Jumma Mubarak jisko “Blessed Friday” bhi kaha jata hai. Islami calendar mein aik ahem din hai. Yeh duniya bhar ke musalmanoon ke liye bohat ahmiyat rakhta hai kyunkay yeh ijtimai dua aur ghor o fikar ka din hai. Yeh tehreer Jumma Mubarak ki ahmiyat, eski fazilat aur is se jurey Rohani aur ijtimai pehluo par roshni daly gi.
Jumma Mubarak kya hai?
Jumma Mubarak aik jumla hai jo musalmanoon ke zareya aik dosray ko mubarakbaad dainay ke liye istemaal kiya jata hai. Yeh khushi ka izhaar hai aur is muqaddas din ki ahmiyat ki yaad dehani ke tor par kaam karta hai. Musalman Jumma ki namaz ada karne ke liye masajid mein jama hotay hain aur ibadat aur naiki ke kamon mein mashghool rehtey hain. Taakey ziyaada se ziyaada sawaab ikhatta kar saken.
Jumma ki Ahmiyat
Islam mein Jumma Mubarak ko bohat ahmiyat haasil hai. Jumma yom e eid hai. Ye sab dinon ka sardar hai. Jumma ke roz jahannum ki aag nahi sulgai jati. Jummah ki raat dozakh ke darwazay nahi khultay. Jumma ko baroz e qayamat dulhan ki tarhan othaya jaye ga. Es roz marnay wala khush naseeb musalman shaheed ka rutba paata aur azaab e qabar se mehfooz ho jata hai.
Surah Jumma
Jumma Mubarak ko haftay ka behtareen din samjha jata hai. Ye musalmanoon ke dilon mein aik khaas maqam rakhta hai. Es ki ahmiyat ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke ALLAH pak ne Quran shareef mein jumma ke naam se aik mukammal surat nazil farmayi jisko “Surah Jumma” kehtey hai. Jo keh Quran e kareem ke 28win paaray mein jagmaga rahi hai. Surah Jumma ki aayat number 9 mein irshad hota hai:
Tarjama: Aey imaan walo! Jab namaz ki azaan ho Jummah ke din to Allah ke zِikr ki taraf dorro aur khareed o farokht chorr do, Yeh tumhary liye behtar hai agar tum jano.
Jumma ki Tayyari
Musalman khud ko jismani aur Rohani tor par saaf karkay Jumma Mubarak ki tayari karte hain. Woh ghusal karte hain, saaf kapray pehantay hain, aur pakizgee se namaz ki tayari ki alamat ke tor par khushbu lagatay hain. Woh apne zehnon ko dunyawi khiyaalat se pak karne aur Allah ki yaad par tawajah dainay ki bhi koshish karte hain.
Khutba aur Bajmaat namaz
Jumma ke douran, masjid ka imam ya khateeb khutba deta hai. Khutba 2 hisson par mushtamil hai aur mukhtalif mozuaat ka ihata karta hai. Jaisa keh mazhabi zimma darion ki yaad dehani, ikhlaqi eqdaar, aur Saleh zindagi guzaarne ke liye rahnumai. Khutba aam tor par Arabic mein hota hai, Jab keh mukhtalif mumalik mein Arabic Khutba se pehly ek maqami zaban mein speech bhi di jati hai jo mukhtalif Islahi topics ko cover karti hai.
Khutba ke baad, musalman bajmaat namaz mein mashgool hotay hain jisay “Namaz e Jumma” kaha jata hai. Es namaz ko khaas ahmiyat haasil hai kyunkay yeh Jumma ke din Zuhar ki namaz ki jagah le layti hai. Tmam Musalman kandhay se kandha mila kar kharray hotey hain, Jis se namazion ke darmiyan ittehaad aur musawaat ke ehsas ko farogh milta hain.
Jumma Mubarak par Ebadaat
Jumma Mubarak musalmanoon ko mukhtalif ebadaat mein mashgool honay ka mauqa faraham karta hai. Un mein Quran ki tilawat, Darood shareef ki kasrat karna, Duayen maangna, Istighfar karna aur nafli ibaadat aur degar ibadaat mein mashgool hona shaamil hain. Musalman apni aqeedat mein izafah karte hue aur Rohani taraqqi ki koshish karte hue is mubarak din se ziyada se ziyada faida uthany ki koshish karte hain.
Jummat-ul-mubarak ki Mubarakbaad
Musalmanoon ko doosron ke sath Jumma ki Barkaat baantane ki targheeb di jati hai. Woh aik dosray ko “Jumma Mubarak” ke alfaaz ke sath mubarakbaad dete hain. Jis se mohabbat, meharbani aur naik khwahishaat pheilaney mein izafa hota hai. Es din Muslims zaroorat mandoon ki madad karne aur un ki zindagion mein khusihyan laane ke liye sadqa aur sakhavat ke kamon ki bhi koshishein kartey dikhayi detey hai.
Jumma ki fazilat aur sawab
Es babarkat din mein ebadaat mein mashgool hona aur Jumma ki namaz ada karna islam mein bay panah ajar aur fazilat rakhta hai. Jummah ki aik neki ka sawab 70 guna hai. (Chunkeh Jummah ka sharf bohat ziyada hai lehaza) Jummah ke roz gunah ka azaab bhi 70 guna hai. Jummah ko hajj ho to is ka sawab 70 hajj ke barabar hai. [1]مُلَخَّص از مِراٰۃ ج۲ص ۳۲۳، ۳۲۵ ، ۶ ۳ ۳
Khandan aur baradri ke sath Jumma manana
Jumma Mubarak khandano aur baradrion ke ikathay honay ka din bhi hai. Bajamaat namaz ke baad, musalman aksar apne piyaron ke sath khana baantne, baat cheet mein mashgool honay aur rishta daari aur dosti ke bandhan ko mazboot karne ke liye jama hotay hain. Yeh khushi aur jashnn ka waqt hai.
Jumma Mubarak kay din darood sharif parhnay ki fazilat
Huzoor Nabi e kareem ﷺ ka farmaan hai:
“Jis nay mujh par roz e Jumma 200 baar darood pak parha os ke 200 saal ke gunah maaf hon gey.” [2]جمْع الجوامع لِلسّیوطی ج۷ ص۱۹۹حدیث۲۲۳۵۳
Summary
Jumma duniya bhar ke musalmanoon ke liye Rohani aur ijtimai ahmiyat ka haamil hai. Yeh namaz, aur deegar ibadat ka din hai. Yeh mubarak Jumma istighfar karne, imaan ko mazboot karne aur mohabbat aur meharbani phelanay ka mauqa faraham karta hai. Jumma Mubarak ka mushahida karne se, musalman Saleh zindagi guzaarne aur Rohani sukoon haasil karne ki koshish karte dikhayi detey hai.
Hawala Jaat