Religion ka Urdu mein meaning hai “مذہب”. Mazhab ka matlab hai “Rasta”. Yani wo rasta jis par chala jaye. Puri duniya ki taqreeban 85٪ aabadi kisi nah kisi religion (Mazhab) se wabasta hai. Es mein kayi religion to barray hain jaisay Islam, Christianity, Hindu, Budh mat waghera aur kayi religion aisay hain jo bohat qaleel miqdaar mein hain aur kayi wujood mein aaye aur phir waqt guzarnay ke sath sath khatam ho gaye.