Aksar-o-bayshtar hamayn safar ki zaroorat paysh aati rahti hay balkay bahut say khush naseeb bhaiyon ko to Hajj aur Umra ka safar bhi naseeb hota hai. Lihaza hum koshish kar kay kuch na kuch safar ki dua, sunnatayn aur aadab seekh layn ta kay un par amal kar kay hum apnay safar ko bhi sawab ka zariah bana sakayn.
Safr ki Sunnatayn aur Aadab
- Mumkin ho to jumarat (Thursday) ko safar ki ibtida ki jaey kay jumarat ko safar ki ibtida karna sunnat hay. [1]Ashiat-ul-Lamaat, vol. 5, pp. 161
- Agar sahoolat ho to raat ko safar kiya jaey kay raat ko safar jaldi tay hota hay. Huzoor ﷺ nay farmaya: Raat ko safar kiya karo, kyun kay raat ko zameen lapayt di jati hay.
[2]Sunan Abi Dawood, vol. 3, pp. 40, Hadees 2571 - Agar chand loog mil kar ek Qafilay ki soorat may safar karayn to kisi aik ko ameer bana layn. Huzoor ﷺnay farmaya: Jab 3 aadami safar par rawanah hon to woh apnay may say aik ko ameer bana layn. [3]Sunan Abi Dawood, vol. 3, pp. 51, 52, Hadees 2609
- Safar par Jaty waqt azeezon, doston say qusoor muaaf karwaeyn aur jin say muaafi talab ki jaey un par laazim hay kay dil say muaaf kar dayn. [4]Bahar-e-Shari’at, Hissah. 2, pp. 19 Huzoor ﷺ nay Irshad farmaya: “Jis kay paas us ka bhai mazirat kay liye aaey to woh us ka uzr Qabool karay, khuwah haq par ho ya baatil par, jo aysa na karay woh mayray hoz par nahin aaey ga” [5]Al-Mustadrak Lil Haakim, vol. 5, pp. 213, Hadees 7340
- Libas-e-Safar pehan kar agar waqt-e-makrooh na ho to ghar may 2 rakat nafl parrh kar baahar niklay, woh rakatayn wapasi tak ahl-o-maal ki nagahbani karayn gi.
Safar par Rawangi
Hum jab bhi safar par rawanah hon to hamayn chahaiye kay hum apnay ahl-o-maal ko Allah pak kay hawalay kar kay jaeyn. Allah hi sab say behtar hifazat karnay wala hay. Balkay ho sakay to apnay ghar walon ko zeel kay kalimaat kah kar safar par rawanah hon.
Tarjamah: Mayn tum ko Allah pak kay hawalay karta hon jo sonpi huyi amanaton ko zaya nahin karta. [6]Sunan Ibn-e-Majah, vol. 3, pp. 372, Hadees 2825
Businessman ka Safar
Safar-e-Tijarat karnay walay Businessman bhaiyon ko chahiye kay yeh 5 sooratayn parrh liya karayn.
- Al Kafirun
- An Nasr
- Al Ikhlas
- Al Falaq
- An Nas
Sarwar-e-Do Aalam ﷺ nay Hazrat Jubayr bin Mutam رضی اللہ عنہ say farmaya: Aye Jubayr kya tum chahtay ho kay jab tum safar may jao to apnay sathiyon may behtar aur tosha-e-safar may barrh kar raho. (Ya’ni safar may khush haali aur farighul-baali naseeb ho) Aap ﷺ nay farmaya: Yeh 5 sooratayn parrh liya karo.
Aakhir tak | قُلْ یٰاَیُّھَاالْکٰفِرُوْنَ | 1 |
Aakhir tak | اِذَا جَآءَ نَصْرُ اللہِ وَالْفَتْحُ | 2 |
Aakhir tak | قُلْ ھُوَ اللہُ اَحَدٌ | 3 |
Aakhir tak | قُلْ اَعُوْذُ بِرَ بِّ الْفَلَقِ | 4 |
Aakhir tak | قُلْ اَعُوْ ذُ بِرَ بِّ النَّاسِ | 5 |
Har soorat ko Bismillah say shuru karo aur usi par khatm karo. (Is tarah in 5 sooraton kay sath Bismillah Shareef 6 baar parrhi jaey gi)
Hazrat Jubayr farmatay hayn kay kay Mayn nay in ko parrhna shuru kiya to Mayn pooray safar may wapasi tak apnay sathiyon may sab say ziyadah khush haal aur toshah-e-safar may farigh-ul-baal rahnay laga. [7]Kanz-ul-Ummaal, vol. 6, pp. 314, Hadees 17645
Safar ki Dua
Train ya bus waghayrah may suwar ho kar Bismillah parh kar ye safar ki dua parhen.
Tarjamah: Paaki hay usay jis nay is sawari ko hamaray bas may kar diya aur yeh hamaray qabu ki na thi aur bayshak Hamayn apnay Rab ki taraf palatna hay. [8]Parah. 25, Surah Zukhruf, Aayat 13, 14, Fataawa Razawiyyah, vol. 10, pp. 728
Kishti (Boat) may suwar honey ki Dua
Jab kishti may suwar ho to yeh dua parrhayn, Rab ne chaha to doobnay say mahfooz rahayn gay.
Tarjamah: Allah kay naam par is ka chalna aur is ka theharna bayshak mayra Rab zaroor bakhshnay wala maharban hay. [9]Fataawa Razawiyyah, vol. 10, pp. 729
3 Qism ki Duaen
Musafir ko chahiye kay woh dua say ghaflat na karay kay yeh jab tak safar may hay eski dua qabool hoti hay balkay jab tak ghar nahin pohanchta us waqt tak dua maqbool hay. Isi tarah mazloom ki dua aur maa baap ki apni aulad kay haq may dua bhi qabool hoti hay.
Huzoor ﷺ nay farmaya: “3 qism ki duaen maqbool hayn. Un ki qabooliyyat may koi shak nahin.
- Mazloom ki dua
- Musafir ki dua
- Baap ki apnay baytay kay liye dua. [10]Jami Tirmizi, vol. 5, pp. 280, Hadees 3459
Nuqsan say Hifazat ki Dua
Manzil par utrayn to waqtan fa-waqtan yeh dua parrhayn Rab ne chaha to har nuqsan say bachayn gay. Dua yeh hay:
Tarjamah: Allah kay kalimaat-e-tammah ki panah maangta hon us kay shar say jisay Us nay payda kiya. [11]Kanz-ul-‘Ummal, vol. 6, pp. 301, Hadees 17508
Dushman ka khauf
Jab dushman ka khauf ho. Surah Quraish parrh layn. Rab ne chaha to har bala say amaan milay gi. [12]Al Hisn-ul-Haseen, pp. 80
Jab kisi mushkil may madad ki zaroorat parray to Hadees-e-Pak may hay is tarah 3 baar pukarayn:
Tarjamah: Aye Allah kay bandon! Mayri madad karo. [13]Al Hisn-ul-Haseen, pp. 82
Wapsi e Safar
Safar say wapasi par ghar walon kay liye koi tohfah lay aaeyn kay yeh sunnat-e-mubarakah hay.
Sarkar-e-Madinah ﷺ nay farmaya: Jab safar say koi wapas aaey to ghar walon kay liye kuch na kuch hadiyyah laey, agar chay apni jhooli may patthar hi daal laey. [14]Kanz-ul-Ummaal, vol. 6, pp. 301, Hadees 17502
Safar say wapasi par apni masjid may 2 rakat nafl parrhna sunnat hay. Huzoor ﷺ jab safar say wapas tashreef laatay to pahlay masjid may tashreef lay jatay aur wahan baythnay say pahlay do rakat (namaz-e-nafl) ada farmatay. [15]Sahih Bukhaari, vol. 2, pp. 336, Hadees 3088
Hawala Jaat