Nujumi ko Hath dekhana

Nujumi waghera se faal poochna

Hazrat e Hafsa رضی اللہ تعالیٰ عنہا se marwi hai keh. Rasool kareem ﷺ ne farmaya keh “Jo shakhs kaahin aur najumi ke paas ja kar kuch daryaft kare os ki chalees din ki namazein qubool nahi ki jayen gi.”
(مسلم ،رقم۲۲۳۰،ص۱۲۲۵)

Jabkeh Hazrat e Ayesha رضی اللہ تعالیٰ عنہا se riwayat hai keh. Kuch logon ne Rasool e Akram ﷺ se kahnoon ki baatein qabil aetimaad honay ya nah honay ke baaray mein pucha : “Ya Rasool Allah ﷺ! baaz waqt woh ( yani kaahin waghera ) aesi khabar dete hain jo sach ho jati hain?
“To Aap ﷺ ne farmaya woh kalma haq hai jis ko shetan ( firshton se ) uchak laita hai aur –apne dost kaahin ke kaan mein is tarhan daal deta hai jis tarhan aik murghi doosri murghi ke kaan mein aawaz pohanchati hai phir woh kaahin os kalma haq mein so se ziyada jhooti baatein mila dete hain.
(مسلم، باب تحریم الکھانۃ،رقم۲۲۲۸،ص۱۲۲۴ )

Imam Ahmed Raza Khan علیہ رحمۃ الرحمن farmatay hain :
” Kahnoon aur jotishon se haath dikha kar taqdeer ka bhala bura daryaft karna, agar bator e aetiqaad ho yani jo yeh batayen haq hai to kufar e khalis hai, isi ko hadees mein farmaya : Yani os ne Mohammad ﷺ par nazil honay wali shai ka inkaar kiya.
Aur agar btor e aitqaad o yaqeen nah ho magar mail o raghbat ke sath ho to gunah e kabirah hai, aur agar bator e hazal o istehza ho to abs o makrooh o hamaqat hai, haan agar usay aajiz karne ke liye ho to harj nahi.”
( فتاوی رضویہ ،ج۱۰،نصف ثانی ،ص۷۱)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *