Wada khilafi munafiq ki nishani hai. Ye ek bahut buri aadat hai. Hamary piyary Rab ne Quran e pak mein hamen wada pura karne ka hukam diya hai.
Tarjama: “Ae imaan walo apne qoul puray karo.” [1]پ۶،المائدہ:۱
Huzoor ﷺ nay farmaya:
” Jo kisi musalman se ehad shikni kare, os par Allah, firshton aur tamam insanon ki laanat hai aur os ka koi farz qubool hoga nah Nafil.”[2]بخاری ، رقم الحدیث ۱۸۷۰،ج۱،ص۶۱۶
Aik aur maqam par irshad farmaya : “4 alamtain jis shakhs mein hon gi woh khalis munafiq hoga aur un mein se aik alamat hui to os shakhs mein nifaq ki aik alamat payi gayi. Yahan tak keh os ko chorr day.
- Jab amanat di jaye to khayanat kare,
- Jab baat kare to jhoot bolay,
- Jab wada kare to wada khilafi kare
- Jab jhagra kare to gaali bakey. [3]بخاری ،ج۱،ص ۱۷، رقم ۳۴
Note:
Agar kisi se koi kaam karne ka wada kiya aur wada karte waqt niyat mein fraib nah ho phir baad mein os kaam ko karne mein koi harj paaya jaye to os wajah se os kaam ko nah karna wada khilafi nahi kehlaye ga. Huzoor ﷺ farmate hain:
” Wada khilafi yeh nahi keh aadmi wada kare aur oski niyat usay poora karne ki bhi ho bal keh wada khilafi yeh hai keh aadmi wada kare aur os ki niyat usay poora karne ki nah ho.”[4]ماخوذ از فتاویٰ رضویہ ،ج۱۰، حصہ اول ، ص ۸۹
Wada khilafi kis surat mein na hogi
Muhammad Amjad Ali Aazmi علیہ الرحمۃ likhte hain :
“Wada kiya magar os ko pura karne mein koi sharai qabahat thi es waja se pura nahi kiya to os ko wada khilafi nahi kaha jaye ga aur wada khilafi ka jo gunah hai os soorat mein nahi hoga agarcheh wada karte waqt os ney istesna nah kiya ho keh yahan Shariat ki taraf se istesna mojood hai os ko zabaan se kehnay ki zaroorat nahi.
Maslan wada kiya tha keh “Main fulan jagah par aaoun ga aur wahan baith kar tumhara intzaar karoon ga. ” Magar jab wahan gaya to daikhta hai keh naach rang aur sharaab noshi waghera mein log masroof hain, Lehaza! wahan se chala aaya to yeh wada khilafi nahi hai, Ya os ka intazar karne ka wada kiya aur intzaar kar raha tha keh namaz ka waqt aa gay, yeh chala aaya to yeh wada ke khilaaf nahi hua. [5]بہار شریعت،حصہ ۱۶، مسئلہ نمبر ۴،ص۷۰۹
Allah Pak hamein jaiz wada pura karne ki tofeeq atta farmaye. Aamen
Hawala Jaat
ek insan ne wada kiya k Allah ka wada main tum se shadi karun ga aur phr wo chor kar chala gaya kya ye cheez bh wada khilafi mein shamil ha? iska ka kya gunnah ha?