Pyare bhaiyyo! Hum qayamat ki alamaat key baaray mein sekha rahay hen. Jaisa keh hum ne apni pichli tehreer “Qayamat ki Alamat aur Os par Hamra Aqeedah” mein seekha. Chunancha Hazrat Huzaifah bin Yaman رضی اللہ عنہ sey rivayat hai, Makki Madani Mustafa ﷺ ne irshad farmaya: Qurb e qayamat ki alamaat mein se yeh kaam hain.
- Log qata rehmi karen gey.
- Gunaaho ki kasrat ho gi.
- Quran Majeed ko (Sonay chandi sey) muzayyan kiya jaye ga.
- Mard aurton ki aur
- Aurtain mardon ki mushabahat ikhtiyar karen gi.
- Aadmi apne waalid ki nafarmani kare ga aur dost o ahbaab se bhalai kary ga.
- Ganay waliyon aur
- Aalat e moseeqi ka rivaaj aam ho jaye ga.
to us waqt surkh aandhi, zameen mein dhans jane, shaklain tabdeel honay aur dosray azabon ke anay se dartay rehna.[1]حلیۃ الاولیاء، ۳/۴۱۰،رقم ۴۴۴۸ ملتقطاً
Ay sathiyon! ghhor kijiye! In mein sey kon sa aisa kaam hai jo aaj hamaray zamane mein aam nahi hai, qata rehmi karna ( Yani rishta daaron se talluq torr dena ) qayamat ki alamaat mein sey bataya gaya hai, aaj gharon aur khandano mein choti choti baton par jhagrre hotay hain aur phir yehi jhagrre barh kar qata e rehmi ( Yani rishta daaron se talluq torr dainay ) ki soorat ikhtiyar kar letay hain. Aur khandan key afraad kai kai saloon tak aik dosray ka moun bhi nahi dekhtay.
Alamaat e Qayamat ki tafseel
Gunahon ki kasrat ko bhi qayamat ki alamaat mein sey bayan kiya gaya hai, aaj hum apne muashray mein dekhen to hamein andaza ho ga keh woh kon sa gunah hai jo hamaray muashray mein nahi paaya ja raha.
Tanhai ho ya mehfill, ghar ho ya bazaar, shehar mein hon ya gaon mein har jagah gunaaho ki bharmaar hai. Balkeh ab to gunaahon ki aesi ziyadti hai keh khud ko gunaahon se bachana mushkil tareen kaam ho gaya hai.
Quran e Majeed ko muzayyan kiya jaye ga
Quran e pak ko muzayyan o aarasta kiya jana bhi qayamat ki alamaton mein sey bayan hua hai, aaj quran e pak key ghilaaf ko, is ke Rehal ko, is ki Binding ( Yani oopri jِild ) aur ourak ko to bohat sajaya jata hai magar apne kirdaar ko qurani ikhlaq se aarasta karne walay kam hotay jaa rahay hain, aaj qraan e pak jahan rakha jaye us jagah ki bhi sajawat ka khayaal rakha jata hai lekin dil, dimagh, fikar aur soch bhi quran e pak ki talemaat se sajh jaye is ki taraf dheyaan nahi diya jata.
Mardon ki aurton sey aur aurton ki mardon se mushabahat
Mardon ka aurton aur aurton ka mardon ki mushabahat karna bhi qayamat ki nishani hai, ghhor kijiye! aaj kon sa aisa shoba aur kon sa aisa kaam hai jis mein aurtain mardon ki aur mard aurton ki naqali nahi kar rahay. Afsos! Aaj to jis kaam mein aurton ki ziyada tadaad shareek ho, usay hi taraqqi ki alamat samgha jane laga hai.
Baal katwane, kapray pehannay, baazaaron mein ghoomnay, gariyaan chalanay, khareed o farokht key shoba jaat, khelon key maidan, algaraz! kon si aesi jagah hai jahan aurtain mardon ki naqal karti hui nazar nahi aaten, isi tarhan aaj mardon mein dekhen to kangon pehannay, aurton ki tarhan lambay baal rakhnay, aurton ki tarhan naak aur kaanon mein zevrat pahannay, sar par hair band laganay, hathon aur paon ko mehndi se rangne sameit aur kayi kamon ka rivaaj bhi barhta dikhayi deta hai, halaan keh hamaray Aaqa, Madinay walay Mustafa ﷺ ney esay qayamat ki alamaat mein shumaar kiya hai aur is sey mana bhi farmaya hai.
Aadmi ki apne waalid sey nafarmani aur dost se bhalai
Isi tarhan qayamat ki aik nishani yeh bhi bayan ki gayi keh aadmi apne waalid ki nafarmani aur dost ahbaab sey bhalai karay ga, is key nazaray bhi har su aam hain, baaz logon ka rawaiya apne sage baap se bohat sakht hota hai magar apne doston key aagay bichhe chalay jatay hain, baaz logon ko apne sage waalid sey hussan e sulooq ( Yani acha sulooq karne ) ki tofeeq nahi millti, magar –apne doston ke sath aeye din partiyan aur dawatein chal rahi hoti hain, baaz log –apne waalid ki itni nahi mantay jitni –apne doston ki mantay hain, yahi wajah hai keh aisay nazaray bhi dekhnay mein atay hain jab waalid apni aulaad key doston sey keh rahay hotay hain ke aap hi mery betay ko sumjhaayein, aap hi mery betay ko batayen! meri to woh sunta nahi hai.
Aalaat e moseeqi ka rivaaj aam hona bhi alamaat e qayamat se
Qayamat ki nishaniyon mein sey yeh bhi bayan kiya gaya keh ganay waliyon aur aalaat e moseeqi ki kasrat ho gi, is baray mein bhi muashray ki sorat e haal hamaray samnay hai. Music aur ganay bajay ka selaab musalmanoon ko bahaye le ja raha hai, Pehlay to cinema gharon ki shakal mein makhsoos jaghen hoti theen jahan مَعَاذَ اللہ ganay, filmen aur music ka silsila hota tha. Magar ab to har jagah ganay aur music ki bharmaar hai.
Mobile mein ganay aur music, TV mein ganay aur music, baazaaron mein ganay aur music, hotlon mein ganay aur music, khilonon mein ganay aur music, bachon ke jooton mein ganay aur music, gharon mein ganay aur music, schools mein ganay aur music, college mein ganay aur music, basoon mein ganay aur music, caron mein ganay aur music, jahazoo mein ganay aur music, trainon mein ganay aur music! Algharz! kon si aesi jagah hai jahan ganay aur music ka silsila nahi hai. Balkeh ab to مَعَاذَ اللہ nobat yahan tak pohanch chuki hai keh masjidoon mein mobiles ki dhun bajti hain. Bell aati hai to masjid mein bhi ganay aur music ki aawazian gonjnay lagti hain.
Allah pak hamaray haal par reham farmaiye. Aamin
Hawala Jaat