Mirza ghulam Ahmad Qadiani 1839 ya 1840ء ko peda hua. Ibtidayi taleem molvi Gul Ali Shah se haasil ki. Kuch arsay –apne waalid ke sath angrezi kachehrion ke chakkar bhi lagaye. Aabai pesha zameendari tha. Aabao ajdaad sikhon aur angrezon key wafadar mulazim rehtay aeye they. Waalid ka naam ghulam murteza tha. Mirza ghulam Ahmad Qadiani angrezi aur arabi mein abjad khwan tha. Os ne qanoon ka imtehaan diya magar fail honay par taleem sey dil uchat ho gaya. Kamzoree dil o dimagh ka marz poori Umar jolani sey raha.
Tashanuj qalb, ishaal, dard sir, malikholia, sugar waghera amraaz Mosoof ki zindagi key saathi they. 26 May 1908 ko Lahore mein Mosoof ka shiddat ishaal ya haiza sey intaqaal hua. Baad e wafaat uskay moun sey pakhana nikaltay dekha gaya. Jo hazreen ki ibrat ka baais hua. Mirza ghulam Ahmed qadyani key Khulfa is soorat e haal ki tardeed karte rahay. والعلم عند اللہ عزوجل.
1886 mein Mirza ne apni nabuwat ki bunyaad rakhna shuru ki. Jo keh gol mol ilham aur kashaf waghera par mabni thi. Jo keh Baraheen ahmadiyya mein mojood hai. Yaad rahay Baraheen ahmadiyya aur Tahzir al naas bayak waqt likhi gayeen.
Aik naya mixture
Apni duniya sanbhalne ki khatir karorron musalmanoon ki aqibat barbaad ki. Chunancha 1886 ke kashaf o ilham ke dawa key baad aik naya mixture zilli o barozi nabi ke naam se tayyar kiya. Chunancha 1890 mein yeh kehna shuru kiya. Keh maseeh Maood aur Ibn e maryam, mein khud hon. Chunancha khud likhta hai “Maryam ki tarhan Eesa ki rooh mujh mein nafkh ki gayi aur isteara ke rang mein mujhe haamla thehraya gaya aur aakhir kayi mahinay baad jo 10 mahinay se ziyada nahi ba zariya is ilham key mujhe Maryam se Eesa banaya gaya.
Pas is tor sey main Ibn e maryam thehra[1]Kashti e Nooh, page 47,
Aur maseeh Maood key mutaliq likhta hai: “Mera daawa yeh hai keh main woh maseeh Maood hon. Jis key barey mein khuda-e pak ki tamam pak kitabon mein passion goiyan hain keh woh aakhri zamane mein zahir hoga[2]تحفہ گولڑویہ ص ۱۹۵.”
Mosoof ne apni zilli o barozi ki mantaq ka hair phair lafzon ki chakkar baazi mein youn bhi dekhaya hai keh is nuqta ko yaad rakho keh main Rasool aur Nabi nahi hon yani ba itibar e nai Shariat aur naye daaway aur naye naam key, aur main rasool aur nabi hon yani ba itibar e zilliyat e kamila key. Main woh aaina hon jis mein Muhammadi shakal aur Muhammadi nabuwat ka kaamil inikaas hai aur main koi alehda shakhs nabuwat ka daawa karne wala hota to khuda pak mera naam Muhammad, Ahmed, Mustafa aur Mujtaba nah rakhta [3]Nuzool al maseeh, page 2 yeh to zill honay key barey mein hai.
Barozi ka formula
Barozi ka formula bhi mulahiza farmaiye likhta hai: Mujhe barozi soorat mein nabi o rasool banaya hai aur is binaa par khuda ne baar baar mera naam nabi Allah aur rasool Allah rakha. Magar barozi soorat mein mera nafs darmiyan mein nahi balkeh Muhammad ﷺ ka hai. Isi lehaaz sey mera naam Muhammad aur Hamid hua. Pas nabuwat o risalat kisi dosray ke paas nahi gayi Muhammad ﷺ ki cheez Muhammad ﷺ ke paas hi rahi (نعوذ باللہ) [4]Aik ghalti ka izala.
