Masaaib se ghabra kar shikwah o shikayat mein mubtila ho jane ko fi zamana bohat mamooli tasawwur kiya jata hai. Sad haif! Ilm e deen se dour hamaray musalmanoon ki aksariyat is mazmom aadat mein mubtila hai. Allah pak irshad farmata hai:
وَلَئِنۡ کَفَرْتُمْ اِنَّ عَذَابِیۡ لَشَدِیۡدٌ ﴿۷﴾
“Aur agar na shukri karo to mera azaab sakht hai.”
(پ۱۳، ابراہیم:۷)
Huzoor Aqdas ﷺ ne farmaya keh main ne jahannum mein ziyada tadaad aurton ki dekhi to Sahaba e karaam رضی اللہ عنہم ne arz ki : “Ya Rasool Allah ﷺ! is ki kya wajah hai?” To Huzoor e Akram ﷺ ne farmaya :” Un ke na shukri karne ki wajah se.’ ‘ to Sahaba رضی اللہ عنہم ne arz ki :’ ‘ Ya Rasool Allah ﷺ! kya aurtain khuda ki na shukri kiya karti hain?’ ‘ Aap ﷺ ne irshad farmaya keh aurtain ehsaan ki na shukri karti hain aur –apne shohron ki na shukri karti hain. Un aurton ki yeh aadat hai keh tum zindagi bhar un ke sath ehsaan karte raho lekin agar kabhi kuch bhi kami dekhen gi to yahi keh den gi keh main ne kabhi bhi tumhari taraf se koi bhalai dekhi hi nahi.”
(بخاری ،کتاب النکاح،باب کفران العشیر..الخ،رقم۵۱۹۹،ج۳،ص۴۶۳)
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmaye. Aamen