینۃ دمشق، عبد اللہ و یقال، ۴۰۹/۳۰ [29]االاکمال فی اسماء الرجال، حرف الباء، فصل فی الصحابۃ، ص۵۸۷، ملتقطاً

Aap ki khususiyaat

Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ mein bohat si khususiyaat payi jati hain jin mein se chand khususiyaat ko hum Aap ke samnay paish karte hain.

4 ahem khususiyaat :

Hazrat Siddiq akbar رضی اللہ عنہ ko Allah pak ne aesi 4 khaslaton se mukhtas farmaya jin se kisi ko Sarfraz nahi farmaya.

1. Aap ka naam Siddiq rakha aur kisi dosray ka naam Siddiq nahi .
2. Aap Rasool Allah ﷺ ke sath ghar e soor mein rahay .
3. Aap Huzoor ﷺ ki hijrat mein Rafeeq e safar thay.
4. Sarkar ﷺ ne Aap ko hukum farmaya ke Aap Sahaba e Karam رضی اللہ عنہم ko namaz parhayin aur dosray log Aap ke Muqtadi banin. [30]تاریخ مدینۃ دمشق، عبد اللہ و یقال عتیق، ۲۶۶/۳۰

Nasal dar nasal sahabi

Aik bohat barri khasusiyat Aap ki yeh bhi hai keh Aap sahabi, Aap ke waalid sahabi, Aap ke betay Abdul Rahman رضی اللہ عنہ sahabi aur un ke sahib zaday Abu Ateeq Muhammad رضی اللہ عنہ sahabi yani Aap ki 4 nasal sahabi hain. [31]المعجم الکبیر، نسبۃ ابی بکر الصدیق و اسمہ، الحدیث:۱۱، ۵۴/۱

Dua hai keh Allah pak hum sab ko Huzoor ﷺ ki sachhi ghulami ataa farmaiye aur Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ke naqash-e qadam par chalne ki tofeeq ataa farmaiye. Aameen

4.5/5 - (2 votes)

Hawala Jaat[+]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *