Noha se morad yeh hai keh maiyat ke Awsaf mubaligha ke sath bayan kar ke aawaz se roya jaye. Esay bain bhi kehte hain aur ye bil ijma haraam hai.[1]Bahar-e-Shariat, Hissa 4, Masla # 17, Safha 357
Is ki muzammat karte hue Syed e do Aalm ﷺ ne irshad farmaya:
- ” Jo grybaan phaade, chehra pitey aur jahliyat ki pukaar pukare woh hum mein se nahi.”[2]Sunan e Tirmizi, Kitab Al-Janaiz, Raqam ul Hadees 1001, Jild 2, Safha 303
- ” Jo ansoo aankhh aur dil se ho to woh Allah ki taraf se hai aur rehmat hai aur jo haath aur zabaan se ho to woh shetan ki taraf se hai.”[3]Mishkat, Kitab Al-Janaiz, Raqam 1748, Jild 1, Safha 486
Agar kisi ke ghar koi maiyat ho jaye to ilm e deen se mahroom os ghar aur arros paros ki khawateen noha karne ko lazim tasawwur karti hain.
Agar koi musalman behan is makrooh kaam mein un ka sath nah day to os par ta’an o tashnee ke teer barsa kar os baichari ki khoob dil aazari ki jati hai. Aesi khawateen yaad rakhen ke es ki ukhrawi saza bohat karri hai jaisa keh.
Hazrat Abbu Maalik Ashri رضی اللہ عنہ rivayat karte hain keh Sarwar e Aalam ﷺ ne farmaya :” Noha karne wali aurat agar baghair tauba kiye mar jaye to qayamat ke din usay gandhak ki kameez aur kharish ki chadar pehnai jaye gi”.[4]Sahih Muslim, Kitab Al-Janaiz ، Raqam ul Hadees 934, Safha 465
Yaad Rakho!
Riqat e qalbi ki waja se bilaa aawaz ronay mein koi qabahat nahi hai. Sarkar e Madinah ﷺ ne farmaya :” Yaad rakho! be shak Allah Pak nah aansuon se ronay par azaab karta hai nah dil ke gham par [5] Phir zabaan ki taraf ishara kar kay farmaya haan is par azaab ya reham farmata hai.”
[6]Sahih Muslim, Kitab Al-Janaiz, Bab, باب البکاء علی المیت، Raqam 924, Safha 420
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmaiye. Amen
Hawala Jaat