Taqdeer mein behas karne ki bhi hadees e pak mein momanat ki gayi hai chunacheh:
Hazrat Abbu Huraira رضی اللہ عنہ nay farmaya keh: Hum log taqdeer ke masla mein behas kar rahay they ke Rasool e khuda ﷺ tashreef le aaye. To shiddat gazabb se aap ka chehra surkh ho gaya. Keh goya aanar ke danay aap ke rukhsaar mubarikah par nichor diye gay hon.
Aap ﷺ nay farmaya :” Kya tum ko isi ka hukum diya gaya hai? Kya main tumhari taraf isi cheez ke sath bheja gaya hon? Tum se pehli qoumain qaza o qadar ke masla mein mobahisa ke sabab halaak huien, Main tumhen qasam deta hon aur mukarrar qasam deta hon ayenda es maslay mein kabhi behas nah karna.” [1]Al-Tirmidhi: 2140
Masla:
Qaza o qadar ke masail aam log nahi samajh sakty. Es mein ziyada ghor o fikar karna deen o imaan ke tabah honay ka sabab hai. Hazratِ e Sayedna Abbu Baker Seddiq o Umar Farooq رضی اللہ تعالیٰ عنہما jaisay jallel ul-qadar sahaba bhi is masla mein behas karne se mana farmaye gay. To phir hum log kis ginti mein hain.
Itna samajh lena chahiye keh Allah Pak nay aadmi ko pathar aur deegar jamadat ke misal be hiss o harkat peda nahi kiya balkeh is ko aik qisam ka ikhtiyar diya hai keh aik kaam chahay kary nah kary aur is ke sath aqal bhi di hai keh bhallay buray naffa o nuqsaan ko pehchan sakay aur har qisam ke samaan aur asbaab muhaiyya kar diye keh jab aadmi koi kaam karna chahta hai to usi qisam ke samaan muhaiyya ho jaty hain aur isi wajah se is par muwakhza hai apne ko bilkul majboor ya bilkul mukhtaar samjhna dono gumraahi hain. [2]Bahar-e-Shariat, Hissa 1, Page 26
Allah Pak hamein es hawalay se apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmay. Amen
Hawala Jaat