Nikah karna Sunnat e Nabvi ﷺ hai۔ Ye ek aesa bandhan hai jis mein 2 freeqain zindagi key es safar mein ek dusry kay sathi ban jaty hen. Shadi karna ek bahut acha amal hai. Es say insan ki nasal barhati hai. Ek kumba banta hai. Islam shadi kay hawaly say hamari bahut ziada rehnumai farmata hai. Ye Hamary piyary Aaqa ﷺ ko pasand hai. Ji haan Aap ﷺ ne nikah ko pasand farmaya.
Islam mein kitni Shadi jaiz hai
Ab sawal ye peda hota hai keh Islam mein kitni shadi jaiz hai? To eska jawab ye hai keh Islam mein ek waqt mein 4 auraton ko nikah mein rakhne ki ijazat hai. Agar es mein say koi foot ho jaye ya kisi sharai waja say talaq ho jaye to uski jaga aur shadi bhi kar sakt hai. Allah pak Quran e Pak mein irshad farmata hai keh:
Translation: Aur agar tumhen andesha ho ke yateem larkiyon mein insaaf nah kar sako gey to un aurton se nikah karo jo tumhen pasand hon, do do aur teen teen aur chaar chaar phir agar tumhen is baat ka darr ho ke tum insaaf nahi kar sako gey to sirf aik (se nikah karo) ya londion (par guzaraa karo) jin ke tum maalik ho. Yeh is se ziyada qareeb hai keh tum se zulm nah ho.[1]Parah 4, Surah al Nisa, Verse, 3
Natija
Es aayat mein 4 tak shadian karne ki ijazat di gayi hai. Lekin is ke sath hi farmaya keh agar tumhen es baat ka dar ho ke aik se ziyada shadian karne ki soorat mein sab ke darmiyan Adal nahi kar sako gey to sirf aik se shadi karo. Esi se yeh maloom hua keh agar koi 4 mein Adal nahi kar sakta lekin 3 mein kar sakta hai to 3 shadian kar sakta hai aur 3 mein Adal nahi kar sakta lekin 2 mein kar sakta hai to 2 ki ijazat hai.
Yeh bhi maloom hua keh biwion ke darmiyan Adal karna farz hai. Es mein nai, purani, kanwari ya dosray ki mutalqa, bewa sab barabar hain. Yeh Adal libaas mein, khanay peenay mein, rehne ki jagah mein aur raat ko sath rehne mein lazim hai. En umoor mein sab ke sath baraber sulooq ho.
Hawala Jaat
Sir, Bohat hi piyari and acchi site hay.
Hosla Afzai ka Shukria