Allah pak ne apni makhloqaat mein insaan ko apni qudrat ka shahkaar banaya. Phir insanon mein soorat, ilm, aqal waghera ke aitbaar se Anbia ko sab se faiq banaya. Phir en kamaal hastiyon mein se sab se barh kar aqal, ilm, amal waghera mein bay misal aur bakamaal hamaray aakhri Nabi ﷺ ko banaya.
Khabar e Nabi ﷺ aur Science
Ahadees ko Science ki nazar se dekha jaye to kayi ahadees mein aesi cheezon ka zikar hai. Jin ko science ne kai 100 saalon baad daryaft kiya hai. Lekin Islam ke maan-ne walon ko Aakhri Nabi ﷺ pehlay hi bayan farma gaye. Un mein se 2 hadees e mubarikah bukhari shareef ki roshni mein zikar karta hon.
1. Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke tum mein se har aik apni maan ke pait mein 40 din tak nutfa ki soorat mein hota hai. Phir 40 din tak khoon ke lothrray (لوتھڑے) ki soorat mein hota hai. Phir itni hi muddat woh gosht ke tukrre ki soorat mein hota hai. Es ke baad Allah aik farishtay ko 4 baton ka hukum day kar bhejta hai. To woh os ka amal, os ki mout, os ka rizaq aur shaqawat (شقاوت) ya Saadat mand hona likh deta hai. Phir os mein rooh phoonk di jati hai. [1]صحیح البخاری، حدیث نمبر3208
Aaj science secron tehqiqaat hazaron tajarbaat aur mushahidat ke baad is nateejay par pohanchi hai keh insaan ki takhleeq maan ke pait mein isi terhan hoti hai.
2.Aap ﷺ ney fermaya: Jab tum mein se kisi aik ke mashroob mein makhi gir jaye to usay ghouta day phir usay nikaal phainky kyunkay is ke aik par mein bemari aur dosray mein Shifa hai. ( Jab yeh kisi mashroob mein girti hai to os mein apna bemari wala par pehlay daakhil karti hai. Lehaza jab uskay dosray par ko bhi mashroob mein dabo diya jaye to uski bemari khatam ho jati hai.) [2]صحیح البخاری، حدیث نمبر3320
Science ki kya hesiyat ilm e Mustafa ﷺ ke samnay
Es haqeeqat ko bhi science apni tehqiqaat ke baad aaj maan-ne par majboor ho gayi hai. Jabkay sadiiyon pehlay hamaray aakhri nabi ﷺ eski khabar irshad farma chuke hain. Aesi bohat si misalein hain lekin samajhney ki baat yeh hai ke aaj ki science kayi cheezon ki daryaft mein ghalat nataij par pohanchi hai. Bohat martaba dekha gaya hai ke unki tehqiqaat aur nataij bdalty rehtay hain. Es ki aik bohat barri misaal 2012 hai. Jis ke baray mein science ne kaha tha ke is mein duniya fanaa ho jaye gi. Magar kya hua? kuch bhi nahi.
Lehaza aik musalman ko chahiye ke koi bhi aisa maamla jis mein aik janib aqal ya science ho aur doosri taraf Khabar e Nabi ﷺ ho to khabar e Nabi ﷺ par apna yaqeen barqarar rakhen. Keh yeh yaqeeni baat he aur aqal o science se ghalti waqeh hoti rehti hai.
Hawala Jaat