Jannat kya hai kahan hai? Uski Tadaad, Manzalen, Phaatak, Baagaat, Emaratein Waghera

Jannat kya hai aur kahan hai?

Allah pak ney apne bandon ko un ke achay achay aamaal ka apne fazl o karam se badla aur inaam dainay ke liye akhirat mein jo shandaar maqam tayyar kar rakha hai uss ka naam jannat hai aur usi ko bahisht bhi kehte hain. Jannat mein har qisam ki raahat o shadmani o Farhat ka samaan mojoud hai. Sonay chandi aur moti o jawahraat ke lambay choray aur ounchay ounchay mehal banay hue hain aur jagah jagah reshmi kapron ke khobsorat o nafees khaimay lagey hue hain. Har taraf tarhan tarhan ke lazeez aur dil pasand mewoon ke ghany, shadaab aur saya daar darakhton ke baagaat hain.

Aur un baghoon mein metha pani, nafees doodh, umdah shehad aur sharaab e tahoor ki nehrein jari hain. Qisam qisam ke behtareen khanay aur tarhan tarhan ke phal fruit saaf suthray aur chamakdar bartano mein tayyar rakhay hain. Aala darjay ke reshmi libaas aur sitaron se barh kar chamakate aur jagmagaty hue sonay chandi aur moti o jawahraat ke zewraat, ounchay ounchay jurao takhat, unn par ghaleechay aur chandaniyaan bichi hui aur masnaden lagi hui hain. Aish o nishat ke liye duniya ki aurtain aur jannat ki hooren hain jo be intahaa haseen o khobsorat hain.

Jannat ki Naimatain

Khidmat ke liye khobsorat larke charon tarf dast basta har waqt haazir hain algaraz jannat mein har qisam ki be shumaar rahtin aur naimatain tayyar hain. Aur jannat ki har Nemat itni be nazeer aur is qadar be misaal hai keh nah kabhi kisi aankh naay dekha, nah kisi kaan naay suna, nah kisi ke dil mein uska khayaal guzra. Janati log bila rok tok unn tamam nematon aur lazton se lutaf andoz hon gey aur un tamam nematon se barh kar jannat mein sab se barri yeh Nemat miley gi ke jannat mein jannatiyon ko khudawand e Quddoos عزوجل ka deedar naseeb ho ga.

Jannat mein nah neend aaye gi nah koi marz ho ga nah burhapa aaye ga nah mout ho gi. Jannati hamesha hamesha jannat mein rahen gey aur hamesha tandrost aur jawan hi rahen gey.

Ehley jannat khoob khayen piyen gey magar nah un ko pishaab pakhana ki haajat ho gi nah woh thouken gey nah un ki naak bahe gi. Bas aik dikaar aeye gi aur mushk se ziyada khusbhoo daar paseena bahe ga aur khana pinaa hazam ho jaye ga. Janati har qisam ki fikron se aazad aur ranj o gham ki zehmaton se mehfooz rahen gey. Hamesha har dam aur har qadam par shadmani aur musarrat ki fizaon mein shad o abad rahen gey aur qisam qisam ki nematon aur tarhan tarhan ki lazzaton se lutaf andoz o Mahzooz hotay rahen gey. [1]Khulasa Quran o hadees

Jannat Kahan hai?

Ziyada sahih qoul yeh hai keh jannat satwen aasman ke oopar hai kyunkeh Quran Majeed mein hai keh:

عِنۡدَ سِدْرَۃِ الْمُنْتَہٰی ﴿۱۴﴾عِنۡدَہَا جَنَّۃُ الْمَاۡوٰی ﴿ؕ۱۵﴾ [2]Parah 27, Al Najam: 14, 15

Yani sidra tul muntaha ke paas hi jannat ul mawa hai. Aur aik hadees mein yeh aaya hai keh jannat ki chhat arsh par hai. [3]شرح المقاصد،المبحث الخامس،الجنۃ والنار…الخ،ج۳،ص۳۶۱ [4]Hashia Sharah Aqaid e Nasfia, Safha 80

Jannaten kitni hain?

