Namaz ke Faraiz

Namaz ke Faraiz

Namaz ke 7 faraiz hain jin mein se agar koi aik bhi reh jaye to namaz ada nahi ho gi. Siwaye yeh ke Shariat jahan ijazat day. Jaisa keh kisi mareez ke liye qiyam ya sajda nah karne ki ijazat.

Namaz ke Faraiz

(1) Takbir e Tehrima (Namaz mein daakhil honay ke liye jo “اللہ اکبر” kaha jata hai usay takbir e Tehrima kehte hain)

(2) Qiyam (Namaz mein bilkul seedha khara hona yeh farz hai aur is ki kam se kam had yeh hai ke agar bilkul seedha khara nahi ho sakta to kam az kam itna ho ke agar haath phelaaye to ghutnon tak nah pohnchain) [1]“Al-Durr al-Mukhtar” o “Radd al-Muhtar”, Jild 2, Page 163

(3) Qiraat (Namaz mein jo hum Surah Fatiha aur uskay sath koi aik surah mila kar parhte hain aik to un ko sahih makharij aur talafuz ke sath ada karna aur itni aawaz se parhna ke khud sun le. Agar huroof to sahih ada kiye magar is qadar aahista aawaz thi ke khud nah suna aur koi rukawat maslan shor o ghul ya ouncha suneney ka marz bhi nahi, to namaz nah ho gi) [2]“Al Fatawa Al Hindiyah”, Jild 1, Page 69

(4) Ruku (Namaz mein is terhan jhukna ke peeth seedhi bich jaye aur kam az kam itna jhukna ke haath bherhaye to ghutney ko pohanch jayen) [3]“Al-Durr al-Mukhtar”, Jild 2, Page 165

(5) Sujud (Har rak-at mein 2 baar sajda karna farz hai aur sajda 7 hadion par kiya jata hai jis mein peshani ka jamna bhi shaamil hai aur kam az kam paon ki aik ungli ka pait lagna shart hai) [4]“Fatawa-e-Razvia” Jild 7, Page 376

(6) Aakhri Qadah (Namaz ki rakaatain poori karne ke baad itni dair tak baithna ke “عبدہ و رسولہ” tak parh li jaye, yeh farz hai) [5]Previous

(7) Kharooj. (Yani salam ke zariye namaz se kharij hona) [6]“Al-Durr al-Mukhtar”, Jild 2, Page 158

5/5 - (4 votes)

Hawala Jaat[+]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *