Nabuwat

Nabuwat ka martaba kya hai aur ye kis ko hasil hoti hai?

Allah pak ne makhlooq ki hadaayat aur rahnumai ke liye jin pak bandon ko apne ahkaam pohanchanay ke wastay bheja un ko “Nabi” kehte hain. Anbia علیہم السلام woh bashar hain jin ke paas Allah ki taraf se wahi aati hai. Yeh wahi kabhi farishtay ki maarfat aati hai kabhi be vaastaa. Anbia علیہم السلام gunaaho se pak hain. Un ki seerat, mizaaj aur aadateen nihayat pakeeza hoti hain.

Un ka naam, nasb, jism, qoul, fail, harkaat, saknaat sab se aala darjah ke aur nafrat dilanay wali baton se pak hotay hain. Unhein Allah pak aqal e kaamil ataa farmata hai. Duniya ka barray se bara aqalmand un ke aqal ke karrorveen darjah taq bhi nahi pohanch sakta. Unhen Allah pak ghaib par aagah farmata hai. Woh raat din Allah pak ki itaat o ibadat mein mashghool rehtay hain aur bandon ko Allah pak ke hukum pohanchate aur os ka rasta dikhatay hain.

Nabuwat ka Martaba

Nabuwat bohat buland aur bara martaba hai. Koi shakhs ibadat waghera se haasil nahi kar sakta, chahay Umar bhar roza daar rahay, raat bhar sajdon mein roya kare, tamam maal o doulat khuda ki raah mein sadqa kar dey, apne aap bhi os ke deen par fida ho jaye magar iss se nabuwat nahi pa sakta. Nabuwat Allah pak ka fazl hai jisay chahay ataa farmaiye.

Nabi ki farmabardari farz hai. Anbia علیہم السلام tamam makhlooq se afizal hain. Un ki tazeem o touqeer farz aur un ki adna tauheen ya takzeeb kufar hai. Aadmi jab tak in sab ko nah manay momin nahi ho sakta. Allah pak ke darbaar mein Anbia علیہم السلام ki bohat izzat aur martabat hai. Woh Allah pak ke piyare hain.

Un Anbia علیہم السلام mein se jo nai Shariat laaye un ko “Rasool” kehte hain. Tamam Anbia علیہم السلام apni qabron mein zindah hain jaisay duniya mein they. Aik aan ke liye un par mout aayi phir zindah ho gay. Duniya mein sab se pehlay aanay walay nabi Adam علیہ السلام hain. Jin se pehlay admion ka silsila nah tha. Sab se pehlay Allah pak ne inhen apni qudrat e kamila se be maa baap ke peda kiya aur apna khalifa banaya aur tamam cheezon aur un ke naamon ka ilm inayat kiya.Farishton ko in ke sjday ka hukum dia. Inhi se insani nasal chali. Tamam aadmi inhen ki aulaad hain. Hazrat Adam علیہ السلام se hamaray aaqa Huzoor syed e aalam ﷺ tak Allah pak ne bohat nabi bhejay Quran pak mein bhi kai Anbia e karaam ka zikar mojood hai.

3/5 - (2 votes)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *