Ummat e Musalmah ki peeth mein chhura ghonpay hue 100 saal mukammal ho gaye. Moahida e lozan jald khatam honay wala hai. Turkey aur shaam mein aaye haliya zalzalay kisi khaas pegham ki taraf ishara kar rahay hain. Aayiyae es raaz ko hadees e pak ki roshni se jan-nay ki koshish karte hain. Aik dafaa aik sahib ne Huzoor ﷺ se sawal kiya :
Aap ki ummat par kushadgi ki muddat kitni hai? Yani kitney saloon baad ummat pareshani se khushi mein jaya kere gi? Un sahib ne 3 baar sawal kya lekin jawab nahi diya gaya. Phir Rasool kareem ﷺ ne farmaya sawal karne wala kahan hai? Osy laya gaya to farmaya : Tum ne aik barri chez ke baray mein sawal kiya hai. Meri ummat ki kushadgi ki muddat 100 saal hai. Yani har 100 saal baad un par khushi aaye gi os se pehlay pareshaniyon musibaton mein ghiry hon gay. Un sahib ne arz kiya Ya Rasool Allah ﷺ eski koi nishani hai? Farmaya : “Haan zameen mein dhansnaa, zalzalay aana, aur logon par shetan ka aana.” [1]Musnad Ahmad
Sham kay bary mein Hadees
Es saal aik sadi ho gayi khilafat e usmaniya ke khatam hue aur Esi saal hum ne kaseer zalzalay bhi dekhe hain. Aik aur maqam par Rasool e kareem ﷺ ne farmaya :
Ae Ibn e Abi hawala! Jab tum dekho ke khilafat arz e Muqaddisa yani sham ki taraf muntaqil ho chuki to zalzalay aur gham barh jayen ge aur barray barray kaam qareeb ho jayen ge. Qayamat logon ke itnay paas ho gi jitna mera haath tumahray sar ke qareeb hai. [2]Sunan Abu Dawood, Hadees: 2535
Es saal kasrat se zalzalay, logon ke ghamoon ka barh jana, Crona aur selaab jaisay barray waqiat zahir ho chuke hain. Shayad yeh mulk e sham mein khilafat qaim honay ka waqt qareeb honay ka ishara hai. Kyunkay riwayaat se maloom hota hai ke jab imam mehdi ayen ge un se pehlay bhi sham mein aik khalifa aa chuka ho ga aur shaam ke halaat intehai naazuk hain yani wahan kisi bhi waqt jihad ka elaan aur khilafat ka qiyam mumkin hai aur yeh ummat ke sonehray daur ka aaghaz hoga kyunkay ummat ne 100 saal se koi khushi nahi dekhi.
Hawala Jaat