Iman e Mufassal aur Pillars of Iman

Iman e Mufassal aur Pillars of Iman

Iman e Mufassal Islam mein imaan ka aik mufasil bayan hai. Yeh Iman e Mujmal se ziyada tafseel ka bayan hai, aur es mein Allah pak, os ke firshton, os ki kitabon, os ke Rasoolon, Qayamat ke din aur taqdeer ke baray mein aqaid shaamil hain. Jinhen Pillars of Iman bhi kaha jata hai. Es tehreer mein hum ne Iman ne Mufassal k sath sath us mein majoud Iman ke Satonon ka bhi mukhtasar sa taruf zikar kiya hai.

Iman e Mufassal Arabic Text

 اٰمَنْتُ بِاللہِ وَمَلٰئِکَتِہٖ وَ کُتُبِہٖ وَرُسُلِہٖ وَالْیَوْمِ الْاٰخِرِ وَالْقَدْرِ خَیْرِہٖ وَشَرِّہٖ مِنَ اللہِ تَعَالٰی وَالْبَعْثِ بَعْدَالْمَوْتِ ؕ

Musalmanoon ke liye zaroori hai ke woh imaan ke tamam satonon ko samjhain aur un par yaqeen karen. Imaan ke tamam satonon par imaan laa kar hum mazboot aur mukammal imaan haasil kar satke hain.

Pillars of Iman

Yahan imaan ke har sutoon ki tafseeli wazahat hai:

WhatsApp Group (Join Now) Join Now
YouTube Channel (Subscribe Now) Subscribe

Allah par Yaqeen

Yeh imaan ka sab se ahem sutoon hai. Yeh aqeedah hai ke sirf aik hi khuda hai aur woh har cheez ka khaaliq, paalne wala aur Razzaq hai.

Firshton par Imaan

Farishtay Allah ki makhlooq hain jo noor se banay hain. Woh Allah ki nafarmani nahi karte aur Os ke ehkaam par amal karte hain.

Kitabon par yaqeen

Allah ki kitaaben nazil shuda saheefay hain jo os ne apne Anbia par bheje hain. Un kitabon mein Quran, torat, injeel aur Zaboor shaamil hain .

Rasoolon par Imaan

Rasool woh insaan hain jinhein Allah pak ne apna pegham insaaniyat tak pohanchanay ke liye chuna hai. Wesy to Rasoolon ko tadad bahut ziada hai. Jin me mashhoor Rasool, Hazrat Aadam, Hazrat Nooh, Hazrat Ibrahim, Hazrat Musa, Hazrat Eesa علیہم السلام aur aakhri nabi Hazrat Muhammad ﷺ shaamil hain.

Qayamat ke din par imaan

Qayamat ka din woh din hai jab tamam logon ko zindah kiya jaye ga aur Allah ki taraf se faisla kiya jaye ga. Os din logon ko un ke achay kamon ki jaza aur buray kamon ki saza di jaye gi.

Taqdeer par Yaqeen

Taqdeer yeh aqeedah hai ke Allah pak ne Kainat mein honay wali har cheez ka faisla kar diya hai. Os mein achi aur buri dono cheeze shaamil hain. Taham, Es ka matlab yeh nahi hai ke logon ki koi azad marzi nahi hai. Log ab bhi sahih aur ghalat mein se intikhab karne ki salahiyat rakhtay hain.

5/5 - (6 votes)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *