Aulaad par waldain ke huqooq nihayat ahem hain. Aadmi waldain ko raazi kary to woh es ke jannat hain aur naraaz kary to wohi es ke dozakh hain. Jab tak waldain ko raazi nah kary ga eska koi farz, koi Nafil , koi naik kaam har giz qubool nahi hoga. Akhirat ke azaab ke ilawa duniya mein hi jeetay jee sakht azmaish hogi. Martay waqt kalma naseeb nah honay ka khauf hai. Allah ki panah
Farmaan e Aakhri Nabi ﷺ hai: Jis shakhs se uskay waldain raazi hon Allah pak os say raazi hai aur jis say os kay waldain naraaz hon os say Allah pak bhi naraaz hai. [1] Tirmizi
Waldain ke Huqooq
Walidain ka martaba sab se barh kar hai. Betay ko chahiye ke walidain ki baat tawajah se sunay, Waldain jab kharray hon to tazeman un ke liye khara ho jaye. Jab woh kisi kaam ka hukum den to foran baja laaye. En dono ke khanay peenay ka intizam kary aur naram dili se e nke liye aajzi ka baazu bichaya. Woh agar koi baat barbar kahin to un se ukta nah jaye. Un ke sath bhalai kary to un par ehsan nah jatlaye.
Woh koi kaam kahen to osy pura karne mein kisi qisam ki shart nah lagaye. Unki taraf hiqarat ki nigah se nah dekhy aur nah hi kisi muamlay mein un ki nafarmani kary. Enkay samnay “uff” tak nah kahy. Allah pak ne en kay samny uff tak kehny say mana fermaya hai. En ki har jaaiz kaam mein farmabardari kary.
Agar yeh bemaar hon ya burhapa aa jaye to Enki khoob khidmat kary. Agar yeh khud pardes mein hai aur walidain esay bulatay hain to aana hi ho ga. Phone ya internet par baat karna kaafi nahi.
Biwi aur Waldain ke Huqooq
Agar yeh shadi shuda hai ya shadi karne laga hai to betay ko lazim hai ke jab eski dulhan ghar aa jaye to dastoor ke mutabiq apni dulhan se khoob khoob piyar o mohabbat kary lekin waldain ke adab o ehtram aur unki khidmat o farmabardari mein har giz har giz baal barabar bhi farq nah anay day. Agar es dunya mein enki khidmat kar k enko razi kar liya to ye tumhary liye jannat hen aur na kar paye to suniye.
Hadees e Mubarikah mein waldain ko jannat dozakh se tabeer kiya gaya Allah pak ke Nabi ﷺ se 1 shakhs ne poocha : Ya Rasool Allah ﷺ waldain ka aulaad par kya haq hai? Allah ke Nabi ﷺ ne irshad farmaya : Waldain Teri jannat aur dozakh hain. [2] Ibn e Maja, Al-Hadith : 3662
Aik aur maqam par irshad farmaya : Sab gunahon ki saza qayamat mein miley gi lekin waldain ke nafarman ko Allah pak duniya mein hi saza day deta hai. [3] Shu’ab al-Iman
Waldain se Mohabbat ka Sawab
Hadees pak ka mazmoon hai : Jo bacha apne waldain ko mohabbat ki nigah se daikhay Allah pak usay maqbool hajj ka sawab ataa farmaiye ga. Zara sochiye ke mohabbat se dekhnay ka yeh ajar hai to khidmat karne ka aalam kya hoga! Aik sahabi e Rasool ne arz ki : Huzoor agar koi din mein 100 baar daikhay? Aaqa ﷺ farmatay hain : Koi 100 baar bhi daikhay to usay Allah pak maqbool hajj ka sawab ataa farmaiye ga. [4] Shu’ab al-Iman, hadees 7859
Maan ki Shan
Aik sahabi ne Nabi e kareem ﷺ ki bargaah mein arz ki : Aik rastay mein aisay garam pathar thay ke agar gosht ka tukrra unn par dala jata to kabaab ho jata! Main apni maan ko gardan par sawaar karkay 5 mile tak le gaya hon, Kya mein maan ke huqooq se farigh ho gaya hon? Sarkar e Madinah ﷺ ne farmaya : Tairay paida honay mein dard ke jis qader jhatkay os ne uthaye hain shayad yeh un mein se aik jhatkay ka badla ho sakay. [5] Al Mu’jam Al Kabir Tabarani
Baap ki shan
Farmaan e Aakhri Nabi ﷺ : Allah pak ki riza waalid ki riza mein hai aur Allah pak ki narazi waalid ki narazi mein hai. [6] Tirmizi Aik aur hadees mein hai ke bayshak tamam naik aamaal se barh kar naik amal yeh hai ke beta apne baap ke doston se acha sulooq kary. [7]Muslim
Waldain ki Nafarmani
Farmaan Aakhri Nabi ﷺ :
3 shakhs jannat mein nah jayen ge : Waldain ki nafarmani karne wala aur dayyus [8] Woh nadaan shakhs jo es baat ki parwah nah kary keh oski biwi kis kis ghair mard se milti hai. aur woh aurat jo mardani waza banaye. [9]Al Mustadrak, Al-Hadith : 252
Waldain ke Huqooq unki wafat ke baad
- Enki mout ke baad ghusal, kafan, dafan aur namaz ke mamlaat mein, sunnaton aur mustahabbat ka khayaal rakhay.
- En ke liye dua o istaghfar karta rahay.
- Sadqa, khairaat aur naikian karkay un ka sawab waldain ko pohanchaye.
- En par qarz ho to oski adaigi mein jaldi kary.
- En par koi farz ibadat reh gayi ho to koshish karkay oski adaigi kary. Maslan Namaz o Roza un ke zimma baqi ho to oska kaffara [10]Fidya day.
- 1/3 maal se zayed maal mein un ki jaaiz wasiyat ko poora karne ki koshish kary.
- En ki qasam enki wafaat ke baad bhi sachhi rakhay. Maslan jin kamon se enki zindagi mein baz rehta tha baad wafaat bhi ruka rahay.
- Har Jumma ke din enki qabar ki ziyarat ko jaye aur wahan tilawat e quran kary.
- En ke rishtedaron ke sath umar bhar naik sulooq kary.
- En ke doston ka hamesha adab o ehtram kary .
- Kabhi kisi ke waldain ko bura keh kar apne waldain ko bura na kehelwaye.
- Aur sab se barra haq yeh hai keh gunah karkay qabar mein unko takleef nah pohanchaye.
Al Hasil! Waldain ke intqaal ke baad un ke huqooq ki es qader tafseel se bakhoobi pata chal jata hai ke deen e islam mein waldain ki wafaat ke baad bhi un ki qader o manzilat aur maqam bohat buland o baala hai. [11]Waldain, zaujain aur asatza kay huqooq, page 4
Allah pak hamen Waldain ke Huqooq ada karne ki tofeeq ata farmaye.
Hawala Jaat