Hazrat Ka-ab bin maalik رضی اللہ عنہ farmatay hain, Hazrat Jabir bin Abdullah رضی اللہ عنہ Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki bargaah mein haazir hue to aap ke chehra e anwar ko mutaghayyar paaya. Yeh dekh kar usi waqt woh apne ghar puhanche aur apni zoja e mohtarma رضی اللہ عنھا se kaha, main ney Rasool e pak ﷺ ka chehra badla hua dekha hai, mera gumaan hai keh bhook ke sabab se aisa hai.
Kya tairay paas kuch mojood hai? Jawab diya, واللہ iss bakri aur thoray se bachay kuche aattay ke siwa aur kuch nahi. Osi waqt bakri ko zibah kar diya aur farmaya keh jaldi jaldi gosht aur rotian tayyar karo. Jab khana tiyar ho gaya to aik barray piyaale mein rakh kar sarkar e Namdar ﷺ ke darbaar mein haazir ho gaye aur khana paish kar diya.
Rehmat e Aalam ﷺ naay irshad farmaya, Ae Jabir! Apni qoum ko jama kar lau. Main logon ko le kar haazir e khidmat babarkat hua, farmaya, Un ko judda judda toliyan bana kar mery paas bhaijtay raho. Iss terhan woh khanay lagey. Jab aik touli sair ho jati to woh nikal jati aur doosri aa jaati yahan tak keh sab kha chuke aur bartan mein jitna khana pehlay tha utna hi sab ke khanay ke baad bhi mojood tha.
Bakri uth Kharri Hue
Sarkar Madina ﷺ farmatay they khao aur haddi nah torro. Phir Aap ﷺ naay bartan ke beech mein haddiyon ko jama kiya aur un par apna haath mubarak rakha aur kuch kalaam parha jِise main naay nahi suna. Abhi jis ka gosht khaya tha wohi bakri yaka yak kaan jharrtay hue uth kharri hui! Aap ﷺ naay mujh se farmaya, apni bakri le jao! main bakri apni zoja mohtarma رضی اللہ عنھا ke paas le aaya.
Woh [1]Herat se bolein, yeh kya? Main naay kaha, واللہ! Yeh hamari wohi bakri hai jis ko hum naay zibah kiya tha. Dua e Mustafa ﷺ se Allah pak naay isay zindah kar diya hai! Yeh sun kar un ki zoja mohtarma رضی اللہ عنھا be sakhta pukaar uthen, Main gawahi deti hon keh be shak woh Allah pak ke Rasool ﷺ hain.[2]الخصائصُ الکبرٰی ج۲ص ۱۱۲
Allah pak ki un par rahmat ho aur un ke sadqay hamari be hisab mughfirat ho. Amen
Hawala Jaat