Khatam e Nabuwat par Iman rakhna kis qadar zaruri hai

Khatam e Nabuwat

Huzoor Nabi e Rehmat ﷺ ke khasayel Hamida aur kamalaat ki tadaad o shumaar insan ki taqat se bahir hai. En kamalaat mein se har aik jahan alag topic bantaa hai. Wahen katib ko jamiat aur mukammal bayan karne se aajiz kar deta hai. Aap ﷺ  ko tamam insanon mein se fazeelat rakhnay walon se bhi afzal qarar diya gaya aur phir fazilat waly logon yani Anbia e karaam ke silsila e Nabuwat par mohar laganay walay aakhri nabi bana kar bheja gaya.

Ab rehti duniya tak sika Aap ﷺ ka chalta rahay ga. Jis terhan Aap ﷺ ko nabi maney baghair koi musalman nahi ho sakta Esi terhan aap ko Khatamun Nabiyeen manay baghair bhi koi momin nahi ho sakta. Aap ﷺ ki khatam e nabuwat par Quran pak ki 200 se zayed ayatain aur senkron ahadees gawahi deti hain aur poori ummat ka is baat par ijma hai keh Aap ﷺ aakhri nabi ban kar tashreef laaye hain.

Aik Hadees pak zikar karta hon: Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya Anbia ki misaal os shakhs jaisi hai jis ne aik imarat taamer ki usay haseen o jameel aur kaamil banaya. Loog os imarat ke gird chakkar lagatay hain aur kehte hain hum ne es se khobsurat imarat pehlay nahi dekhi siwaye aik eent ( ki jagah ke jo khaali chorr di gayi thi ) aur Main woh eent hon. [1]Musnad Ahmed , Hadees 7020

Yani imarat e Anbia ki aakhri eent Nabi pak ﷺ hain keh jis ke baad kisi eent ki zaroorat baqi nahin hai.

WhatsApp Group (Join Now) Join Now
YouTube Channel (Subscribe Now) Subscribe

Hai taaj tairay sar pay saja khatam e nabuwat ka
Ahmed ko –apne ishhq ka qatra karo ataa

Khatam e nabuwat par aik bohat barri Daleel

Quran pak mein Allah pak irshad farmata hai:

مَا كَانَ مُحَمَّدٌ اَبَاۤ اَحَدٍ مِّنْ رِّجَالِكُمْ وَ لٰكِنْ رَّسُوْلَ اللّٰهِ وَ خَاتَمَ النَّبِیّٖنَؕ-وَ كَانَ اللّٰهُ بِكُلِّ شَیْءٍ عَلِیْمًا۠(۴۰)
Tarjuma : Muhammad tumharay mardon mein kisi ke baap nahi hain lekin Allah ke rasool hain aur sab nabiyon ke aakhir mein tashreef laane walay hain aur Allah sab kuch jan-nay wala hai. [2]Surah al-Ahzaab, Aayat 40
5/5 - (1 vote)

Hawala Jaat[+]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *