Taboot e Sakina History in Urdu – Ek Qurani Waqia

Taboot e Sakina History in Urdu

Taboot e sakina yeh Shamshad ki lakri ka aik sandooq tha. Jo Hazrat Aadam علیہ السلام par nazil hua tha. Yeh aap ki aakhr e zindagi tak aap key paas hi raha. Phir bator e meeras ek ek kar key aap ki aulaad ko milta raha. Yahan tak keh yeh Hazrat Yaqoob علیہ السلام ko mila. Aur aap ke baad aap ki aulaad bani Israel ke qabzay mein raha. Aur Hazrat Musa علیہ السلام ko mil gaya to aap is mein Torat shareef aur apna khaas khaas samaan rakhnay lagey.

Yeh bara hi muqaddas aur babarkat sandooq tha. Bani Israel jab kufar se jehaad karte thay aur kufar ke lashkaron ki kasrat aur un ki shaukat dekh kar sehem jatay. Aur un ke seenon mein dil dhadakne lagtay to woh is sandooq ko apne agay rakh letay thay.

To is sandooq se aisi rehmaton aur barkatoon ka zahuur hota tha keh. Mujahideen ke dilon mein sukoon o itminan ka samaan peda ho jata tha. Aur mujahideen ke seenon mein laraztay hue dil pathar ki chatanoo se ziyada mazboot ho jatay thay. Aur jis qader sandooq agay barhta tha aasman se نَصْرٌ مِّنَ اللہِ وَفَتْحٌ قَرِیْبٌ ki basharat e uzma nazil hua karti aur fatah e mubin haasil ho jaya karti thi.

Sandooq Taboot e Sakina ka Faisla

Bani Israel mein jab koi ikhtilaaf peda hota tha to log isi sandooq se faisla karate they. Sandooq se faisla ki aawaz aur fatah ki basharat suni jati thi. Bani Israel is sandooq ko apne agay rakh kar aur is ko waseela bana kar duayen mangte they. To un ki duayen maqbool hoti theen. Aur balayon ki museebatein aur wabayon ki aafaten tal jaya karti theen.

Algaraz yeh sandooq bani Israel ke liye taboot e sakina, barket o rehmat ka Khazina aur Nusrat e khuda wandi ke nuzool ka nihayat muqaddas aur behtareen zareya tha. Magar jab bani Israel tarhan tarhan ke gunahon mein mulawis ho gaye aur un logon mein sar kashi o tughyani ka daur dora ho gaya. To un ki bad aamaliyon ki nahosat se un par khuda ka yeh gazabb nazil ho gaya keh. Qoum Amalka ke kuffaar naay aik lashkar e Jarrar ke sath un logon par hamla kar diya.

Un kafiroon naay bani Israel ka qatal e aam kar ke un ki bustiyon ko taakht o taaraaj kar daala. Imaarton ko torr phorr kar saaray shehar ko tehass nehass kar daala, aur us mutbarrik sandooq ko bhi utha kar le gaye. Is muqaddas tabarook ko najaston ke korray khanay mein phenk diya. Lekin is be adbi ka qoum Amalka par yeh wabaal para ke yeh log tarhan tarhan ki bimarion aur balayon ke hajhoom mein jhanjhorr diye gaye.

Taboot e Sakina ki Be Adbi ka Anjam

Chunancha qoum amalka ke 5 shehar bilkul barbaad aur weraan ho gaye. Yahan tak ke un kafiroon ko yaqeen ho gaya keh: Yeh sandooq rehmat ki be adbi ka azaab hum par par gaya hai. To un kafiroon ki ankhen khul gayeen. Chunancha un logon naay us muqaddas sandooq ko aik bail gaari par laad kar bailon ko bani Israel ki bastiyon ki taraf haank diya.

Phir Allah pak ne 4 firshton ko muqarrar farma diya. Jo us mubarak sandooq ko bani Israel ke nabi Hazrat Shamweel علیہ السلام ki khidmat mein laaye. Is tarhan phir bani Israel ki khoyi hui naimat dobarah un ko mil gayi. Aur yeh sandooq theek us waqt Hazrat Shamweel علیہ السلام ke paas pohancha, jab ke Hazrat Shamweel علیہ السلام ne Taloot ko badshah bana diya tha.

Aur bani Israel Taloot ki badshahi tasleem karne par tayyar nahi they aur yahi shart thehri thi keh muqaddas sandooq aa jaye to hum Taloot ki badshahi tasleem karlen gey. Chunancha sandooq agaya aur bani Israel Taloot ki badshahi par razamand ho gaye. [1]تفسیر الصاوی،ج۱،ص۲۰۹۔تفسیر روح البیان،ج۱، ص۳۸۵۔پ۲، البقرۃ۲۴۷

Taboot e sakina mein kya tha?

Is muqaddas sandooq mein Hazrat Musa علیہ السلام ka asa aur un ki muqaddas jutiyan aur Hazrat Haroon علیہ السلام ka amamah, Hazrat Sulaiman علیہ السلام ki angothi, Torat ki takhtiyon ke chand tukrre, kuch mann o salwa, is ke ilawa Hazraat e Anbiya e karaam علیہم السلام ki sooraton ke huliye waghera sab samaan they.[2]تفسیر روح البیان،ج۱،ص۳۸۶،پ۲،البقرۃ: ۲۴۸

Quran Majeed mein Allah pak ne surah baqra mein is muqaddas sandooq ka tazkira farmatay hue irshad farmaya keh:

وَقَالَ لَہُمْ نَبِیُّہُمْ اِنَّ اٰیَۃَ مُلْکِہٖۤ اَنۡ یَّاۡتِیَکُمُ التَّابُوۡتُ فِیۡہِ سَکِیۡنَۃٌ مِّنۡ رَّبِّکُمْ وَبَقِیَّۃٌ مِّمَّا تَرَکَ اٰلُ مُوۡسٰی وَاٰلُ ہٰرُوۡنَ تَحْمِلُہُ الْمَلٰٓئِکَۃُ ؕ اِنَّ فِیۡ ذٰلِکَ لَاٰیَۃً لَّکُمْ اِنۡ کُنۡتُمۡ مُّؤْمِنِیۡنَ ﴿248﴾

Tarjuma: “Aur un sey un ke nabi ne farmaya is ki badshahi ki nishani yeh hai ke aeye tumahray paas taboot jis mein tumahray rab ki taraf se dilon ka chain hai aur kuch bachi hui chezen hain Muaziz Musa aur Muaziz Haroon ke tarka ki, uthatay layen gey usay farishtay bay shak is mein barri nishani hai tumahray liye agar imaan rakhtay ho.”[3]پ2،البقرۃ:248

Moral

Is waqia se yeh bhi maloom hua keh: Jo qoum sar kashi aur عصیان ke tufaan mein par kar Allah o Rasool (عزوجل و ﷺ) ki nafarman ho jati hai. Us qoum ki naematain cheen li jati hain.

Chunancha aap ne parh liya keh: Jab bani Israel sarkash ho kar khuda ke nafarman ho gaye. Aur qisam qisam ki badkariyon mein par kar gunaahon ka bhoot un ke saron par ifrit ban kar sawaar ho gaya.

To un ke jurmon ki nahoosaton ne unhen yeh bura din dekhaya. Keh sandooq e sakina un ke paas se qoum amalka ke kuffar utha le gaye. Aur bani Israel kayi barson tak is nemat e uzma se mahroom ho gaye.

4.5/5 - (13 votes)

Hawala Jaat[+]

7 thoughts on “Taboot e Sakina History in Urdu – Ek Qurani Waqia

  1. janab Agr Aap Ismy Reference Bhi Daal skty he to Please Dale kYuki Wahabi deobandi Gumrah Log Iska inAr kr dete he … So Apse guzarish he Refrence bhi Dal diya kre

  2. Ma Sha ALLAH great information
    JazakALLAH for this useful information.
    I’ve already read the same all these in “Qassasul Anbiya” and that’s all there is too right.

  3. Ma Sha ALLAH great information.
    JazakALLAH for such useful information in quite understandable content.
    I’ve already read the same all these in “Qassasul Anbiya” and that’s all there is too right.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *