Ramzan Mubarak ke baray mein Heeran kun Haqaiq

Ramzan Mubarak - Blessings of Ramadan Mubarak

Ramzan Mubarak woh ba barkat maheena hai jiski har gharri rehmat bhari hai. Is mah mein ajar o sawab bahut hi barrh jata hai. Nafal ka sawab farz ke barabar aur farz ka sawab 70 gunna kar diya jata hai. Balkay iss mahinay mein to roza daar ka sona[1]Need bhi ibadat mein shumaar kiya jata hai.

Yeh woh ba barket maheena hai jis mein aik raat aesi bhi hai jo 1000 mahinon se behtar hai, Es mah e mubarak ke rozay Allah pak neh farz kiye aur eski raat mein qiyam sunnat hai. [2]Al Targheeb wat Tarheeb, Jild 2, Safha 55, Hadees 6 Es mah e mubarak ki aik khasoosiat yeh bhi hai keh Allah pak neh es mein Quran e pak nazil fermaya hai. [3]Parah 2, Al-Baqarah 185

Aur Quran e kareem mein sirf ramzan shareef hi ka naam liya gaya aur esi ke fazail bayan hue. Kisi doosray mahinay ka nah sarahatan naam hai nah aesy fazail.

Ramzan Kareem ka Naam

Islam mein har naam ki koi nah koi wajah hoti hai aur naam kaam ke mutabiq rakha jata hai. Yeh maheena dil ke gard o ghubar dho deta hai aur es se Aamaal ki khaiti hari Bhari rehti hai. Is mein musalman bhook piyaas bardasht karty hain aur yeh gunaahon ko jala dalta hai, Es liye isay ramzan kaha jata hai.

Yeh maheena sabar ka hai aur sabar ka sawab jannat hai. Aur yeh maheena ghum khuwari aur bhalai ka hai. Aur es mahinay mein Momin ka rizq barrha diya jata hai. Jo iss mein roza daar ko iftar karaye uss ke gunahon ke liye mughfirat hai. Aur uss ki gardan aag se azad kar di jaye gi. Aur es iftar karanay walay ko waisa hi sawab miley ga jaissa roza rakhnay walay ko miley ga. Baghair es ke keh us ke ajar mein kuch kami ho.

Allah pak yeh sawab to os shakhs ko day ga jo aik Ghoont dodh ya aik khajoor ya aik Ghoont pani se roza iftar karwaye aur jis ne roza daar ko pait bhar kar khilaya, Osko Allah pak Huzoor Nabi e kareem ﷺ ke hoz se pilaaye ga ke kabhi piyasa nah hoga. Yahan tak keh jannat mein dakhil ho jaye.

Yeh woh mubarak maheena hai ke es kay pehly 10 din Rehmat, Darmiyani 10 din mughfirat aur Aakhri 10 din Jahannam se aazadi hen. Jo apne ghulam par es mahinay mein takhfeef kary [4]Yani kaam kam lay Allah pak ussay bakhash day ga aur Jahannum se azad farma dega. [5]Sahih ibn-e Khuzaima, Jild 3, Safha 1887

Ramzan mubarak ki Khasoosiyat

Har mahinay mein khaas tareekhen aur tarikhon mein bhi khaas waqt mein ibadat hoti hai. Magar mah e ramzan mein har din aur har waqt ibadat hoti hai.

Ramzan aik bhatti ki manind hai, jaisay bhatti gannday lohay ko saaf aur saaf lohay ko machine ka purzah bana kar qeemti kar deti hai aur sonay ko zewar bana kar istemaal ke Laiq kar deti hai. Aesay hi Mah e Ramzan gunahgaaron ko pak karta aur naik logon ke darjay barhata hai.

Is mahinay mein shab e qadar hai jo hazaar mahinon se afzal hai. Esi mahinay ki aik khasoosiyat yeh bhi hai keh es mah mein shaitan qaid kar liya jata hai aur dozakh ke darwazay band ho jatay hain jannat aarasta ki jati hai aur oske darwazay khol diye jatay hain. Esi liye en dinon mein nakiyon ki ziyadati aur gunahon ki kami hoti hai. Jo loog gunah karte bhi hain woh nafs e amarah ya apne saathi shaitan[6]Qareen ke behkanay se karty hain.

Mah e ramzan ke khanay peenay ka hisaab nahi. Es mah mein kharch karna Allah pak ki raah mein kharch karne ki terhan hai.[7]Al-Jaami As-Saghir, Safha 162, Hadees 2716 Aur yeh kharch karna jihad mein kharch karne ka darjah rakhta hai.[8]Tanbeeh ul Ghafileen, Safha 176

Bhalai hi bhalai

Poora ramzan khair hi khair hai din ka roza ho ya raat ka qiyam. Qayamat mein ramzan o quran roza daar ki shafaat karen ge keh ramzan to kahe ga, Mola e pak! Main ne isay din mein khanay peenay se roka tha aur Quran arz kary ga keh Ya Rab! عزوجل main naay isay raat mein tilawat o taraveeh ke zariye sonay se roka.

