Aik badshah aur us ke saathi shikaar ki gharz se jungle ki janib chalay ja rahay thay. Subah ke sannatay mein ghoron kay qadmoon ki aawazen saaf sunai day rahi theen. Jinhen suntay hi aksar rahgeer rastay se hatt jatay thay. Kyun kay badshah salamat shikaar par jatay hue kisi ka rastay mein aana pasand nahi karte thay. Badshah aur us ke sathiyon ki sawari barri shaan o shaukat se shehar se guzar rahi thi.
Jounhi badshah shehar ki chaar deewari ke qareeb pouncha. To uski nigah samnay atay hue aik aankh walay shakhs par parri. Jo rastay se hatnay ke bajaye barri be nayazi se chala aa raha tha. Usay samnay aata hua dekh kar badshah ghusse se cheekha: “Uff! Yeh to intehai bad shuguni hai. Kya es bad bakht shakhs ko ilm nahi tha keh jab badshah ki sawari guzar rahi ho to rasta chorr diya jata hai. Lekin es manhoos shakhs ne to hamara rasta kaat kar intehai nahusat ka saboot diya hai.”
Badshah sipahiyon ki janib murra aur ghusse se cheekha: “Hum hukum dety hain keh es shakhs ko en satonon se bandh diya jaye aur hamaray lotney tak yeh shakhs yaheen bandha rahay ga. Hum wapsi par eski saza tajweez karen ge.” Sipahiyon ne foran hukum ki tameel ki aur us shakhs ko satonon se bandh diya gaya. Badshah aur uske saathi jungle ki janib rawana ho gaye.
Shikaar mein kamyabi
Badshah ke khadshaat ke bar aks os roz badshah ka shikaar barra kamyaab raha. Us ne apni pasand ke janwaron aur parindon ka shikaar kya. Badshah bohat khush tha kyunkay aaj uska aik nishana bhi nahi chouka. Balkay jis janwar par nigah rakhi usay haasil kar liya. Wazeer ne janwaron aur parindon ko shumar karte hue kaha: “Wah! Aaj to aap ka shikaar bohat khoob raha, kya nigah thi aur kya nishana!” Esi terhan tamam saathi bhi badshah ki tareef mein masroof thay.
Jab shaam dhaly badshah shehar ke qareeb pouncha to os shakhs ko rassiyon mein jakra hua paaya. Badshah ki sawari ke sath sath janwaron aur parindon se bhari sawari bhi chalti aa rahi thi. Jisay dekh kar badshah aur uske saathi khushi se phoolay nah sama rahay thay. Bhari hue sawari dekh kar woh shakhs zor daar aawaz mein badshah se mukhatib hua: Kahiye badshah salamat! Hum dono mein se kon manhoos hai. Main ya aap? Yeh suntay hi badshah ke sipahi us shakhs ke sar par talwar taan kar kharray ho gaye. Lekin badshah ne unhen haath ke isharay se rok diya.
Woh shakhs bila khauf phir mukhatib hua :Kahiye badshah salamat! Hum mein se kon manhoos hai? Main ya aap ? Main ne aap ko dekha to main rassiyon mein bandh kar es karri dhoop mein din bhar jalta raha jab keh mujhe dekhnay par aap ko aaj khoob shikaar haath aaya. Yeh sun kar badshah Nadim hua aur us shakhs ko foran azad kar diya aur bahut se inaam o ikram se bhi nawaza. [1]Bad shuguni, page 6
Waham ki bunyaad par kisi ko manhoos samjhna kaisa?
Aap ne jana keh wahami badshah ne to aik aankh walay shakhs ko manhoos jaan kar usay karri dhoop mein poora din qaid rakhnay ki saza di. Magar phir bhi usay shikaar mein pehlay se kahin ziyada kamyabi haasil hui. Is hekiyaat se to un ke waham ki mukammal kaat ho gayi jo kisi insaan, janwar ya kisi din mahinay ko mehez apne waham ki bunyaad par manhoos khayaal karte hain halaan keh Shariat mein eski koi haqeeqat nahi.
Yaad rakhiye! Jo shakhs waham ki aafat mein mubtala ho jata hai to usay har cheez manhoos mehsoos honay lagti hai. Hatta keh wahami shakhs kam aqal logon ki baton mein aa kar ghalat faislay kar ke nah sirf khud azmaish mein mubtala hota hai balkay deegar logon ke liye bhi wabal e jaan ban kar reh jata hai.
Manhoos honay ka waham shetan ka woh hathyaar hai jo musalmanoon ko baahum dast o garibaan karata, larai, jhagray karwa kar chain o sukoon ki barbadi ka sabab ban jata hai. Yeh baat achi terhan zehen nasheen kar lijiye keh kisi shakhs, jagah, cheez ya waqt ko manhoos jan-nay ka Islam mein koi tasvor nahi yeh mehez wahami khayalat hotay hain.
Hawala Jaat