Jannaton ki tadaad 8 hai jin ke naam yeh hain.

  1. Dar al Jalal
  2. Dar al Qarar
  3. Dar al Salam
  4. Jannat Uden
  5. Jannat al Mawa
  6. Jannat al Khuld
  7. Jannat al Firdous
  8. Jannat al Naeem [5]Tafseer rooh al bayan, Jild 1, Safha 82

Jannat ki manzilain

Hadees shareef mein hai keh jannat ke 100 darjay hain aur har do darjon ke darmain aik 100 baras ki raah hai. [6]مشکاۃ المصابیح،کتاب احوال القیامۃ…الخ،باب صفۃ الجنۃ واھلھا، الحدیث:۵۶۳۲، ج۲،ص۳۳۲ [7]Mishkat, Jild 2, Safha 498

aur aik hadees mein yeh bhi aaya hai ke janati log jannat ke baala khaanoon ko is tarhan dekhen gey jis tarhan tum log zameen se mashriq ya maghrib mein chamaknay walay taron ko dekha karte ho. [8]مشکاۃ المصابیح،کتاب احوال القیامۃ…الخ،باب صفۃالجنۃ واھلھا، الحدیث:۵۶۲۴، ج۲،ص۳۳۱ [9]Mishkat, Jild 2, Safha 496

Jannat ke phaatak

Hadees shareef mein hai keh jannat ke phaatak itnay barray barray hain keh is ke dono baazuon ke darmain 40 baras ka rasta hai magar jab jannati jannat mein daakhil honay lagen gey to un phaatakon par hajhoom ki kasrat se tangi mehsoos honay lagey gi. [10]مشکاۃ المصابیح،کتاب احوال القیامۃ…الخ،باب صفۃالجنۃ واہلہا، الحدیث:۵۶۲۹، ج۲،ص۳۳۲ [11]Mishkat, Jild 2, Safha 497

Jannat ke baghat

Jannat ke baghoon ke baray mein Hazoor-e-Akram ﷺ ka irshad hai keh momin jab jannat mein daakhil hoga to woh 70,000 aisay baghat dekhe ga keh har bagh mein 70,000 darakht hon gey aur har darakht par 70,000 pattay hon gey aur har pattay par yeh likha hoga :

لَآ اِلٰـہَ اِلَّا اللہُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللہِ اُمَّۃٌ مُّذْنِبَۃٌ وَّرَبٌّ غَفُوْرٌ

aur har pattay ki chorrai mashriq se maghrib tak ke barabar hogi. [12]تفسیرروح البیان،البقرۃ،تحت الآیۃ:۲۵،ج۱،ص۸۲ [13]Rooh al bayan, Jild 1, Safha 82 aur aik riwayat mein hai keh jannat ke tamam darakhton ke tanay sonay ke hain. [14]مشکاۃالمصابیح،کتاب احوال القیامۃ…الخ،باب صفۃ الجنۃ واہلہا، الحدیث:۵۶۳۱، ج۲،ص۳۳۲ [15]Mishkat, Jild 2, Safha 497

Jannat ki emaratein

Janat ki imaarton mein aik eent sonay ki aur aik eent chandi ki hai aur is ka gaara nihayat hi khusbhoo daar mushk hai aur is ki kankariyan moti aur Yaqoot hain aur is ki dhool zafran hai. [16]مشکاۃ المصابیح،کتاب احوال القیامۃ…الخ،باب صفۃالجنۃ واہلہا، الحدیث:۵۶۳۰، ج۲،ص۳۳۲ [17]Mishkat, Jild 2, Safha 497 aur yeh bhi marwi hai keh baaz emiratein noor ki aur baaz Yaqoot e surKh ki aur baaz zumurud ki hain.[18]Tafseer Rooh al Bayan, Al Baqrah, Taht al Aayat 25, Jild 1, Safha 82

