Jab Hazrat Musa علیہ السلام six (6) laakh bani Israel ke afraad ke sath maidan e teeh mein muqeem they to Allah pak ne unn logon ke liye aasman se 2 khanay utaarey. Ek ka naam “Mann” aur dosray ka naam “Salwa” tha. Magar unhon ne aik aesi harkat ki jis waja se Man o Salwa aasman se utarna band ho gaya.
Man-o-Salwa
Mann bilkul safaid shehad ki tarah ek halwa tha. Ya safaid rang ki shehad hi thi jo rozana aasman se barish ki tarah barasti thi aur salwa paki hui batairain theen jo dukhni hawa ke sath aasman se nazil hua karti theen. Allah ne bani Israel par apni nematon ka shumaar karate hue quran Majeed mein irshad farmaya keh :
Tarjuma: “Aur tum par mann aur salwa utaara”. [1]Para 1, Al-baqrah : 57
Es man o salwa ke baray mein hazrat Musa علیہ السلام ka yeh hukum tha ke rozana tum log is ko kha liya karo aur kal ke liye hargiz hargiz is ka zakheera mat karna.
Zaeef ul Atiqaad Loog
Magar baaz zaeef ul aitqaad logon ko yeh dar lagnay laga agar kisi din man o salwa nah utra to hum log is chatiyal maidan mein bhukay mar jayen gey. Chunacheh un logon ne kuch chhupa kar kal key liye rakh liya. To Nabi علیہ السلام ki nafarmani se aisi nahusat phail gayi ke jo kuch logon ne kal ke liye jama kiya tha woh sab sarr gaya aur ayendah ke liye man-o-salwa utarna band ho gaya.
Esi liye Huzoor Aqdas ﷺ ne irshad farmaya ke bani Israel nah hotay to nah khana kabhi kharab hota aur nah gosht sarrta. Khanay ka kharab hona aur gosht ka sarna isi tareekh se shuru hua. Warna es se pehlay nah khana bigartaa tha nah gosht sarrta tha. [2]Tafseer rooh al bayan, Jilad 1, Para 1, Al-baqrah 57
Allah pak humen nafermani se mehfooz rakhy. Aamen
Hawala Jaat
Plz contact me my e mail