Ramzan shareef mein iftar aur sehri ke waqt dua qubool hoti hai. Yeh martaba kisi aur mahinay ko hasil nahi. Jo koi bandah is mah e mubarak ki kisi bhi raat mein namaz parhta hai to Allah pak os ke har sajda ke badlay os ke liye 1500 naikian likhta hai aur os ke liye jannat mein surkh yaqoot[9]Ruby ka ghar banata hai. Jis mein 60,000 darwazay hon ge. Aur har darwazay ke patt sonay ke banay hon ge jin mein yaqoot e surkh jarray hon ge.

Aur jo koi mah e ramzan ka pehla roza rakhta hai to Allah pak mahinay ke aakhir din tak uss ke gunah maaf ferma deta hai, aur os ke liye subah se shaam tak 70,000 FARISHTAY dua e mughfirat karte rehtay hain. Raat aur din mein jab bhi woh sajda karta hai uss ke har sajday ke badlay ussay jannat mein aik aisa darakht ataa kiya jata hai ke jis ke saaye mein ghurr sawaar 500 saal tak chalta rahay.[10]Shuab ul Iman, Jild 3, Safha 314, Hadees 3635

Gunahon ka Kaffara

Mah e ramzan aglay mah e ramzan tak gunahon ka kaffara hai jab tak ke kabirah gunaahon se bacha jaye.[11]Sahih Muslim, Safha 144, Hadees 233

Mah e ramzan mein aik din ka roza rakhna aik hazaar din ke rozon se afzal hai aur mah e ramzan mein aik martaba tasbeeh karna[12]Yani سبحٰن اللہ kehnay is mah ke ilawa aik hazaar martaba tasbeeh karne[13]Yani سبحٰن اللہ kehnay kehnay se afzal hai aur mah e ramzan mein aik rakat parhna ghair e ramzan ki aik hazaar rakaton se afzal hai. [14] الدر المنْثور،ج۱، ص۴۵۴

Jummah ki har har ghari mein 10,00,000 ki mughfirat

Agar mah e ramzan ke jummah ki baat karen to ”Allah pak mah e ramzan mein rozana iftar ke waqt 10,00,000 aisay gunahgaaron ko Jahannum se azad farmata hai jin par gunahon ki wajah se Jahannum wajib ho chuka tha, jabkay shab e jummah aur roz e jummah[15]Jumaraat ko ghuroob e aftaab se le kar jummah ko ghuroob aftaab tak ki har har ghari mein aisay das das laakh gunahgaaron ko jahanum se azad kiya jata hai jo azaab ke haqdaar qarar diye ja chukay hotay hain. [16]Kanz al-Ummal, Jild 8, Safha 223, Hadees 23716

Aur jab 29 raat hoti hai to mahinay bhar mein jitne azad kiye unn ke majmooa ke barabar uss aik raat mein azad farmata hai.[17]Kanz al-Ummal, Jild 8, Safha 219, Hadees 23702

Laakh ramzan ka sawab

“Jis ne makkah mukarmah mein mah e ramzan paaya aur roza rakha aur raat mein jitna muyassar aaya qiyam kiya to Allah pak uss ke liye aur jagah ke aik laakh ramzan ka sawab likhay ga aur har din aik ghulam azad karne ka sawab aur har raat aik ghulam azad karne ka sawab aur har roz jehaad mein ghoray par sawaar kar dainay ka sawab aur har din mein neki aur har raat mein neki likhay ga.”[18]Ibn e Majah, Jild 3, Safah 523, Hadees 3117

Mah e ramzan ke fazail se kutub e ahadees malaa maal hain. Ramzan mubarak mein iss qadar BARKATEN aur rahmaten hain ke hamaray piyare piyare Aaqa ﷺ nay yahan tak irshad farmaya, “Agar bandon ko maloom hota ke ramzan kya hai to meri ummat tamanna karti ke kash! poora saal ramzan hi ho.” [19]Sahih ibn-e Khuzaima, Jild 3, Safha 190, Hadees 1886

Hamari Ghaflat

Aap neh dekha ke Khuda e Pak عزوجل mah e ramzan ke qadar daano par kِis darjah meharban hai. Aur hum kis qader na qadray hain aur kis qader ghaflat mein doobe hue hain. Hamara Rab عزوجل hamein is mah e mubarak ki barket se kitna nawaz raha hai. Aur hum is qeemti mah aur babarkat waqt ko kis qader ghaflat o nadani mein guzaar dete hain. Awwal to roza rakhna kuja aur agar rakh bhi len to is ko filmen, daramay aur online video games khail kar bad nigahiyan kar kar ke zaya kar dete hain. Aur haath anay walay sawab ko kho dete hain.

Paish kardah riwayaton mein mah e ramzan ki kِis qadar azeem rehmaton aur barkaton ka zikar kiya gaya hai. Mah e ramzan ka qadar rozay rakh kar Allah pak ki riza hasil kar kay jannat ki abdi aur sarmadi naematain hasil karta hai. Aur na qadray is qeemti waqt ko ghaflat mein guzaar dete hain. Lehaza chahiye ke ramzan mein naik kaam kiye jayen aur gunahon se bacha jaye.

Allah pak hamaray haal e zaar par REHAM farmaiye. Aur hamari be hisaab mughfirat farmaiye. Allah pak se yeh bhi dua hai keh woh hamein is mubarak mah ki qader karne ki tofeeq ataa kare. Aur is qeemati waqt ko nakiyon mein guzaarne ki tofeeq ataa farmaiye. Aamen

5/5 - (1 vote)

Hawala Jaat[+]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *