Hamaray muashray mein awwal to koi kisi ki madad karne ko tayyar nahi hota aur agar madad kar bhi day to umooman kisi nah kisi mauqa par ehsaan jta deta hai maslan aaj mere samnay boltay ho, mera ehsaan mano keh main ney hi tumhen yeh hunar sikhaya hai. Aaj mujhe masail samjhate ho, mera shukriya ada karo ke tumhen wudu karna bhi main ney sikhaya hai, waghera. Aur youn apna sawab zaya kar baithta hai. Allah Pak ney quran e pak mein irshad farmaya:
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تُبْطِلُوۡا صَدَقٰتِکُمۡ بِالْمَنِّ وَالۡاَذٰی
Tarjama: Ae imaan walo! –apne sadqe baatil nah kar do ehsaan rakh kar aur eeza day kar. [1]Al-Baqarah, 264
lehaza! insan ko chahiye keh kisi ko sadqa dainey ya os ki madad karne ke baad hargiz ahsaan nah jataye. Allah pak hamen es hawaly se apni zaban ki hifazat karne ki tofeeq atta farmaye. Aamen
Hawala Jaat