Quran pak Allah pak ka kalaam hai. Os ne apne bandon ki rahnumai ke liye utaara. Es mein saaray ilm hain aur woh be misl kitaab hai. Waisi koi doosra nahi bana sakta hai. Chahay tamam duniya ke log mil jayen magar aisi kitaab nahi bana sakte.
Allah pak ne yeh kitaab apne piyare Nabi Hazrat Muhammad e Mustafa ﷺ par utari. Jaisay is se pehlay Torait Hazrat Musa علیہ السلام par, Zabur Hazrat Dawood علیہ السلام par, Injeel Hazrat Isa علیہ السلام par aur doosri kitaaben aur Nabiyon علیہم السلام par utari theen woh sab kitaaben bar haq hain.
Hamara un sab par imaan hai magar pehlay zamana ke shareer logon ne agli kitabon ko badal dala. Woh asli nahi milteen. Quran shareef ka Allah pak khud nigehbaan hai. Is liye woh jaisa utra waisa hi hai aur hamesha waisa hi rahay ga sara zamana chahay to bhi is mein aik harf ka farq nahi aa sakta.