Jannat ki nehrein aur Hoz e kusar

Jannat mein metha pani, shehad, doodh aur sharaab ki nehrein behti hain. [19]مشکاۃ المصابیح،کتاب احوال القیامۃ…الخ، باب صفۃالجنۃ واہلہا، الحدیث:۵۶۵۰، ج۲،ص۳۳۶[20]Mishkat, Jild 2, Safha 500 Jab jannati pani ki neher mein se piyen gey to unhen aisi hayaat miley gi keh phir unhen mout nah aaye gi aur jab doodh ki neher mein se nosh karen gey to un ke badan mein aisi farbahi paida ho gi keh phir kabhi lagar nah hon gey aur jab shehad ki neher mein se pi len gey to unhen aisi sehat o tandrusti mil jaye gi keh phir kabhi woh bemaar nah hon gey aur jab sharaab ki neher mein se pilaaye jayen gey to unhen aisa nishat aur khoshi ka suroor haasil ho ga keh phir kabhi woh ghamgeen nah hon gey.[21]Rooh al Bayan, Al Baqrah, Aayat 25, Jild 1, Safha 82

Yeh charon nehrein aik hoz mein gir rahi hain jis ka naam “Hoz e kusar” hai yehi hoz Huzoor e Akram ﷺ ka woh hoz e kusar hai jo abhi jannat ke andar hai lekin qayamat ke din maidan e mehshar mein laya jaye ga, jahan Huzoor e Akram ﷺ is hoz se apni ummat ko sairaab farmaen gey. [22] Tafseer Rooh al bayan, Al Baqrah, Ayat 25, Jild 1, Safha 83

Jannat ke chashmay

Inn charon nehron ke ilawa jannat mein dosray chashmay bhi hain jin ke naam yeh hain:

1. Kafoor
2. Zanjabeel
3. Salsabeel
4. Rahiq
5. Tasneem . [23] Tafseer Rooh al bayan, Al Baqrah, Ayat 25, Jild 1, Safha 83

Ehley Jannat ki Umrein

Har janaati khuwa bachpan mein mra ho ya boorha ho kar wafaat payi ho, hamesha jannat mein uss ki Umar 30 hi baras ki rahay gi is se ziyada kabhi uski Umar nahi barhay gi. Aur woh hamesha hamesha isi tarhan jawan rehtay hue Aaram o rahat ki zindagi basar karta rahay ga. [24]Sunan al Tirmizi, Kitaab Sifatul Jannat, Al-Hadith : 2571, Jild 4, Safha 253 [25]Tirmizi, Jild 2, Safha 80

Jannatiyon ki biwiyan aur khuddam

Adna darjay ke jannati ko 80,000 khadim aur 72 biwiyan milein gi aur os ke liye moti aur Zabarjad o Yaqoot ka itna lamba chaura khaima garha jaye ga jitna ke “جابیہ” aur “صنعاء ” ke 2 shehron ke darmian faasla hai. [26]Sunan al Tirmizi, Kitaab Sifatul Jannat, Al-Hadith : 2571, Jild 4, Safha 253 [27]Tirmizi, Jild 2, Safha 80

Hooron ka jalsa aur gana

Jannat mein hooron ka jalsa hoga jis mein hooren is mazmoon ka gana sunaein gi ke “Hum hamesha rehne waliyan hain to hum kabhi fanaa nah hon gi. Hum chain mein rehne waliyan hain to hum kabhi ghamgeen nahi hon gi. Hum khush honay waliyan hain to hum kabhi naraaz nah hua karen gi. Mubarak baad hai un ke liye jo hamaray liye hon aur hum unn ke liye hon.” [28]Sunan al Tirmizi, Kitaab Sifatul Jannat, Al-Hadith : 2573, Jild 4, Safha 254 [29]Tirmizi, Jild 2, Safha 80

