khanay mein aib nikalna makrooh o khlaf e sunnat hai. Aur agar is ki wajah se khana pakanay walay ya maizban ki dil aazari ho jaye to mamnu hai.
Hazrat Abbu Huraira رضی اللہ عنہ nay farmaya keh Sarwar e Aalam ﷺ nay kabhi kisi khanay ko aib nahi lagaya( Yani bura nahi kaha ) agar khwahish hoti to kha letay aur khwahish nah hoti to chore dete.
(بخاری، کتاب الاطعمۃ، رقم۵۴۰۹،ج۳،ص۵۳۱ )
Khanay mein Aib nikalney ke bary mein mazeed tafseel
Imam ahal e Sunnat Moulana Ahmed Raza Khan علیہ رحمۃ الرحمن likhte hain :
”Khanay mein aib nikalna apne ghar mein bhi nah chahay, makrooh o khilaaf sunnat hai. Sarkar e do Aalam ﷺ ki aadat karimah yeh thi keh pasand aaya to tanawal farma liya warna nahi. Raha paraye ghar mein aib nikalna to is mein musalmanoon ki dil shikni hai aur kamaal hiras o bay murawati par Daleel hai. ”Ghee kam hai ya maza ka nahi” Yeh aib nikalna hai.
Aur agar koi shai usay nuqsaan deti hai, usay nah khanay ke liye is ka izhaar kiya nah keh btor e tanz o aib maslan is mein mirch zayed hai aur itni mirch ka yeh aadi nahi to yeh aib nikalna nahi aur itna bhi os waqt hai ke jab be takalufi khaas ki jagah ho aur is ke sabab maizban ko aur takleef nah karni parre maslan do qisam ka saalan hai, aik mein mirch zayed hai aur yeh aadi nahi to usay nah khaye aur wajah poochi jaye to bata de.
Aur agar aik hi qisam ka khana hai, ab agar yeh nahi khata to maizban ko is ke liye kuch aur mangana parre ga, ussay ndamat hogi aur tang dast hai to takleef hogi to aesi haalat mein murawwat yeh hai keh sabar kary aur khaye aur apni aziat zahir nah kary. واللہ تعالیٰ اعلم
(فتاویٰ رضویہ ،ج ۱۰،نصف آخر ،ص ۱۱۶)
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmaye. Amen