Jaisa keh hum nay apni ek tehreer “Musht Zani” mein bayan kiya tha keh: Biwi aur Kaneez sharai ke ilawa qaza e shehwat ki mukhtalif soorten maslan zina, lawatat, janwaron se bad feli aur musht zani waghera, sab ki sab haraam o najaaiz hain. To aaj hum lawatat kay bary mein bayan karen gay. Ek achi khasi tadad hai jo es kaam mein mulavis nazar aati hai. Aur ek tadad aesi bhi hai jisko es baat ka bhi ilm nahi keh wo es bemari mein mubtila hen bhi ya nahi.
Bay shumaar dunyawi o ukhrawi aafaat ka sabab ban’nay walay is mazmoom feal ki qabahat quran kareem aur ahadees kreema se saabit hai. Chunancha irshad hota hai:
Tarjuma: Aur Loot ko bheja jab os ney apni qoum se kaha kya woh be hiyai karte ho jo tum se pehlay jahan mein kisi ney nah ki tum to mardon ke paas shehwat se jatay ho aurtain chorr kar balkay tum log had se guzar gaye. ” [1]Parah 8, Airaaf : 80, 81
Qoum e Loot par isi ki wajah se azaab nazil hua tha, jis ka bayan Quran e Majeed furqan e hammeed mein en alfaaz sey kiya gaya hai:
Tarjuma : Phir jab hamara hukum aaya hum ney is bastii ke oopar ko is ka neecha kar diya aur is par kanker ke pathar lagataar barsaye.”[2]Hood : 82
Iski muzammat mein Ahadees Muqaddisa
Rasool Allah ﷺ ney irshad farmaya: “Jo qoum Loot ka sa amal kare, woh maloon hai.”[3]Tirmizi, kitaab al hadood, baab maja fi had al wati, raqam 1461 Jild 3, Safha 137
- Jo amradon ki soorten dekhen ge aur un se baat cheet karen ge,
- Wo jo un se haath milaain ge aur galay bhi milein ge,
- Jo un se bad feli karen ge. Un sabhi par Allah pak ki laanat hai magar jo tauba kar len ge to Allah pak un ki tauba qubool farma le ga aur woh laanat se bachay rahen ge.[5]Kanz al-Ummal, kitaab al hadood, raqam 13129 Jild 5, Safha 135
Lawatat ki sharai dunyavi saza
Ferman e Aakhri Nabi ﷺ : “Tum jis shakhs ko qoum Loot ka amal karte pao to karne aur karwane walay dono ko qatal kar do.”[6]Mustadrik, kitaab al hadood, raqam 8113, Jild 5, Safha 508
Aur Hazrat Ibn Abbas un ke liye farmaya karte they, “Bastii mein koi onche deewar dekhi jaye aur looti ko is ke neechay daal diya jaye, phir uskay sath patharon wala maamla kiya jaye jaissa qoum Loot ke sath kiya gaya tha.” Hazrat Khalid bin Waleed رضی اللہ عنہ neh Hazrat Abubaker رضی اللہ عنہ ki janib aik khat(Lattre) likh kar bheja keh main neh yahan aik aisa shakhs paaya hai, jo bakhushi dosaron ko apni zaat par qudrat deta hai.”
Tab Hazrat Abubaker ney is silsilay mein sahaba e karaam se mahswara talabb farmaya. Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ny farmaya, “Be shak yeh aik aisa gunah hai, jisay faqat aik ummat yani qoum Loot ny kya hai aur be shak Allah pak ny hamein bta diya keh os ny is qoum ke sath kya kya, Chunancha mera khayaal hai keh is shakhs ko jala diya jaye.” pas Hazrat Abubaker ny Hazrat Khalid bin Waleed ko likha ke usay aag mein jala diya jaye. Aap ny hasb e hukum usay aag mein jlwa diya.”[7]Kitaab al kabair, Safha 66
Note: Zina aur lawatat ki bayan kardah sharai sazayen nafiz karna haakim e Islam ka kaam hai, awam ko chahiye keh agar yeh saabit ho jaye keh falan ne zina ya lawatat jaisa qabeeh feal[8]Kaam kiya hai to os se os waqt tak samaji talluq khatam kar len jab tak woh kaamil tauba nah karle.
Lawatat krne aur krwane waly ki aakhrat mein saza
1. Hazrat Ali ka farmaan hai, “Jis ne kisi ko khud par bakhushi qudrat di, hatta keh dosray ne is se mun kala kiya to Allah pak usay aurton ki si shehwat mein mubtala farma day ga aur qayamat tak oski qabar mein shaitan ko os ke qareeb rakhay ga.”[9]Kitaab al kabair, safha 66
2. Hazrat Wakee se marwi hai keh jo shakhs qoom e Loot ka sa amal karte hue maray ga to baad tadfeen usay qoum e Loot ke qabristan mein muntaqil kar diya jaye ga aur oska hashar unhi ke sath hoga. [10]Kanz al-Ummal, kitaab al hadood, raqam 13127, Jild 5, Safha 135
3. Marwi hai keh Hazrat Eesa علیہ السلام douran safar aik aag ke paas se guzray, jo aik mard par jal rahi thi. Aap naay os aag ko bujhanay ke liye is par pani dala. Achanak os aag naay aik larke ki soorat ikhtiyar kar li aur woh mard aag ban gaya. Aap ko is se bohat taajjub hua aur aap naay bargaah e Ellahi mein arz ki, “Ae mere Rab! In dono ko inke dunyawi haal par lota day taakay main in se in ke baray mein pooch sakun.”
Chunancha Allah pak ny un dono ko zindah farma diya. Aap ny dekha ke woh aik mard aur aik larka tha. Aap ny un se farmaya, “Tum dono ka kya maamla hai?” Mard ny jawab diya, “Ae Rooh ullah ! Main duniya mein is larke ki mohabbat mein giraftar hogaya tha, shehwat ny mujhe ubhara ke main is se bura kaam karoon phir jab main aur yeh larka mar gaye, to yeh aag ban gaya, jo mujhe jalataa hai aur main bhi aag ban kar esay jalataa hon. Pas hamara yeh azaab qayamat tak jari rahay ga.” [11]Kitaab al kabair, safha 66
Hawala Jaat
Ap ne hazrat musa A.S ki story mein Rooh ullah likha hai Rasul ul Allah ki bajaye please theek kar ley
Es tehreer mein Hazrat Eesa علیہ السلام ka waqia bayan kiya gaya hai es liye wahan Rooh Ullah likha hai.