Tareekh e Islam bohat purani aur taveel hai. Agar hum esko shuru se len to shayad bayan karty karty alfaz khatam ho jayen aur likhty likhty hum. Es bahut hi lambi tareekh e Islam ko hum mukhtasar tor par bayan karne ki koshish karty hen, ta keh jo loog Islamic history mein dilchaspi rakhty hen wo es se kuch na kuch hasil kar saken.
Mukhtasar Tareekh e Islam
Allah pak ne zameen par apni khilafat ke liye apne dast e qudrat se sab pehlay insan Hazrat Adam علیہ السلام ko banaya. Phir un mein apni taraf se aik khaas rooh daali aur jannat mein rahaish ataa ki. Yahan un ki zoja Hazrat Hawa رضی اللہ عنها ko banaya, Aik arsa tak aap dono jannat mein rahay. Phir enki takhleeq ke asal maqsad ki takmeel ke liye darakht ka phal khanay ke baad inhen jannat se zameen par utaar diya gaya.
Hazrat Adam علیہ السلام pehlay insan bhi thay aur zameen par pehlay Nabi bhi. Allah pak ne inhen aulaad ki Nemat se nawaza jis se rafta rafta insanon ki tadaad mein izafah hua aur log mukhtalif qomon, qabeelon mein taqseem ho kar zameen ke mukhtalif khitton mein abad hotay chalay gaye.
Insan, Gunah aur Gumrahi
Aasmani saheefon, Qurani talemaat aur jadeed tareen tehqeeq ke mutabiq ibtida mein insan toheed aur mazhab ke maanne walay hi thay. Woh Allah pak ki wahdaniyat par imaan rakhtay aur sirf osi ke ibadat guzaar thay jabkay kufar o shirk baad ki pedawar hain. Insan ki zameen par aamad ke baad guzarte waqt ke sath iblis ki koshishen rang lana shuru huien aur log is ke behkawon aur waswason ka shikaar ho kar gunah aur gumraahi mein mubtila ho gaye. Yahan tak ke Khaliq e Haqeeqi, Mabood e Barhaq ki bandagi chore di aur apne hi hathon se tarashe buton ko khuda ka shareek aur apna mabood thehra liya.
Kufar o shirk, gumraahi aur bad aamli ke os mahol mein logon ko Allah pak ki wahdaniyat par imaan laany, shirk se roknay, imaan laane par jannat ki basharat dainay aur kufar o inkaar par azaab ki waeed sunanay ke liye Allah pak ne apne muqarrab bandon ko nabuwat o risalat ka mansab ataa farma kar un ke paas bheja.
Adam e Sani
Un mein sab se pehlay kufar ki taraf Hazrat Nooh علیہ السلام ko rasool bana kar bheja gaya. Unhon ne senkron saal tak bhatkay hue logon ko raah e hidaayat par laane ki koshish ki. Lekin ginnay chuney logon ke ilawa koi bhi Sirat e mustaqeem par chalne ke liye tayyar nah hua. Aakhir-kaar jab un logon ke imaan laane ki umeeden khatam ho gayeen to Hazrat Nooh علیہ السلام ne un ke khilaf dua ki aur aik bohat barray tufaan ke zariye ruye zameen ke tamam kuffar halaak kar diye gaye. Jabkay Hazrat Nooh علیہ السلام aur Ahal e iman ko Rab e Kareem ne os azab se mehfooz rakha.
Tufan khatam honay ke baad Hazrat Nooh علیہ السلام ahal e iman ke sath kashti se zameen par utar aaye aur aik shehar abad kiya. Phir aap se insanon ki nasal aagay chali, Esi liye aap ko Adam e Sani (Yani dosra Adam) kaha jata hai. Aap ke visaal ke kuch arsa baad log buut parasti ke raste par chal parre aur un ki islaah ke liye Allah pak ne mukhtalif auqaat mein mukhtalif qomon ki taraf pay dar pay Anbia o Mursaleen علیهم السلام ko roshan nishanion aur Mojzat ke sath bheja. Logon ki hidayat o naseehat ke liye un Payghambaroon par kayi sahifay aur kitaben nazil farmaen.
Tableegh o Naseehat ka Maqsad
Un sab ki dawat aur tableegh o naseehat ka aik hi mehwar tha keh Ae logo! Wahid aur haqeeqi khuda par iman lao, kisi ko oska shareek nah thehrao, Osi ke samnay apni Jabeen e niaz jhukao aur osi ki bargaah e be niaz mein sajda raiz ho, Os ke bheje hue Nabiyo aur Rasoolon علیهم السلام par imaan lao, Un ki itaat o farmanbardari par kamar basta ho jao, gunah o nafarmani, sar kashi aur hatt dharmi se bacho aur logon ke haqooq ada karo.
Yeh nasihaten qubool karne ki bajaye aam tor par qoum ke sarkardah afraad ne un Rasoolon ka mazaaq uraya, taanon ke nishtar chalaye, Unhen apne jaisa bashar qarar day kar itaat se moun morra, ghareeb logon par apna assar o rasookh istemaal kar ke unhen imaan laane se roka balkay bohat se Nabiyon ko shaheed kar diya aur un aqwam ki be baki ka yeh aalam tha ke azaab e Ellahi ki waeeden sun kar darnay ki bajaye ulta nuzool e azaab ka mutalba kar dety aur aakhir kaar un ki sar kashi apne anjaam ko pohanchi aur bohat si aqwam mukhtalif azabon se halaak kar di gayeen.
Tareekh e Islam k es safar mein Nabuwat o Hidayat ka silsila osi tarah chalta raha aur aakhir kar hamaray piyary Aaqa ﷺ par aa kar khatam ho gaya. Es doran bahut se Nabi o Rasool tashreef laye. Ab qayamat tak koi naya Nabi nahi aaye ga. Piyary Aaqa Hazrat e Muhammad ﷺ hi ki shariat qayamat tak chaly gi. Ye safar apni aab o taab k sath jari hai aur hum qayamat k bahut qareeb hen. Apni aakhon se ghaflat ka parda hata kar es bary mein zaroor sochen. Shukria