Allah pak ne shoharon ko biwion par haakim banaya hai aur bohat barri buzurgi di hai. Es liye har aurat par farz hai ke woh apne shohar ka hukum manay aur khushi khushi apne shohar ke har hukum ki tabedari kare. Kyun kay Allah pak ne shohar ka bohat barra haq banaya hai. Shariat ne shohar ke huqooq bhi muqarar kiye hen. Yaad rakho keh apne shohar ko raazi o khush rakhna bohat barri ibadat hai. Aur shohar ko na khush aur naraaz rakhna bohat barra gunah hai.
Shohar ka Haq
Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke “Agar main khuda ke siwa kisi dosray ke liye sajda karne ka hukum deta to main aurton ko hukum deta ko woh apne shoharon ko sajda kiya karen.” [1]جامع الترمذی، کتاب الرضاع (۱۰)باب ماجاء فی حق الزوج علی المرأۃ ، رقم ۱۱۶۲،ج۲،ص۳۸۶
Aur Rasool Allah ﷺ ne yeh bhi farmaya hai ke “Jis aurat ki mout aesi haalat mein aaye ke martay waqt uska shohar os se khush ho woh aurat jannat mein jaye gi.”[2]Sunan Ibn Maja, Kitaab al Nikah, ۴۴. Baab Haq al Zoj ala al Marat, raqam ۱۸۵۴, ج۲, ص۴۱۲
Aur yeh bhi farmaya ke “Jab koi mard apni biwi ko kisi kaam ke liye bulaye to woh aurat agarcheh choolhay ke paas baithi ho osko lazim hai keh woh utth kar shohar ke paas chali aaye.”[3]Jame al tirmizi, Kitaab الرضاع, baab maja fi haq الزوج علی المرأہ ( t- : ۱۰ ) raqam ۱۶۶۳, ج۲, ص۳۸۶
Hadees shareef ka matlab yeh hai ke aurat chahay kitney bhi zaroori kaam mein mashgool ho magar shohar ke bulanay par sab kamon ko chorre kar shohar ki khidmat mein haazir ho jaye. Agar aap Urdu janty hen aur yehi tehreer Urdu mein parhna chahty hen to es link (شوہر کے حقوق) ko visit karen.
Hukum e Rasool Allah ﷺ
Aur Rasool Allah ﷺ ne aurton ko yeh bhi hukum diya ke “Agar shohar apni aurat ko yeh hukum day ke peelay rang ke paharr ko kalay rang ka bana de aur kalay rang ke pahar ko safaid bana de to aurat ko apne shohar ka yeh hukum bhi baja lana chahay.”[4]Sunan Ibn Maja, Kitaab al Nikah,4/4. باب حق الزوج علی المرأۃ ، رقم ۱۸۵۲،ج۲،ص۴۱۱
Hadees ka matlab yeh hai ke mushkil se mushkil aur dushwaar se dushwaar kaam ka bhi agar shohar hukum day to jab bhi aurat ko shohar ki nafarmani nahi karni chahay balkay os ke har hukum ki farmaa bardari ke liye apni taaqat bhar kamar basta rehna chahay aur Rasool Allah ﷺ ka yeh bhi farmaan hai keh “Shohar biwi ko apne bichonay par bulaye aur aurat aanay se inkaar kar dey aur oska shohar es baat se naraaz ho kar so rhe to raat bhar khuda ke farishtay os aurat par laanat karte rehtay hain.”[5]Sahih Muslim, Kitaab al Nikah, باب تحریم امتناعھا من فراش زوجھا، رقم ۱۴۳۶،ص۷۵۳
Pyari behnon! En hadeeson se sabaq milta hai keh shohar ka bohat barra haq hai aur har aurat par apne shohar ka haq ada karna farz hai. Lehaza chand huqooq darj zail bayan kiye gaye hen enko ghor say parhen aur jahan tak ho sake en par amal karen.
Shohar ke Huqooq
Shohar ke huqooq bohat ziyada hain un mein se neechay likhay hue chand huqooq bohat ziyada qabil lehaaz hain.
- Aurat baghair apne shohar ki ijazat ke ghar se bahar kahin nah jaye nah apne rishta daaron ke ghar nah kisi dosray ke ghar.
- Shohar ki ghair mojoodgi mein aurat par farz hai keh shohar ke makaan aur maal o samaan ki hifazat kare aur baghair shohar ki ijazat kisi ko bhi nah makaan mein aanay day nah shohar ki choti barri cheez kisi ko day.
- Shohar ka makaan aur maal o samaan yeh sab shohar ki amanatain hain aur biwi en sab cheezon ki amin hai agar aurat ne apne shohar ki kisi cheez ko jaan boojh kar barbaad kar diya to aurat par amanat mein khayanat karne ka gunah lazim hoga aur is par Khuda ka bohat barra azaab hoga.
- Aurat har giz har giz koi aesa kaam nah kare jo shohar ko napasand ho.
- Bachon ki nigehdasht, unki tarbiyat aur parwarish khusoosan shohar ki ghair mojoodgi mein aurat ke liye bohat barra fareeza hai.
- Aurat ko lazim hai keh makaan aur apne badan aur kapron ki safai suthrayi ka khaas tor par dheyaan rakhay. Maili kocheli nah bani rahay balkay banaao singhar se raha kare taa kay shohar es ko dekh kar khush ho jaye.
Shohar ki Khushi
Hadees shareef mein hai keh “Behtareen aurat woh hai keh jab shohar os ki taraf dekhe to woh apne banaao singhar aur apni aadaon se shohar ka dil khush kar dey aur agar shohar kisi baat ki qisam kha jaye to woh os qasam ko poori kar dey aur agar shohar gayab rahay to woh apni zaat aur shohar ke maal mein hifazat aur kher khawahi ka kirdaar ada karti rahay.” [6]Sunan Ibn Maja, Kitaab al Nikah, Baab fazl al nisaa, raqam ۱۸۵۷, ج۲, ص۴۱۴
Hawala Jaat