Is key baad Mirza qadyani ney aur taraqqi ki yahan tak keh 1901 mein haqeeqi nabuwat ka daawa kar diya. Chunancha likhta hai: “Halaak ho gaye woh jinhon ne aik barguzida rasool [5]Yani Mirza Ghulam ko qubool nah kiya. Mubarak woh, jis ney mujh ko pehchana. Main khuda ki sab raahon mein se aakhri raah hon aur os key nooron mein se aakhri noor hon. Bad qismat hai woh jo mujhe chorta hai. Kyun keh mery baghair sab taareki hai. [6]Kashti e Nooh, page 56
Yeh shakhs anbia e karaam ka nihayat gustaakh tha. Chunancheh Hazrat e Eesa علیہ السلام key barey mein likhta hai: “Esaion ne bohat sey aap ke Mojzat likhay hain magar haq baat yeh hai keh aap علیہ السلام sey koi mojza zahir nahi hua aur os din sey keh aap ney mojza mangnay walon ko gandi gaaliyan den aur un ko haraam kar aur haraam ki aulaad thehraya osi roz sey shareefon ney aap sey kinara kiya.” [7]ازالہ اوہام ص ۳۰۳ ملخص از برطانوی مظالم کی کہانی مؤلفہ عبدالحکیم اختر شاہ جہاں پوری علیہ الرحمۃ ص ۶۴۳ تا ۶۵۶
Khudai ka daawa
Daawa e nabuwat key baad Mirza ki ragg e shaytani mazeed pharrki to os ney khudai daawa kar dala. Chunancha likhta hai main ney neend mein –apne aap ko ho baho Allah dekha aur main ney yaqeen kar liya keh main woh [8]Allah hon phir main ney aasman o zameen banaye aur kaha hum ney aasman ko sitaron ke sath sajaya hai. [9]کمالات اسلام ص ۵۶۴ ، ۵۶۵ بحوالہ برطانوی مظالم کی کہانی ص ۶۵۸
Mirza Ghulam Ahmad Qadiani ki kuch passion goiyyan
Deegar jhutay nabuwat key dawedaron ki tarhan Mirza ghulam Ahmad Qadiani ney bhi kuch passion goiyyan ki theen. Magar un ka injaam musaylimah kazzab ki tarhan hua.
- Apne liye aik larky ki passion goi ki thi. Jis ki nisbat kaha tha keh anbia ka chaand hoga aur badshah is ke kapron sey barkat len gey. Magar beti peda hui is par kaha keh wahi samajhney mein ghalti hui ab ki bar jo hoga woh larka anbia ka chaand hoga, beti betay hamesha peda hotay hain ab ki hua beta magar chand roz jee kar mar gaya badshah kya kisi mohtaaj ney bhi os key kapron sey barkat nah li.
- Aik aur passion goi aasmani biwi ki thi apni chacha zaad behan Ahmedi ko likh bheja keh apni beti Muhammadi begum mery nikah mein day day os ney saaf inkaar kiya is par lalach dilaya phir dhamkiyan den phir kaha keh wahi aa gai keh hum ne tera nikah os sey kar diya aur yeh keh os ka nikah agar to doosri jagah kary gi to dhai ya 3 baras key andar os ka shohar mar jaye ga. Magar os khuda ki bandi ne aik nah suni, Sultan Muhammad Khan sey nikah kar diya woh aasmani nikah dhara hi raha nah woh shohar mra kitney bachay os sey ho chukay aur yeh chal diye.
Hawala Jaat
Khatam-e-Nabowat Zindabad, Mujhe Malooon-o-Zandeeq Mirza Ghulam Qadiani k sathi Munshi Gauhar Ali jo 15 number per is k as-haab main shumaar hota hai ki biography aur khandan ki information mil sakti hai?
Koi book jo Ahle sunnat ullema nay likhi hon woh bhe refer kerdain.
Jazaak Allaho Khair
Excellent
Lanti 🖐️🖐️🖐️🖐️🖐️
Manhoos
Kutta
Bagairat
mirza qadiani par laanat bay shumaaar.
BAY SHAK HAZRAT MUHAMMAD ﷺ AKHRI NABI AUR RASOOL HYN
Nice work..keep it up
Thanks
ya harmzada kutty ki mut mara harmi ka bachha fitna ttha
Bhai mujy wahwal day skty jis men is k 15 shabi kà zikr our us k khandan kà zikr ha
Filhal mujhe iski maloomat nahen.
It was a dog man. There is no one in the world more filthy than this. May Allah fill his grave with fire and scorpions. Damn damn damn
Khatam-e-Nabuwwat Zindabad, Hamary Nabi Pak Hazrat Muhammad ﷺ ALLAH k Aakhri Rasool Hein aor Ta Qayamat Rahein Ge Ye Hamara Eman aor Aqeeda Hai, Mirza Qadiani Ek Intahai Shetan Shiffat, Lanati tha aor ab Uske Cheely, ALLAH Pak Tamam Umaat-e-Muhammadi ﷺ ko Unke Shar se Mehfooz Farmaye (Aameen).
Hamaray Piyaray Nabi Hazrat Muhammad ﷺ, Allah Pak ky aakhri Nabi hain. Ab Qayamat tak koi Nabi nhi Aaye ga. Ham Dil o Jan se in par qurban hain.
Mirza Qadiani ore os ky pairo kar Jan boojh kr gumrahion ky andhairay gharon me kood rahy hain. Ye duniya me bhi maloon ore aakhrit me bhi jahannum ka eindhan banain gay.
Allh Pak apny Piyaray Habib ﷺ ky sadqay tamam ummat e muslima ko en ky sharr se mehfooz farmaye. Aameen
Aamen