Muazzam deeni maslan kisi Aalim e Deen ya peer sahib ki shaan mein nazebah kalmaat kehna bohat barri jurrat hai. Imam Ahal e Sunnat Moulana Ahmed Raza Khan علیہ رحمۃ الرحمن farmatay hain :
” Agar ( koi ) aaiam ko is liye bura kehta hai keh woh aalim hai jab to Sareeh kafir hai aur agar ba waja e ilm uski tazeem farz jaanta hai magar apni kisi dunewi khusumat ke baais bura kehta hai, gaali deta hai tehqeer karta hai to ( aisa karne wala ) sakht fasik fajir hai aur agar be sabab ranj rakhta hai to mareez ul qalb, khabees ul batin hai aur is ke kufar ka andesha hai.”
(فتاویٰ رضویہ ،ج۱۰،نصف اول ،ص۱۴۰)
WhatsApp Channel
Follow Now
YouTube Channel
Subscribe
Allah Pak hamein es hawalay se apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmay. Amen