Jannat ke bazaar

Har jummay ke din jannat mein aik bazaar lagey ga ke uss mein shumali hawa chalay gi jo jannatiyon ke cheharon aur kapron par lagey gi to unn ke hussan o jamal mein nikhaar paida ho kar woh bohat ziyada khobsorat ho jayen gey aur jab woh bazaar se palat kar apne ghar jayen gey to unn ke ghar walay kahin gey keh tum to Khuda ki qasam! hussan o jamal mein bohat barh gaye ho. To yeh log kahin gey keh hamaray peechay tum logon ka hussan o jamal bhi bohat barh gaya hai. [30]Sahih Muslim, kitaab Sifat ul Jannat, Al-Hadith: 2833, Safha 1519 [31]Mishkat, Jild 2, Safha 496

Jannat mein Allah pak ka deedar

Huzoor e Akram ﷺ ka irshad hai keh jab jannati jannat mein daakhil ho jayen gey to Khuda عزوجل ka aik munaadi yeh elaan karega keh Ae ehley jannat! abhi tumharay liye Allah عزوجل ka aik aur wada bhi hai. To ehley jannat kahin gey keh Allah عزوجل ney hamaray cheharon ko roshan nahi kar diya hai! kya Allah عزوجل ney hum ko jahannum se nijaat day kar jannat mein nahi daakhil kar diya hai? To munaadi jawab day ga keh kyun nahi! phir aik dam Khudawand e Quddoos عزوجل apne Hijab e Aqdas ko daur farma dega [32]Aur jannati log Khuda عزوجل ka deedar kar len gey to Jannatiyon ko is se ziyada jannat ki koi naimat piyari nah ho gi. [33]Sunan al Tirmizi, kitaab صفہالجنہ, Al-Hadith : 2561, Jild 4, Safha 248 [34]Tirmizi, Jild 2, Safha 78

Chodween raat ka chaand

Esi tarhan bukhari o muslim ki hadees mein hai. Hazrat Jarir bin Abdullah رضی اللہ عنہ kehte hain keh hum log Rasool Allah ﷺ ki khidmat mein baithy hue they to Huzoor e Akram ﷺ ne chodween raat ko chaand ki taraf dekh kar irshad farmaya keh tum log anqareeb [35]Qayamat ke din apne Rab عزوجل ko dekho gey jis tarhan tum log chaand ko dekh rahay ho. [36]Yani jis tarhan chaand ko dekhnay mein koi kisi ke liye hijaab aur aarr nahi bantaa esi tarhan tum log apne Rab عزوجل ko dekho gey to agar tum logon se ho sakay to namaz e fajar o namaz e asar kabhi nah chorro. [37]Sahih Muslim, Kitaab al masajid, Al Hadith 633, Safha 317

Esi tarhan Hazrat Suhaib Roomi رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Rasool Allah ﷺ ne farmaya keh jab jannati jannat mein daakhil ho chukain gey to Allah pak farmaiye ga ke Ae ehley jannat! kya tum chahtay ho ke kuch aur ziyada naematain main tum logon ko ataa karoon? to ehley jannat kahin gey ke Khudawand عزوجل! kya tu ne hamara moun ujala nahi kar diya? Kya tu ne hamein jannat mein nahi daakhil kar diya? aur jahannum se nijaat day diya. Itnay mein hijaab uth jaye ga aur log didar e Ellahi عزوجل kar len gey to is se ziyada barh kar unhen jannat ki koi naimat mehboob nah ho gi. Uss waqt Huzoor e Akram ﷺ ney yeh aayat tilawat farmai keh [38] Mishkat Shareef, Jild 2, Safha 500

لِلَّذِیْنَ اَحْسَنُوا الْحُسْنٰی وَزِیَادَۃٌ [39]پ۱۱،یونس:۲۶

Tarjuma Kanzul Iman: Bhalai walon ke liye bhalai hai aur iss se bhi zayed. [40]Parah 11, Surah Younis : 26

5/5 - (1 vote)

Hawala Jaat[+]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *