Karbala ka Waqia, Jisay Waqia e Karbala bhi kaha jata hai. ء680 mutabiq 61 hijri 10 Muharram ul Haram ko Iraq ke aik maidan Karbala mein paish aaya. Yeh aik terhan ki jung thi jo Hazrat Imam Hussain رضی اللہ عنہ aur un ke 72 sathiyon ki umvi khalifa Yazeed Paleed ki fouj ke darmiyan hui thi. Yeh jung Islam ki tareekh mein aik ahem waqia hai. Es mein Imam Hussain رضی اللہ عنہ aur un ke 72 sathiyon ko Yazeed Paleed ke zulm o sitam ka shikaar hona para.
Imam Hussain رضی اللہ عنہ paighambar e Islam ﷺ ke nawase aur Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ke farzand hain. Woh aik aadil aur meharban insan thay. Jabkay Yazeed Paleed aik zalim aur sitamgar hukmaran tha. Yazeed Paleed umvi khandan ka aik fard tha. Es ne apne walid Hazrat Muawiyah bin Abu Sufyan رضی اللہ عنہ ke baad zabardasti hukmaran ban gaya. Es ke zalim aur fasik honay ki wajah se Hazrat Imam Hussain رضی اللہ عنہ ne eski himayat ka inkaar kar diya .
Karbala ka Maqam
Jis par es ne apni hukoomat ke dawam ke lalach mein saazish kar ke Hazrat Imam Hussain رضی اللہ عنہ aur un ke sathiyon ko zulm o sitam ka nishana banaya jo ke Kufa ki taraf ja rahay thay aur Karbala ke maqam par thay. Os ne apni fouj bhaeji jis ne zulm ki inteha kar di. Imam Hussain رضی اللہ عنہ aur un ke sathi Yazid ki fouj ke khilaaf bahaduri se larry. Lekin woh aakhir kaar shaheed ho gaye.
Karbala ka Waqia musalmanoon ke liye bohat ahmiyat ka haamil hai. Duniya is waqiye ko zulm o sitam ke khilaaf haq ki aawaz uthany ki aik misaal ke tor par yaad rakhti hai. Karbala ka Waqia aik aisa waqia hai jisay kabhi nahi bhola ja sakta. Yeh aik reminder hai ke zulm o sitam ke khilaaf hamesha aawaz uthana chahiye. Haq ki aawaz ko hamesha buland karna chahiye, chahay is ke liye jaan ki qurbani kyun nah deeni pary.