Qayamat ke aane se pehle duniya se ilm uth jaye ga. Aalim baqi nah rahen ge. Jahalat phail jaye gi. Badkaari aur bay hayai ziyada hogi. Aurton ki tadaad Mardon se barh jaye gi. Barry dajjal key siwa 30 dajjal aur hon gay. Har aik un mein se nabuwat ka dawa kare ga bawajood yeh ke Huzoor e Pak ﷺ par nabuwat khatam ho chuki.
Un mein se baaz dajjal to guzar chuke jaise Moselima kazzab, Aswad e Unsi, Mirza Ali Mohammad bab, Mirza Ali Hussain Baha Ullah , Mirza ghulam Ahmad qadiani baaz aur baqi hain woh bhi zaroor hon gay.
Qayamat ki Nishaniyan
Maal ki kasrat hogi. Arab mein khaiti, bagh, nehrain ho jayen gi. Deen par qaim rehna mushkil hoga. Waqt bohat jald guzray ga. Zakat dena logon ko dushwaar hoga. Ilm ko log duniya ke liye parheen gay. Mard, aurton ki baat manen gay. Maan baap ki nafarmani ziyada hogi. Sharab noshi aam ho jaye gi. Na ehal sardar banaye jayen gay. Neher e furaat say sonay ka khazana khulay ga. Zameen apne dafeny ugal day gi. Amanat ghanemat samjhi jaye gi.
Masjidon mein shor machen gay. Fasiq sardari karen gay. Fitnah angezon ki izzat ki jaye gi. Ganay bajay ki kasrat hogi. Pehlay buzurgon par log laan taan[1]bura bhala karen gay. Korray ki noke aur jootay ke tasmay baaten karen gay.
Dajjal aur dabah tul arz aur Yajuj majuj nikleen gay. Hazrat Imam mehdi رضی اللہ عنہ zahir hon gay. Hazrat Isa علیہ السلام nuzool farmayen gay. Suraj maghrib se tulu hoga aur tauba ka darwaza band ho jayega.[2]Kitab ul Aqaid, Page 27
Hawala Jaat