Media par baith kar is terhan ke alfaaz bolna aur muashray mein aisa naaray ko farogh dena jis se be hiyai ko farogh miley aur khud ko Shariat ki pabandion se azad samjhna, Yani 1 shakhs apni zaati zindagi mein azad hai, khuwa mazhab ho, ya sahaafat ho, ya izhaar e raye ho Waghera woh jo bhi kare uski marzi, chahay pani piye, chahay sharaab piye gheiron ko oski niji zindagi mein dakhal andazi ki ijazat nahi,
Awam ka yeh zehan bana diya gaya hai keh koi kisi ke muamlay mein dakhal andazi nah kare aur agar kardey to is jaisi batian suneney ko millti hain keh “Yeh mera ghar hai meri marzi main isay saaf rakhon ya mela, “Mera jism meri marzi” Waghera.
Is ke ilawa deen ko muashi, siyasi aur samaji zindagi se nikaal dena, mazhab ke khilaaf har terhan ka propaganda karna misaal ke tor par islam mein jo jihad ka nazriya hai is ke baaray mein itna propaganda kiya keh log samajte hain ke dehshat gardi aur jihad mein koi farq nahi, phir isi terhan propaganda karkay, Aurton ko azaadi e niswan ka naara laga kar in ke zehnon mein jhoot daal dena,
Naya dour naye taqazay
Jadidiyat ki taraf logon ko lana aur kehna keh jadeed daur hai jadeed takazey hain un ke mutabiq hamein rehna parre ga, Islam ya koi mazhab aisa nahi hai jo jadeed taqazoon ke mutabiq chal sakay, har mulk ke andar achi aur Islami qayadat se logon ko mutanafir karna yani koi acha shakhs aa jaye jo malik ko achi terhan chala sakta ho lekin woh secular nah ho to woh logon ke darmain propeganda karen gey, media istemaal karen ge aur logon ko os se mutanafir karen gey, Yahan tak ke woh osko maarny se bhi guraiz nahi karen ge.
Yeh sab secularism aur liberalism key bunyadi maqasid o ahdaaf mein shaamil hai. Yeh aik baqaida tabqa hai. Iski bunyad to ء312 mein qaim hui. Magar iski tarweej ء1857 mein London mein shuru hui. Aur iski ashaat ka sab se barra zareya media hai.
Ghoor to karen Yaar!!
Zara ghhor to karen yaar! Hum Allah pak ki makhlooq hain. Hamein os nay paida kiya hai. Yeh jism, yeh rooh, yeh dekhanaa, yeh chalna phirna, yeh sunna, yeh taaqat o qowat, yeh soch o bichar waghera. Sub kuch uska ataa kardah hai aur yeh bandah kaisay ke sakta hai keh meri zindagi mein uskay bhejay gaye ehkaam ka koi amal dakhal nahi. معاذ اللہ
Hatta keh agar aap lafz “Bandah” ya “Abad” ka lughat mein meaning dekhen to tab bhi aap yahi meaning milein gey keh Ghulam, Mutee , Farmanbardar, Aajiz, Niyazmand, Paband, Ibadat karne wala Waghera .
Apni millat par qiyaas aqwam e maghrib se nah kar
Khaas hai tarkeeb mein qomِ e Rasool e Hashmi ﷺ
Os nay hamein itna piyara deen e Islam diya jis jaissa poori duniya mein koi deen nahi. Islam har terhan se aik musalman ke haqooq ki hifazat karta hai. Is ke jo bhi ehkaam hain un par amal karnay se is bande ka apna hi faida hai. Aur jo hikmat, danai aur daanishwari Islam ke Faramin mein hoti hai woh duniya daar 1000 philosopher bhi hon to un mein aap ko nhin miley gi aur jahan miley gi jab aap uski tehqeeq ko pohnchain gey to pata chalay ga ke dar haqeeqat yeh cheez to hamein islam nay 1400 saal pehlay bayan kar di thi.
Hamari Kharabi
Asal mein hamari kharabi yahan aati hai keh hum har cheez ko apni aqal ke traazo mein tolna shuru kar dete hain aur bas phir yahin dhoka kha jatay hain aur bhatak jatay hain. Yaad rahay har cheez ki hikmat samajh mein aa jaye yeh zurori nahi. Aur aik insan ki aqal itni bhi nahi ke har cheez ki hikmat ko samajh sakay kyun keh agar aisa hota to woh kabhi bhi ghalti nah karta.
Islam hamari har cheez mein rahnumai karta hai magar hum nay haqeeqi maino mein kabhi is rahnumai ko lainay ki kabhi koshish hi nahi ki. aur jis khuda nay isay Ashraf ul makhluqat banaya aaj yeh itna ho gaya keh –apne Rab عزوجل par aatirazat qaim karta hai. Os meharban Rab par jis nay hamein itni nematon se nawaza aur akhirat mein hamaray liye jannat ki soorat mein ajar bhi tayar kar rakha hai. Allah pak Quran e pak mein irshad farmata hai:
Irshad farmaya : Kya aadmi is ghamand mein hai ke usay youn azad chorr diya jaye ga keh nah usay kisi cheez ka hukum diya jaye aur nah usay kisi cheez se mana kiya jaye, nah woh marnay ke baad othaya jaye, nah os se aamaal ka hisaab liya jaye aur nah ussay akhirat mein jaza di jaye. Aisa nahi ho ga balkeh usay duniya mein Amar o naahi ka paband kiya jaye ga, marnay ke baad othaya jaye ga, os se aamaal ka hisaab liya jaye ga aur akhirat mein usay os ke aamaal ki jaza bhi di jaye gi.
Hamein azad nahi chorra gaya
Is se maloom hua keh hamein bilkul azad nahi chorra gaya keh jaisay chahain zindagi guzaraian, jaisay chahain aamaal karen aur apni marzi ke mutabiq jis terhan aur jahan chahen rahen balkeh hamein duniya ki zindagi mein Allah pak aur os ke Habib ﷺ ki taraf se kuch cheezon ka paband kiya gaya hai aur kuch cheezon se mana kiya gaya hai aur zindagi guzaarne ke liye hamein aik dairakar ataa kiya gaya hai.
Jis mein reh kar hamein apni zindagi ke Ayyaam pooray karne hain aur hamaray samnay yeh bhi wazeh kar diya gaya hai keh hamein marnay ke baad Allah pak ki bargaah mein haazir hona aur –apne aamaal ka hisaab dena hai aur phir dunya mein jaisay aamaal kiye hon gey waisi jaza bhi miley gi.
Lehaza aqalmandi ka taqaza yahi hai keh khud ko Shariat ki pabandion se azad samajh kar zindagi nah guzari jaye balkeh zindagi jeeney ka jo tareeqa Allah pak aur oskay Habib ﷺ neh diya hai Osi ke mutabiq zindagi basar ki jaye ke isi mein duniya aur akhirat ki kamyabi hai aur jo shakhs Shariat ke ehkamaat se azad ho kar jeena chahta hai woh barra bewaqoof aur bohat nadaan hai keh woh thoray se mazay ki khatir hamesha ke liye khud ko zillat o Ruswai aur intahai dard naak azaab mein dhakelnay ki koshish kar raha hai.
Allah pak hamen aqal e Saleem atta farmaye aur Islami ahkamat ko samajhne aur un par amal paira honay ki tofeeq atta farmaye. Amen